News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 163
Total: 163
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#901
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bemari Aur Shifa)
July 26, 2013, 12:23:21 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne koi aisi bemari nhi utari jis ki dawa bhi nazil na ki ho. [5678: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#902
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mareez Ke Lye Dua)
July 24, 2013, 08:41:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab kisi mareez ke pas tashreef le jaty ya koi mareez Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas laya jata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ye Dua farmaty, Aye Parwardigar logun ke! Bemari door ker dy, Aye insanun ke palny waly! Shifa ata farma, Tu (Allah) hi shifa deny wala ha. Teri (Allah ki) shifa ke siwa aur koi shifa nhi, aisi shifa de jis mein marz bilkul baqi na rhy. [5675: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#903
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi shaks ka amal usy Jannat mein dakhil nhi ker skyga. Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Aap ka bhi nhi? Aap sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! nhi, Mera bhi nhi, siwa is ke ke Allah apny fazal-o-rehmat se Mujhy nawazy isi lye (amal mein) miyana ravi ikhtiar kro aur qareeb qareeb chalo aur tum mein koi shaks mo'at ki tamanna na kery kyun ke ya wo naik hoga to umeed ha ke uske aa'mal mein aur izafa ho jye aur ager wo bura ha to mumkin ha wo toba hi ker ly. [5673: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#904
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mo'at Ki Dua Kerna)
July 22, 2013, 08:42:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi takleef mein agr koi shaks mubtala ho to usy mo'at ki tamanna nhi kerni chahye aur agr koi mo'at ki tamanna kerny hi lgy to ye kehna chahye, Aye Allah! Jab tak zindagi mery lye behtar ha mujhy zinda rakh aur jab mo'at mery lye behtar ho to mujh ko utha le. [5671: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#905
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aankhun Ka Aazmana)
July 22, 2013, 01:15:33 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ka irshad ha ke jab Mein (Allah) apny banda ko uske mehboob aa'za (aankhun) ke bary mein azmata hun (yani nabeena ker deta hun) aur wo us per sabar kerta ha to uske badly mein usy Jannat deta hun. [5653: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Anas]
#906
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bhooky ko khana khilao aur mareez ki ayadat yani mizaj pursi karo aur qaidi ko churao. [5649: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#907
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo musalman kisi bhi takleef mein giraftar hota ha to Allah uski wajah se uske gunah is tarhan jhaar deta ha jaisy darakht ke patty jhar jaty hein. [5647: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#908
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah jis ke sath khair-o-bhalai kerna chahta ha usy bemari ki takaleef aur deegar museebatun mein mubtala ker deta ha. [5645: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#909
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Ki Misaal)
July 17, 2013, 09:54:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Momin ki misal pody ki pehli nikli hui hari shakh jaisi ha ke jab bhi hawa chalti ha usy jhuka deti ha phir wo seedha ho ker museebat bardasht kerny mein kamyab ho jata ha aur badkar ki misal sanobar ke darakht jaisi ha ke sakht hota ha aur seedha khara rehta ha yahan tak ke Allah jab chahta ha usy ukhar ker phaink deta ha. [5644: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#910
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Ki Misaal)
July 17, 2013, 12:45:59 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Momin ki misal pody ki sab se pehli nikli hui hari shakh jaisi ha ke hawa isy kabhi jhuka deti ha aur kabhi baraber ker deti ha aur munafiq ki misal sanobar ke darakht jaisi ha ke wo seedha hi khara rehta ha aur akhir aik jhoky mein kabhi akar hi jata ha. [5643: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Ka'ab]
#911
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman jab bhi kisi pareshani, bemari, ranj-o-malal, takleef aur gham mein mubtala ho jata ha, yahan tak ke ager usy koi kanta bhi chubh jye to Allah usy uske gunahun ka kaffara bna dety hein. [5642: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#912
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo museebat bhi kisi musalman ko pohanchti ha, Allah usy uske gunah ka kaffara ker deta ha (kisi musalman ke) aik (1) kanta bhi agr jism ke kisi hissa mein chubh jye. [5640: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#913
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein saat (7) chezun ka hukam diya aur (7) cheezun ke krny se mana farmaya. Bemar ki ayadat kerny, janazy ke peachy chalny, cheenkny waly ke jawab mein "Yar Hamakullah" kehny, da'wat kerny waly ki da'wat ko qabool kerny, salam phailany, mazloom ki madad kerny aur qasam khany ke baad kaffara ada kerny ka hukam farmaya, aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein sony ki anguthiun se, chandi mein peeny ya (famaya) chandi ke bartan mein peeny se, meesar (zain ya kajawa ke upper raisham ka gada) ke istamal kerny se aur kasi (misar mein tayar kiya jany wala aik kapra jis mein raisham ke dhagy bhi istimal hoty hien) ke istamal kerny se aur raisham-o-deeba aur istabraq pehnany se mana farmaya tha. [5635: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bar'a bin Aazib]
#914
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks chandi ke bartan mein koi cheez peeta ha to wo shaks apny pait mein dozakh ki aag bharka rha ha. [5634: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umme Salma]
#915
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sony (Gold) aur chandi (Silver) ke piyala mein na piya karo aur na resha-o-deeba pehna karo kyun ke ye cheezain unke lye dunya mein hein aur tumhary liye Akhrat mein hein. [5633: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#916
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks pani piye to (peny ke) bartan mein (pani peety huy) saans na le aur jab tum mein se koi shaks peeshab kery to dahny haath ko zakar per na phairy aur jab astanja kry to dahny hath se na kery. [5630: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abi Qatadah]
#917
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne mushk ke mun se mun lga ker pani peeny ki ma'manat kit hi aur (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne mana farmaya tha ke) koi shaks apny parosi ko apni dewaar mein khonti waghera gaarny se roky. [5627: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#918
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum jab sony lago to charagh bujha do, darwazy band ker do, mashkoun ke munh baandh do aur khany peeny ke bartanun ko dhanp do. [5624: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#919
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Raat ki jab ibtida ho ya (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya) jab sham ho to apny bachun ko rok lo (aur ghar se bahir na nikalny do) kyun ke us waqat shaitan phail jaty hien, phir jab raat ki aik (1) ghari guzar jye to unhein chor do aur darwazy band ker lo aur us waqat Allah ka naam lo kyun ke shaitan band darwazy ko nhi kholta aur Allah ka naam le ker apny mashkeezun ka munh bandh do. Allah ka naam le ker apny bartanun ko dhak do, khwah kisi cheez ko chorrai mein rakh ker hi dhank sako aur apny charag (sony se pehly) bujha diya kro. [5623: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#920
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zamzam Ka Pani)
July 06, 2013, 09:44:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Zamzam ka pani khary ho ker piya. [5617: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
Powered by EzPortal