News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 23
Total: 23
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#821
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zamana jaldi jaldi guzry ga aur Deen ka Ilm dunya mein kam ho jyega aur dilun mein bakheli sama jyegi aur larai barh jyegi. Sahaba ne arz kiya "Harj" kya hota ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qatal khoon raizi. [6037: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#822
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kisi Ki Hajat Puri Kerna)
November 04, 2013, 08:14:30 PM
Kbhi aisa nhi hua ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kisi ne koi cheez mangi ho aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne iske deny se inkar kiya ho. [6034: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir]
#823
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Badtareen Log)
November 03, 2013, 11:04:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke yahan Qiyamat ke din wo log badtareen hongy jinke shar ke dar se log is se milna chor dein. [6032: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#824
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Akhlaq)
November 02, 2013, 09:58:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein sab se behtar wo admi ha, jis ke akhlaq sab se achy hun. [6029: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Qateebah bin Saeed]
#825
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sifarish)
November 02, 2013, 10:41:50 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas jab koi mangny wala ya zarurat mand ata to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam farmaty ke logo! Tum sifarish kro ta ke tumhein bhi sawab mily aur Allah Apny Nabi (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki Zuban Mubarak per jo chahyga faisla krayga. [6028: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#826
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) momin dosry momin ke lye is tarhan ha jaisy amarat, ke iska aik (1) hissa dosry hissay ko thamy rehta ha (girny nhi deta) phir Aap sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apni Ungliun ko kenchi ki tarhan ker lya. [6026: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#827
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
October 28, 2013, 08:19:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum se bacho. Khawah aadhi khajoor hi (kisi ko) sadqa ker ke ho sky aur agr kisi ko ye bhi moyassar na ho to achi baat ker ke hi. [6023: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adi bin Hatim]
#828
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
October 27, 2013, 08:41:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her musalman per sadqa kerna zaruri ha. Sahaba ne arz kiya agr koi cheez kisi ko (sadqa ke lye) moyassar na ho. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir apny hath se kaam kery aur us se khud ko bhi faida pohanchye aur sadqa bhi kry. Sahaba ne arz kya agr is mein iski taqat na ho ya kaha ke na ker sky. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir kisi hajat mand pareshan haal ki madad kry. Sahaba ne arz kiya agr wo ye bhi na ker sky. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir bhalai ki taraf logun ko raghbat dilaye ya "Amar bil Ma'roof" ka krna arz kiya aur agr ye bhi na ker sky. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke phir burai se ruka rhy ke ye bhi iske lye sadqa ha. [6022: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#829
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naik Kaam Sadqa Ha)
October 26, 2013, 11:25:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her naik kaam sadqa ha. [6021: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#830
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Parosi Ke Haqooq)
October 26, 2013, 01:15:41 AM
Hazrat Ayesha ne arz kiya ya Rasool Allah! Meri do (2) parosanein hein (agr hadya aik ho to) Mein (Hazrat Ayesha) kis ke pas hadya bhejun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ka darwaza tum se (tumhary darwazy se) zyda qareeb ho. [6020: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#831
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Parosi Aur Mehman)
October 24, 2013, 08:54:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo apny parosi ka ikram kery aur jo shaks Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo apny mehman ki dastoor ke mutabiq her tarhan se izzat kery. Poocha Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Dastoor ke muwafiq kab tak ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) din aur aik (1) raat aur maizbani teen (3) din ki ha aur jo iske baad ho wo iske lye sadqa ha aur jo Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo behtar baat kahay ya khamosh rhy. [6019: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Shareeh]
#832
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo koi Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo apny parosi ko takleef na pohanchaye aur jo koi Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo apny mehman ki izzat kery aur jo koi Allah aur Akhrat ke din per imaan rakhta ho wo achi baat zuban se nikaly warna khamosh rhy. [6018: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#833
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hadya)
October 22, 2013, 09:00:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Musalaman Aorato! Tum mein koi aorat apni kisi parosan ke lye kisi bhi cheez ko (Hadya mein) deny ke lye haqeer na samjhy khuwah bakri ka paya hi kyun na ho. [6017: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#834
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Parosi Ke Haqooq)
October 21, 2013, 09:01:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wallah! Wo Iman wala nhi, Wallah! Wo Iman wala nhi, Wallah! Wo Iman wala nhi. Arz kya gya kon Ya Rasool Allah? Aap Sallalah Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo jis ke shar se uska parosi mehfooz na ho. [6016: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Shareeh]
#835
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Parosi Ke Haqooq)
October 10, 2013, 07:09:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hazrat Jibrail Mujy (Sallalah Ho Alaihe Wa Salam) is tarhan bar bar parosi ke haq mein wasiyat kerty rhy ke Mujy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Khyal guzra ke shayed parosi ko warasat mein shareek na ker dein. [6015: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#836
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Reham)
October 09, 2013, 10:43:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo reham ni kerta us per reham nhi kiya jata. [6013: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jareer bin Abdullah]
#837
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
October 08, 2013, 08:27:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi musalman kisi darakht ka poda lgata ha aur us darakht se koi insan ya janwar khata ha to lgany waly ke lye wo sadqa hota ha. [6012: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#838
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bewaun aur maskenun ke lye koshish kerny wala Allah ke rasta mein Jihad kerny waly ki tarhan ha ya us shaks ki tarhan ha jo din mein rozy rakhta ha aur raat ko ibadat kerta ha. [6006: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Safwan bin Saleem]
#839
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Yateem Ki Parwarish)
October 05, 2013, 09:05:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein aur yateem ki parwarish kerny wala Jannat mein is tarhan hongy aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Shahadat aur darmayani ungliun ke ishara se (qurb ko) bataya. [6005: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal]
#840
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (God Mein Bithana)
October 04, 2013, 08:56:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) bacha (Abdullah bin Zubair) koi apni god mein bithlaya aur khajoor chaba ker uske mun mein di, us ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pe peeshab ker dya, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne pani mangwa ker us per baha diya. [6002: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal