News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 44
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 42
Total: 42
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#781
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ho, us per lazim ha ke apny parosi ko takleef na de, jo shaks Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ho, us per lazim ha ke apny mehman ki izzat kry aur jo shaks Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ho, us per lazim ha ke bhali baat khy wrna chup rhy. [6136: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#782
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mehman Nawazi)
December 15, 2013, 09:43:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ho usy apny mehman ki izzat kerna chahye. Uski khatir-dari bas aik (1) din aur raat ki ha aur mehmani teen (3) din aur ratun ki. Iske baad jo ho wo Sadqa ha aur mehman ke lye jaiz nhi ke wo apny maizban ke pas itny din thehr jye ke usy tang kr daly. [6135: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Shareeh Ka'bi]
#783
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin)
December 14, 2013, 11:08:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Momin ko aik (1) sorakh se dobara dang nhi lag skta. [6133: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#784
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad Khulqi)
December 13, 2013, 07:53:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke nazdeek aik (1) martba ke aitbar se wo shaks sab se bura ha jisy log uski bad khulqi ki waja se chor dein. [6131: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#785
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Asaan Kaam)
December 12, 2013, 08:20:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko do (2) cheezun mein se aik (1) ko ikhtiar kerny ka ikhtiar diya gya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamesha in mein se asan cheezun ko ikhtiar farmaya, bashartiya ke is mein gunah ka koi pehlu na hota. Agr is mein gunah ka koi pehlu hota to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is se sab se zyada door rehty aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apni Zaat ke lye kisi se badla nhi liya, albata agr koi shaks Allah ki Hurmat-o-Had ko torta to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam inse to mehaz Allah ki Raza ke lye badla lety. [6126: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#786
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haya)
December 11, 2013, 10:26:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agly peghambrun ka kalam jo logun ko mila usmein ye bhi ha ke jab sharam hi na rhi to phir jo jee chahy wo kro. [6120: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]
#787
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haya)
December 10, 2013, 08:07:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka guzar aik shaks per se hua jo apny bhai per haya ki waja se naraz ho rha tha aur keh rha tha ke tum bohat sharmaty ho, goya wo keh rha tha ke tum is ki waja se apna nuqsan ker lety ho. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne inse farmaya ke isy chor do ke haya Imaan mein se ha. [6118: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#788
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haya)
December 09, 2013, 09:12:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haya se hamesha bhalai paida hoti ha. [6117: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Aswaar Adwi]
#789
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pehalwan)
December 08, 2013, 08:52:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Pehalwan won ni ha jo kushti larny mein ghalib ho jye balke asli pehalwan to wo ha jo gusa ki halat mein apny aap per qabu paye, be-qabu na ho jye. [6114: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#790
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jamat Mukhtasir Karana)
December 07, 2013, 08:23:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein aik shaks hazir hua aur arz kya mein subha ki Nimaz Jama't se falan falan Imam ki waja se nhi parhta kyunke wo bohat lambi Nimaz parhaty hein. Unhun ne kaha ke us din un Imam sahib ko nasihat kerny mein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko mein ne jitna gusa mein daikha aisa mein ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko kbhi nhi daikha tha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya Aye logo! Tum mein se kuch log (Nimaz bajamat parhny se) logun ko door kerny waly hein, pas jo shaks bhi logun ko Nimaz parhaye mukhtasir parhaye, kyunke Nimaziun mein koi bemar hota ha koi burha koi kaam kaaj wala. [6110: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood]
#791
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sortain Banana)
December 06, 2013, 09:53:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam andar tashreef laye aur ghar mein parda latka hua tha jis per tasweerain thein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Chehry Mubarak ka rang badal gya, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne parda pakra aur usy phaar dya. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya, Qiyamat ke din un logun per sab se zyada azab hoga, jo ye sortain banaty hein. [6109: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#792
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kasam Khana)
December 05, 2013, 09:30:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Yaqinan Allah tumhein mana Kerta ha ke tum apny baap dadaun ki qasam khao, pas agr kisi ko qasam hi khani ha to wo Allah ki qasam khay, wrna chup rhy. [6108: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat lais bin saad]
#793
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Islaam ke siwa kisi aur mazhab ki jhoot moot qasam khai to wo wesa hi ho jata ha, jis ki us ne qasam khai ha aur jis ne kisi cheez se khudkushi ker li to usy jahanum mein usi se azab diya jyega aur Momin per la'nat bhejna usy qatal kerny ke baraber ha aur jis ne kisi Momin per kufar ki tohmat lgai to ye uske qatal ke baraber ha. [6105: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sabit bin Zahaak]
#794
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Musalman Bhai)
December 03, 2013, 11:50:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks apny kisi bhai ko kehta ha ke Aye kafir! To un dono (2) mein se aik (1) kafir hogya. [6103: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#795
Hadees / Saheeh Bukhari Shareef (Chehra Mubarak)
December 02, 2013, 08:24:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam kanwari larkiun se bhi zyada sharmeely thy, jab Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam koi aisi cheez daikhty jo Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko nagawar hoti to ham Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Chehry Mubarak se samjh jaty thy. [6102: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#796
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks bhi ya koi cheez bhi takleef bardasht kerny wali, jo usy kisi cheez ko sun ker hui, Allah se zyada nhi ha. Log Is (Allah) ke lye olad tehraty hein aur wo unhein tandarusti deta ha balke unhein Rozi bhi deta ha. [6099: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#797
Hadees / Saheeh Bukhari Shareef (Jhoot)
November 30, 2013, 08:40:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) pas guzishta raat khwab mein do (2) admi aye, jisy Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne daikha ke uska jabra cheera ja rha ha wo bara hi jhoota tha, jo aik (1) baat ko leta aur sari dunya mein phela deta tha, Qiyamat tak usko yhi saza milti rhygi. [6096: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Samrah bin Jandab]
#798
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Munafiq)
November 29, 2013, 09:42:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiq ki teen (3) nishanian hein, jab bolta ha jhoot bolta ha, jab wa'da kerta ha khilaf kerta ha, aur jab usy ameen banaya jata ha to khyanat kerta ha. [6095: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#799
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sach Aur Jhoot)
November 28, 2013, 10:44:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bila-shuba sach admi ko naiki ki taraf bulata he aur naiki Jannat ki taraf le jati he aur aik (1) shaks sach bolta rehta ha yahan tak ke wo sadeeq ka laqab aur martuba hasil ker leta ha aur bila-shuba jhoot burai ki taraf le jata ha aur burai jahanum ki taraf aur aik (1) shaks jhoot bolta rehta ha, yahan tak ke wo Allah ke yahan bohat jhoota likh diya jata ha. [6094: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Mas'ood]
#800
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Walima)
November 27, 2013, 08:28:43 PM
(Jab Abd-ur-Rehman bin Aof ne nikah kiya to) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Walima kr khwah aik (1) bakri ka ho. [6082: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
Powered by EzPortal