News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 75
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 72
Total: 72
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#761
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 13, 2014, 09:58:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab kisi ko salam kerty (aur jawab na milta) to teen (3) martaba salam kerty thy aur jab Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam koi baat farmaty to (zyada se zyada) teen (3) martuba usy dohraty. [6244: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#762
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina)
January 12, 2014, 08:20:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne insanun ke mamla mein zina mein se is ka hissa likh dya ha jis se wo la mahala dochaar hoga pas aankh ka zina daikhna ha, zuban ka zina bolna ha, dil ka zina ye he ke wo khwahish aur arzu kerta ha phir sharamgah uski khwahish ko sacha kerti ha ya jhutla deti ha. [6243: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah
#763
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 11, 2014, 09:03:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ke lye jaiz nhi ke wo apny kisi (Musalman) bhai se teen (3) din se zyada ta'luq katy ke jab wo milein to ye aik (1) taraf mun phair le aur dosra (2) dosri taraf aur dono (2) mein acha wo ha jo salam pehly kry. [6237: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Ayub]
#764
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Makhlooq Khuda ko) khana khilao aur salam kro, usy bhi jisy tum pehanchanty ho aur usy bhi jisy nhi pehanchanty. [6236: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#765
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 09, 2014, 09:45:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sawar paidal chalny waly ko salam kry, paidal chalny wala bethy huy ko aur kam ta'dad waly bari ta'dad walun ko. [6232: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#766
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Salam Kerna)
January 08, 2014, 10:28:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Chota bary ko salam kry, guzarny wala bethny waly ko salam kry aur choti jama't bari jama't ko pehly salam kry. [6231: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#767
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rastoun Ka Haq)
January 07, 2014, 08:55:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rastoun per bethny se bacho! Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah! Hamari ye majlis to bohat zaruri hein, ham wahein roz-marah guftagu kiya krty hien. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke acha jab tum in majlisun me bethna hi chahty ho to rasty ka haq ada kiya kro, yani rasty ko uska haq do. Sahaba ne arz kya, rasty ka haq kya ha Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya (ghair mehram auratun ko daikny se) nazar neechi rakhna, rah geerun ko na satana, salam ka jawab dena, bhalai ka hukam dena aur burai se rokna. [6229: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#768
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Cheenk Aur Jamai)
January 06, 2014, 09:09:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah cheenk ko pasand kerta ha kyun ke wo baaz dafa sehat ki ilamat ha aur jamai ko na pasand kerta ha, is lye jab tum me se koi shaks cheenky to wo "Al Hamdolillah" khy lakin jamai lena shaitan ki taraf se hota ha. Is lye jab tum mein se kisi ko jamai aye to wo apni quwat-o-taqat ke mutabiq usy roky. Is lye ke jab tum me se koi jamai leta ha to shaitan hansta ha. [6226: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#769
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Cheenk Aur Jamai)
January 05, 2014, 10:21:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah cheenk ko pasand kerta ha aur jamai ko na pasand kerta ha. Is lye jab tum mein se koi shaks cheenky aur "Al Hamdolillah" khy to her musalman per jo usy suny, haq he ke uska jawab "Yar Ham Kullah" se de, lakin jamai shaitan ki taraf se hoti ha is lye jahan tak hoh sky usy roky kyun ke jab wo mun khol ker ha ha ha kehta ha to shaitan is per hansta ha. [6223: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#770
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Cheenkna)
January 04, 2014, 08:47:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas do (2) Ashaab cheenky. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) ka jawab "Yar Ham Kullah (Allah tum per Reham kry)" se diya aur dosry (2) ka nhi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se iski waja poochi gai to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke isne "Al Hamdolillah" kaha tha (is lye iska jawab diya) aur dosry ne "Al Hamdolillah" nhi kaha tha. Cheenkny waly ko "Al Hamdolillah" zarur kehna chahye aur sunny waly ko "Yar Ham Kullah". [6221: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#771
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kankri Phainkna)
January 03, 2014, 09:25:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kankri phainkny se mana kiya tha aur farmaya tha ke wo na shikar ker skti ha aur na dushman ko koi nuqsan pohancha skti ha, albata aankh phor skti ha aur dant tor skti ha. [6220: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Maghfil]
#772
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bad-Tareen Naam)
January 02, 2014, 10:06:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din Allah ke nazdeek sab se bad-tareen naam uska hoga jo apna naam mulk-ul-amlaq (Shehansha) rakhy. [6205: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#773
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum Mery (Sallalah Alaihe Wa Sallam) Naam per Naam rakho lakin tum Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Kunyat na ikhtiyar kro aur jis ne Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) khwab mein daikha to usne Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) hi daikha kyunke shaitan Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Surat mein nhi aa skta aur jis ne qasadan Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) taraf koi jhoot baat mansoob ki usne apna thikana jahanum mein bna lya. [6197: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#774
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kunyat)
December 30, 2013, 08:35:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Naam per Naam rakho lakin Meri (sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Kunyat na ikhtiyar kro. [6188: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali bin Abdullah]
#775
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zamana Ko Gali Dena)
December 28, 2013, 11:49:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Farmata ha ke insan zamana ko gali deta ha halan ke Mein (Allah) hi zamana hun, Mery (Allah) hi Hath mein raat aur din hien. [6181: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#776
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nafs)
December 27, 2013, 11:49:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein koi shaks ye na khy ke mera nafas paleed hogya ha balke ye khy ke mera dil kharab ya pareshan hogya ha. [6179: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#777
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dagha Bazi)
December 21, 2013, 04:53:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ehad torny waly ke lye Qiyamat mein aik (1) jhanda uthaya jyega aur pukar dya jyega ke ye falan bin falan ki dagha-bazi ka nishan ha. [6178: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#778
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dajjaal)
December 19, 2013, 08:34:31 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne dajjal ka zikr kya aur farmaya ke Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein is se darata hun. Koi Nabi aisa nhi guzra jis ne apni qoam ko us se na daraya ho. Hazrat Nooh ne apni qoam ko is se daraya lakin Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) iski tumhein aik aisi nishani bataunga jo kisi Nabi ne apni qoam ko nhi btai. Tum janty ho ke wo kana hoga aur Allah kana nhi ha (Nauzbillah). [6175: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#779
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Insan uske sath ha jis se wo mohabbat rakhta ha. [6168: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#780
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Baaz she'ron (Poetry) mein danai hoti ha. [6145: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abi bin Ka'ab]
Powered by EzPortal