News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 75
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 82
Total: 82
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#741
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aasman Se Zameen Per)
February 02, 2014, 10:37:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hamara Rab (Allah) her raat aasman se dunya ki taraf nazol fermata ha, us waqat jab raat ka akhri tehai hissa baqi reh jata ha aur farmata ha kon ha jo mujh se Dua kerta ha ke Mein (Allah) uski Dua qabool krun, kon ha jo mujhse mangta ha ke Mein (Allah) usy dun, kon ha jo mujhse bakhshish talab kerta ha ke Mein (Allah) uski bakhshish krun. [6314: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#742
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
February 01, 2014, 10:45:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab raat mein bistar per lait'ty to Apna Haath Apny Rukhsaar Mubarak ke neechy rakhty aur ye kehty "Aye Allah! Tery Naam ke saath Merta Hun aur Zinda Hota Hun" aur jab baidar hoty to kehty "Tamam Ta'reefain Us Allah ke lye hein Jis ne hamein zinda kya aur uske baad ke hamein mo'at (murad neend ha) de di thi aur Teri (Allahi ki) hi taraf jana ha". [6314: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#743
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 31, 2014, 11:20:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Apny bistar per let'ty to ye kehty "Tery (Allah ke) hi Naam ke sath Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Murdah aur Zinda rehta hun aur jab baidar hoty to kehty Usi Allah ke lye tamam Ta'reefain hein jis ne hamein zinda kya. Is ke baad Us (Allah) ne Moat taari ker di thi aur Usi (Alla) ki taraf lotna ha". Qur'an Shareef mein jo lafz "Nunshezuhaa" ha is ka bhi yhi ha ke Ham (Allah) isko nikal ker uthaty hein. [6312: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa bin Yaman]
#744
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat Wazu Kerna)
January 30, 2014, 08:52:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tu sony lgy to Nimaz ki tarhan Wazu ker phir dayein (right) karwat lait ja aur ye Dua parh. "Aye Allah! Mein ne apny aapko Teri (Allah ki) ata'at mein de diya, apna sab kuch Tery (Allah ke) supurd ker dya. Apny mamlat Tery (Allah ke) hawaly ker dya. Khof ki waja se aur Teri (Allah ki) (Rehmat aur Sawab ki) umeed mein koi panha gah koi mukhlis Tery (Allah ke) siwa nhi. Mein Teri (Allah ki) kitab per Imaan laya jo Tu (Allah) ne nazil ki ha aur Tery (Allah ke) Nabi Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jo Tu (Allah) ne bheja". Iske baad agr tum mar gye to fitrat (Deen Islam per marogy) pas in Kalmat ko (raat ki) sab se akhri baat bnao jinhein tum apni zuban se ada kro. [6311: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bara' bin Aazib]
#745
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Toba)
January 30, 2014, 06:56:48 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah apny bandy ki toba se tum mein se us shaks se bhi zyada khush hota ha jis ka oont mayusi ke baad achanak usy mil gya ho halan ke wo aik (1) chatyal maidan mein gum hua tha. [6309: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#746
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Astaghfar)
January 28, 2014, 09:51:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ki Qasam Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) din mein sattar (70) martaba se zyada Allah se astaghfar aur Us (Allah) se toba kerta hun. [6307: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#747
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Syed-ul-Astaghfar)
January 27, 2014, 08:56:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Syed-ul-Astaghfar ye ha ke yun kahy. Aye Allah! Tu mera Rab ha, Tery siwa koi Ma'bood nhi. Tu ne hi mujhy paida kya aur mein Tera hi banda hun, mein apni taqat ke mutabiq Tujhse kiye huy ehad aur wada per qaim hun. Un buri harkatun ke azab se jo mein ne ki hein, Teri panha mangta hun mujh per naimatein Teri hein aur iska iqrar kerta hun. Meri maghfarat ker dy ke Tery siwa aur koi bhi gunah nhi mua'f kerta. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jis ne is Dua ke ilfaz per yaqeen rakhty huy dil se inko keh lya aur usi din uska intiqal hogya, shaam hony se pehly wo Janati ha aur jis ne is Dua ke ilfaz per yaqeen rakhty huy raat mein inko parh lya aur phir uska subha hony se pehly intiqal hogya to wo Janati ha. [6306: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat  Shadad bin Aos]
#748
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ummat Ki Shafa't)
January 26, 2014, 09:26:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her Nabi ko aik (1) Dua hasil hoti ha (jo qabool ki jati ha) aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) chahta hun ke Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) Apni Dua ko Akhrat mein Apni Ummat ki Shafa't ke lye mehfoz rakhun. [6304: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#749
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Paanch (5) chezain fitrat se hein. Khatna kerna, zair-e-naaf ke baal banana, baghal ke baal saaf kerna, moonch choti karana aur nakhun katna. [6297: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#750
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 24, 2014, 08:30:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab raat mein sony lgo to charagh bujha diya kro aur darwazy band ker liya kro aur mashkeezun ka munh baandh diya kro aur khany peeny ki cheezain dhak diya kro. [6296: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir]
#751
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Soty Waqat)
January 23, 2014, 11:02:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Soty waqat) bartan dhak liya kro wrna darwazy band ker lya kro aur charagh bujha liya kro kyun ke ye chuha (rat) baaz-oqat charagh ki batti khainch leta ha aur ghar walun ko jala deta ha. [6295: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#752
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aag tumhari dushman ha islye jab sony lgo to usy bujha diya kro. [6294: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#753
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab sony lago to ghar mein aag na choro. [6293: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salim]
#754
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sargoshi)
January 20, 2014, 09:33:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum teen (3) admi ho to teesry (3) sathi ko chor ker tum apas mein sargoshi na kiya kro. Islye logun ko ranj hoga albata agr dosry (2) aadmi bhi hun to muzaiqa nhi. [6290: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#755
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sargoshi)
January 19, 2014, 10:06:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab teen (3) admi sath hun to teesry (3) ko chor ker do (2) apas mein sargoshi na karein. [6288: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#756
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chitt Ho Ke Letna)
January 18, 2014, 09:15:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko Masjid mein chitt laity daikha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) Paun Mubarak dosry (2) per rakhy huy thy. [6287: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibad bin Tamim]
#757
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein sab se bary gunah ki khabar na dun. Sahaba ne arz kiya! Kyun nhi Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ke sath shirk kerna aur waldain ki nafarmani kerna. [6273: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ul-Rehman bin Abi Bakrah]
#758
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se mana farmaya tha ke kisi shaks ko uski jagha se uthaya jye ta ke dosra (2) uski jagha baithy, albata (aany waly ko majlis mein) jagha de diya kro aur farakhi ker diya kro. [6270: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#759
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks kisi dosry (2) shaks ko uske baithny ki jagha se na uthaye ke khud wahan baith jye. [6269: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#760
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Ahle Kitab tumhein salam karn to tum uske jawab mein sirf "Wa Alaykum" kaho. [6258: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
Powered by EzPortal