News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 258
Most Online Ever: 258
(Today at 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 19
Total: 19
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#681
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo koi Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ha usy chahye ke achi baat kahy warna khamosh rhy aur jo koi Allah aur akhrat ke din per Imaan rakhta ha wo apny parosi ko takleef na pohanchay aur jo koi Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ho wo apny mehman ki izzat kry. [6475: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#682
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zuban Aur Sharamgah)
April 02, 2014, 09:48:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery lye jo shaks dono jabrun ke darmyan ki cheez (zuban) aur dono paun ke darmyan ki cheez (sharamgah) ki zimidari de de. Mein uske lye Jannat ki zimadari de dunga. [6474: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#683
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri ummat ke sattar (70) hazar log be-hisab Jannat mein jyengy. Ye wo log hongy jo jhaar phoonk nhi karaty na shagoon lety hein aur apny Rab (Allah) hi per bharosa rakhty hein. [6472: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#684
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Rehmat)
April 01, 2014, 12:36:44 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne Rehmat ko jis din banaya to uske so (100) hissy kiye aur Apny pas unmein se ninwy (99) rakhy. Iske baad tamam makhlooq ke lye sirf aik (1) hissa Rehmat ka bheja, pas agr kafir ko wo tamam Reham maloom ho jye jo Allah ke pas ha to wo Jannat se na-umeed na ho aur agr Momin ko wo tamam azab maloom ho jyen jo Allah ke pas hein to wo dozakh se kbhi be-khof na ho. [6469: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#685
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha gya kon sa amal Allah ke nazdeek zyada pasandeedah ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jis per hameshgi ki jye, khwah wo thora hi ho aur farmaya naik kaam kerny mein itni hi takleef uthao jitni taqat ha (jo hamesha nibh saky). [6465: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#686
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pasandeedah Amal)
March 29, 2014, 07:38:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Darmyani chaal ikhtiyar kro aur buland parwazi na kro aur amal kerty raho, tum mein se kisi ka amal usy Jannat mein nhi dakhil ker skyga, Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke) nazdeek sab se pasandeedah amal wo ha jis per hameshgi ki jye, khwah kam hi kyun na ho. [6464: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#687
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pasandeedah Amal)
March 28, 2014, 10:00:16 PM
Hazrat Ayesha ne byan kiya ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko sab se zyada pasandeedah wo amal tha jis ko admi hamesha kerta rhy. [6462: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#688
Hazrat Abu Hurairah ne byan kya ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Dua ki "Aye Allah! Aal-e-Muhammad ko itni rozi de ke wo zinda reh sakein". [6460: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#689
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chulah Nhi Jalta)
March 26, 2014, 09:25:25 PM
Hazrat Ayesha ne byan kya ke Hamary upper aisa mahina bhi guzar jata tha ke chulah nhi jalta tha, sirf khajoor aur pani hota tha. Haan agr kabhi kisi jagah se kuch thora se gosht aa jata to usko bhi kha lety thy. [6458: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#690
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka bistar chamry ka tha aur us mein khajoor ki chaal bhari hui thi. [6456: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#691
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Gharana ne agr kabhi aik (1) din mein do (2) martaba khana khaya to zarur usmein aik (1) waqat sirf khajurain hoti thein. [6455: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#692
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi maiz per khana nhi khaya, yahan tak ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki wafat hogai aur na wafat tak Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kbhi bareek chapatti tanawal farmai. [6450: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#693
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Jannat mein jhanka to Us mein rehny waly aksar ghareeb log thy aur Mein ne dozakh mein jhanka to us ki rehny walian aksar aoratein thein. [6449: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hiseen]
#694
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ameeri)
March 21, 2014, 09:48:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ameeri ye nhi ke saman zyada ho, balke ameeri ye ha ke dil ghani ho. [6446: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#695
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Mery pas Ohad pahar ke baraber bhi sona ho to bhi Mujhy is mein khushi hogi ke teen (3) din bhi mujh per is haal mein na guzrany payen ke is mein se Mery pas kuch bhi baqi bachy. Albata agr kisi ka qarz door kerny ke lye kuch rakh churun to ye aur baat ha. [6445: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#696
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Insan Ka Pait)
March 19, 2014, 09:37:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr insan ke pas maal ki do (2) wadian hon to teesri (3) ka khawahish mand hoga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nhi bhar skti aur Allah is shaks ki toba qabool kerta ha jo (dil se) sachi toba kerta ha. [6436: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#697
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naik Log)
March 18, 2014, 09:24:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik log yak-e-baad deegry guzar jyengy iske baad jo (gandum ke) bhusy ya khajoor ke kachry ki tarhan kuch log dunya mein reh jyengy jin ki Allah ko kuch zara bhi parwah na hogi. [6434: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mardaas Aslami]
#698
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se behtar Mera (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka zamana ha, iske baad un logun ka jo iske baad hongy, phir jo unke baad hongy aur uske baad aisy log paida hongy jo qasam se pehly gwahi deingy kbhi gwahi se pehly qasam khayengy. [6429: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#699
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Baad Ka Zamana)
March 16, 2014, 10:28:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se sab se behtar Mera (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ka zamana ha, phir un logun ka zamana ha jo iske baad hongy. Imran ne byan kiya ke mujhy nhi maloom Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne irshad ko do (2) martaba dohraya ya teen (3) martaba. Phir iske baad wo log hongy ke wo gawahi deingy lakin inki gawahi qabool nhi ki jyegi, wo khyanat krngy aur unper se aitmaad jata rhyga. Wo nazar (ehad) many gy lakin puri nhi krngy aur un mein mutapa phail jyega. [6428: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Haseen]
#700
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Akhrat mein Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tum se aagy jaunga aur Mein tum per gawah hunga, Wallah, Mein apny Hoz ko is waqat bhi daikh rha hun aur Mujhy zameen ke khazanun ki kunjiyan di gai hein ya (farmaya ke) zameen ki kunjiyan di gai hein aur Allah ki qasam! Mein tumhary motaliq is se nhi darta ke tum Mery baad shirk krogy balke Mujhy tumhary motaliq ye khof ha ke tum dunya ke lye aik (1) dosry se aagy barhny ki koshish krny lgogy. [6426: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Uqbah bin Aamir]
Powered by EzPortal