News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 258
Most Online Ever: 258
(Today at 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 17
Total: 17
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#661
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo log mar gye unko bura na kaho kyunke jo kuch unhun ne aagy bheja tha uske pas wo khud pohanch chuky hein. Unhun ne bury bhaly jo bhi amal kiye thy wesa badla paa liya. [6516: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Asha'ra]
#662
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Ya Dozakh)
April 24, 2014, 09:14:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi marta ha to subha-o-shaam (jab tak wo bazrukh mein ha) uske rehny ki jagha usy her roz dikhai jati ha ya dozakh ho ya Jannat aur kaha jata ha ke ye tery rehny ki jagha ha yahan tak ke tu uthaya jye (yani Qiyamat ke din tak). [6515: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#663
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mayyat ke sath teen (3) chezain chalti hein do (2) wapis aa jati hein, sirf aik (1) kaam uske sath reh jata ha. Uske ghar waly, uska maal aur uska amal chalta ha, uske ghar waly aur maal to wapis aa jaty hein aur uska amal uske sath baqi reh jata ha. [6514: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#664
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah se milny ko pasand kerta ha, Allah bhi us se milny ko pasand kerta ha aur jo shaks Allah se milny ko na-pasand kerta ha, Allah bhi us se milny ko na-pasand kerta ha. [6508: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Asha'ra]
#665
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Kisi naik kaam ke natijha mein) jo shohrat ka talib ho Allah uski bad-niyyati Qiyamat ke din sab ko suna dega. Isi tarhan jo koi logun ko dikhany ke lye naik kaam kry Allah bhi Qiyamat ke din usko sab logun ko dikhla dega. [6499: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jandab]
#666
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Logun Ki Misaal)
April 20, 2014, 10:00:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logun ki misaal oontun ki si ha, so (100) mein bhi aik (1) taiz sawari ke qabil nhi milta. [6498: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#667
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab imaanat zaya ki jye to Qiyamat ka intizar kro. Poocha Ya Rasool Allah! Imaanat kis tarhan zaya ki jyegi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab kaam na-ehal logun ke sapurd ker diye jyen to Qiyamat ka intizar kro. [6496: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#668
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logun per aik (1) aisa dor ayega jab aik (1) musalman ka sab se behtar maal bhairain hongi wo unhein le ker pahaar ki chotiun aur barish ki jaghun per chala jyega. Us din wo apny deen Imaan ko le ker fasadun se dar ker wahan se bhaag jyega. [6495: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri
#669
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naiki Aur Burai)
April 17, 2014, 10:31:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Hadith-e-Qudsi mein farmaya! Allah ne naikyan aur burayan muqadar ker di hein aur phir inhein saaf saaf byan ker dya ha, pas jis ne kisi naiki ka irada kiya lakin us per amal na ker ska to Allah ne uske lye aik (1) mukamal naiki ka badla likha ha aur agr usne irada ke baad is per amal bhi ker lya to Allah ne us ke lye Apny Yahan das (10) guny se saat so (700) guny tak naikyan likhi hein aur us se barhaa ker aur jis ne kisi burai ka irada kiya aur phir us per amal nhi kya to Allah ne uske lye Apny Yahan aik (1) naiki likhi ha aur agr usne irada ke baad is per amal bhi ker lya to Apny yahan us ke lye aik (1) burai likhi ha. [6491: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Abduallah bin Abbas]
#670
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks kisi aisy aadmi ko daikhy jo maal aur shakal-o-surat mein is se barh ker ha to us waqat usy aisy shaks ka dhiyaan kerna chahye jo us se kam darjha ha. [6490: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#671
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se sacha shair (poetry) jisy sha'ir ne kaha ha ye ha "Han Allah ke siwa tamam chezain be-bunyad hein". [6489: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#672
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Aur Dozakh)
April 14, 2014, 11:19:40 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat tumhary jooty ke tasmy se bhi zyada tum se qareeb ha aur isi tarhan dozakh bhi. [6488 Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#673
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Aur Dozakh)
April 13, 2014, 10:36:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dozakh khwahishaat nafsani se dhak di gai ha aur Jannat mushkilaat aur dushwariun se dhaki hui ha. [6487: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#674
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr tumhein wo maloom hota jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) janta hun to tum hansty kam aur roty zyada. [6485: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#675
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zuban Aur Hath)
April 10, 2014, 09:41:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman wo ha jo musalmanun ko apni zuban aur hath se (takleef pohanchany) se mehfoz rakhy aur muhajir wo ha jo un cheezun se ruk jaye jis se Allah ne mana kiya ha. [6484: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#676
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) aur logun ki misaal aik (1) aisy shaks ki ha jisne aag jalai, jab uske charun (4) taraf roshni hogai to parwany aur ye keery makory jo aag per girty hien usmein girny lgy aur aag jalany wala inhein ismein se nikalny lga lakin wo iske kabu mein nhi aye aur aag mein girty hi rhy. Isi tarhan Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhari kamar ko pakar pakar ker aag se tumhein nikalta hun aur tum ho ke isi mein girty jaty ho. [6483: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#677
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tanhai Mein Ansu)
April 08, 2014, 07:43:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) tarhan ke log wo hein jinhein Allah Apny Saya mein panha dega. (In me) aik (1) wo shaks bhi ha jis ne tanhai mein Allah ko yaad kiya to uski ankhoun se ansu jari ho gye. [6479: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#678
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zuban)
April 07, 2014, 11:14:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Banda Allah ki Raza-Mandi ke lye aik (1) baat zuban se nikalta ha usy wo koi ehmiyat bhi nhi deta mgr usi ki wajah se Allah uske Darjhy buland ker deta ha aur aik (1) dosra (2) banda aik (1) aisa Kalima zuban se nikalta ha jo Allah ki narazgi ka ba'is hota ha usy wo koi ehmiyat nhi deta lakin uski wajha se wo jahanum mein chala jata ha. [6478: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#679
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zuban)
April 06, 2014, 12:55:03 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Banda aik (1) baat zuban se nikalta aur uske motaliq sochta nhi (ke kitni kufar aur be-adbi ki baat ha) jiski wajah se wo dozakh ke garhy mein itni door gir parta ha jitni pacham se poorab door ha. [6477: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#680
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mehman-Nawazi)
April 04, 2014, 11:00:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mehman-nawazi teen (3) din ki hoti ha, mgr jo lazmi ha wo to puri kro. Poocha gya lazmi kitni ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) din aur aik (1) raat aur jo koi Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ha usy chahye ke apny mehman ki khatir kry aur jo shaks Allah aur Akhrat ke din per Imaan rakhta ha usy chahye ke achi baat kahy wrna chup rhy. [6476: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Shareeh Khazaa'i]
Powered by EzPortal