News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 411
Most Online Ever: 948
(January 29, 2025, 05:21:28 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 373
Total: 373
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#641
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Ahl-e-Jannat Jannat mein aur Ahl-e-Jahanum jahanum mein dakhil ho chukein gy to Allah farmaye ga ke jis ke dil mein rai ke dana ke baraber bhi Imaan ho to usy dozakh se nikal lo. Us waqat aisy log nikaly jyengy aur wo us waqat jal ker koily ki tarhan ho gye hongy. Is ke baad inhein "Nehar Hayat" (zindagi bakhsh nehar) mein dala jyega. Us waqat wo is tarhan taro-taza aur shagufta ho jyengy jis tarhan sailaab ki jagha per kury kerkat ka dana (usi raat ya din mein) ug ata ha. Ya Ravi ne kaha ha yani jahan sailaab ka zor ho aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke kiya tum ne daikha nhi ke us dana se zard rang ka lipta hua ba-ronaq poda ugta ha. [6560: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#642
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat waly (apny upper ke darjhun ke) bala-khanun ko is tarhan daikhein gy jaisy tum asmaan mein sitarun ko daikhty ho. [6555: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#643
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein aik (1) Darakht ha jis ke saya mein sawar so (100) saal tak chalny ke baad bhi usy teh nhi ker skyga. [6553: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed]
#644
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ahl-e-Jannat Jannat mein chaly jyengy aur Ahl-e-dozakh mein chaly jyengy to moat ko laya jyega aur usy Jannat aur dozakh ke darmyan rakh ker zeebah ker dya jyega. Phir aik (1) awaz deny wala awaz dega ke Aye Jannat walo! Tumhein ab moat nhi ayegi aur Aye dozakh walo! Tumhein bhi moat nhi ayegi. Is baat se Jannati aur zyada khush ho jyengy aur jahanumi aur zyada ghamgheen ho jyengy. [6548: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#645
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne Jannat mein jhank ker daikha to wahan rehny waly aksar ghareeb log thy aur Mein ne Jahanum mein jhank ker daikha (Shab-e-Mairaj) to wahan aoratein bohat thein. [6546: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]
#646
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ahl-e-Jannat Jannat mein aur ahl-e-jahanum jahanum mein dakhil ho jyengy to aik (1) awaz deny wala inke darmyan mein khara ho ker pukary ga ke Aye Jahanum walo! Ab tumhein moat nhi ayegi aur Aye Jannat walo! Tumhein bhi moat nhi ayegi balke hamesha yahein rehna hoga. [6544: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#647
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanum Se Bacho)
May 11, 2014, 10:17:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum se bacho aur phir iske baad Chehra Mubarak phair lya, phir farmaya Jahanum se bacho. Teen (3) martaba Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aisa hi kya. Ham ne is se ye khyal kiya ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Jahanum ko daikh rhy hien, phir farmaya Jahanum se bacho khwah khajoor ke aik (1) tukry hi ke zarya ho sky aur jisy ye bhi na mily to usy (logun mein) kisi achi baat kehny ke zarya se hi (Jahanum se) bachny ki koshish krni chahye. [6540: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adwi bin Hatim]
#648
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein her her fard se Allah Qiyamat ke din is tarhan Kalam Kry Ga ke Allah ke aur bandy ke darmyan koi tarjuman nhi hoga. Phir wo daikhy ga to uske aagy koi cheez nazar nhi ayegi, phir wo apny samny daikhy ga aur uske samny aag hogi. Pas tum mein se jo shaks bhi chahy ke wo aag se bachy to wo Rah-e-Khuda mein khair khairaat krta rhy. Khwah khajoor ke aik (1) tukry ke zarya se hi mumkin ho. [6539: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adwi bin Hatim]
#649
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din kafir ko laya jyega aur us se poocha jyega ke tumhara kya khyal ha agr zameen bhar ker tumhary pas sona ho to kiya sab ko (apni nijat ke lye) fidya mein de do gy? Wo kahy ga ke Haan, to us waqat us se kaha jyega ke tum se is se bohat asaan cheez ka (dunya mein) mutalba kiya gya tha. [6538: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#650
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks se bhi Qiyamat ke din hisab liya gya pas wo halak hua. Mein (Hazrat Ayesha) ne arz kiya Ya Rasool Allah! Kiya Allah ne Khud nhi farmaya ha ke "Pas jis ka nam-e-amaal uske dayein (right) haath mein diya gya to anqareeb us se aik (1) asaan hisab liya jyega". Is pe Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke ye to sirf peshi (kami) hogi. (Allah ke kehny ka matlab ye ha ke) Qiyamat ke din jis ke bhi hisaab mein khod-kuraid ki gai usko azab yaqini hoga. [6537: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#651
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ke hisab mein khod-kuraid ki gai usko zarur azab hoga. Mein (Hazarat Ayesha) ne arz kya! Kya Allah ka ye Farman nhi ha ke "Phir anqareeb unse halka hisab liya jyega".  Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke is se murad sirf peshi (kami) ha. [6536: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#652
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Momeneen jahanum se chutkara paa jyengy lakin dozakh-o-Jannat ke darmyan aik (1) pul per inhein rok lya jyega aur phir aik (1) ke dosry per un muzalim ka badla liya jyega jo dunya mein in ke darmyan apas mein huy thy aur jab kant chant ker li jyegi aur safai ho jyegi tab inhein Jannat mein dakhil hony ki ijazat milygi. Pas Us Zaat (Allah) ki Qasam Jis ke Hath mein Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan ha! Jannatiun mein se her koi Jannat mein apny ghar ko dunya ke apny ghar ke muqabla mein zyada behtar tariqy per pehchan lega. [6535: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#653
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haq Dilaya Jyega)
May 03, 2014, 08:16:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisne apny kisi bhai per zulm kya ho to usy chahye ke us se (is dunya mein) muaaf kra ly. Is lye ke Akhrat mein rupy paisy nhi hongy. Is se pehly (muaaf kra ly) ke iske bhai ke lye iski naikyun mein se haq dilaya jye ga aur agr uske pas naikyan na hongi to us (mazloom) bhai ki buraiyan is per daal di jyengi. [6534: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#654
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se pehly jis cheez ka faisla logun ke darmyan hoga wo na-haq khoon ke badla ka hoga. [6533: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah Bin Masood]
#655
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ke Din)
May 01, 2014, 11:45:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din log pasiny mein sharabur ho jyengy aur halat ye ho jyegi ke tum mein se her kisi ka pasina zameen per sattar (70) hath tak phail jyega aur munh tak pohanch ker kanun ko chuny lgyga. [6532: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#656
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her koi sary jahanun ke Parwardigaar (Allah) ke aagy khara hoga is haal mein ke uska pasina kanun ki lu tak pohancha hua hoga. [6531: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#657
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ke Din)
April 29, 2014, 10:05:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum nangy paun, nangy jism, bila khatna ke uthaye jaogy. Hazrat Ayesha farmati hein ke is per Mein ne poocha, Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Kya mard aoratein aik (1) dosry ko daikhty hongy? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us waqat muamla is se kahein zyada sakht hoga, iska khyal bhi koi nhi ker skyga. [6527: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#658
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ke Din)
April 28, 2014, 10:10:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum Allah se Qiyamat ke din nangy paun, nangy badan aur paidal chal ker bin khatna milogy. [6524: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#659
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ke Din)
April 27, 2014, 10:37:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din logun ka hasher safaid-o-surkhi amaiz zameen per hoga jaisy maida ki roti saaf-o-safaid hoti ha. Is zameen per kisi (cheez) ka koi nishan na hoga. [6521: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad Al-Sa'adi]
#660
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah zameen ko Apni Muthi mein le lega aur aasmanun ko Apny Dayein Hath mein lapait lega, phir Farmayega ke "Ab Mein (Allah) Hun Badsha, aaj zameen ke badsha kahan gye?". [6519: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal