News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 24
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 16
Total: 16
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#621
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Ummat Muhammad (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam)! Wallah, agr tum wo janty jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) janta hun to zyada roty aur kam hansty. [6631: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#622
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasam Torna)
June 09, 2014, 08:52:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wa-Allah (basa oqat) apny ghar walun ke mamla mein tumhara apni qasmun per israr kerty rehna Allah ke nazdeek is se zyada gunah ki baat hoti ha ke (qasam tor ker) uska wo kaffara ada ker dya jye jo Allah ne usper faraz kya ha. [6625: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef]
#623
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aakhri Ummat)
June 08, 2014, 09:21:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ham akhri Ummat hein aur Qiyamat ke din Jannat mein sab se pehly dakhil hongy. [6624: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#624
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Abd-ur-Rehman bin Samrah! Kabhi kisi hakumat ke ohdeh ki darkhwast na kerna kyunke agr tumhein ye mangny ke baad mily ga to Allah Apni Madad tujhse utha lega. Tu jaan, tera kaam jany aur agr wo ohdah tumhein baghair mangy milgya to isme Allah ki taraf se tumhari a'anat ki jyegi aur jab tum koi qasam kha lo aur uske siwa kisi aur cheez mein bhalai daikho to apni qasam ka kaffara de do aur wo kaam kro jo bhalai ka ho. [6622: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abd-ur-Rehman bin Samrah]
#625
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah se panah manga karo azmaish ki mushaqat, bad-bakhti ki pasti, bury khatmy aur dushman ke hansany se. [6616: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#626
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zina)
June 05, 2014, 10:58:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne insaan ke lye zina ka koi na koi hissa likh dya ha jis se usy la-mahala guzarna ha, pas aankh ka zina (ghair-mehram ko) daikhna ha, zuban ka zina ghair-mehram se guftagu kerna ha, dil ka zina khwahish aur shehwat ha aur sharam-gah iski tasdeeq ker deti ha ya isy jhutla deti ha. [6612: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#627
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Masoom)
June 04, 2014, 09:27:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab bhi koi shaks hakim hota ha to uske salah-kaar aur masheer do (2) tarhan ke hoty hein aik (1) to wo jo usy naiki aur bhalai ka hukam dety hein aur us per ubharty rehty hein aur dosry wo jo usy burai ka hukam dety rehty hein aur us per usy ubharty rehty hein aur masoom wo ha jisy Allah mehfooz rakhy. [6611: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#628
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Ka Khazana)
June 04, 2014, 12:24:36 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Apny aap per reham kro, kyunke tum kisi behry ya ghair mojud ko nhi pukarty balke tum Us Zaat ko pukarty ho jo bohat zyada Sunny Wala Bara Daikhny Wala Ha. Phir farmaya Aye Abdullah bin Qais (Abu Musa Asha'ra)! Kiya Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhein aik (1) Kalima na sikha du jo Jannat ke khazanun mein se ha. (wo kalima ha) "La Haula Wala Quwwata Illah Billah (Taqat-o-Quwat Alah ke siwa aur kisi ke pas nhi)". [6610: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Asha'ra]
#629
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mannat, Taqdeer)
May 31, 2014, 08:58:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nazar (mannat) insan ko koi cheez nhi deti jo Mein (Allah) ne uski taqdeer mein na likhi ho balke wo taqdeer deti ha jo Mein (Allah) ne uske lye muqarar ker di ha, albata iske zarya Mein (Allah) bakheel ka maal nikalwa leta hun. [6609: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#630
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mannat)
May 30, 2014, 10:14:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne nazar manny se mana kiya tha aur farmaya tha ke nazar kisi cheez ko nhi lotati, nazar sirf bakheel ke dil se paisa nikalti ha. [6608: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
#631
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Talaq Ka Mutalba)
May 29, 2014, 10:04:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi aorat apni kisi (deni) behan ki talaq ka mutalba (shohar se) na kry ke uske ghar ko apny hi lye khaas kerna chahy. Balke usy nikah (dosri aorat ki majudgi mein bhi) ker lena chahye kyunke usy utna hi mily ga jitna uske muqadar mein hoga. [6601: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#632
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi bacha aisa nhi ha jo fitrat per na paida hota ho. Lakin uske waldain usy yahudi ya nasrani bna dety hein jaisa ke tumhary janwarun ke bachy paida hoty hein. Kya in mein koi kan (ear) kata paida hota ha? Wo to tum hi iska kaan kaat dety ho. [6599: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#633
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne Reham-Madar per aik (1) Farishta muqarar ker dya ha aur wo kehta rehta ha ke Aye Rab! Ye nutfa qarar paya ha. Aye Rab! Ab 'alqah' yani jama hua khoon ban gya ha. Aye Rab! Ab 'muzghah' (gosht ka lothra) ban gya ha. Phir jab Allah chahta ha ke iski paidaish puri kry to wo poochta ha Aye Rab! Larka ha ya larki? Naik ha ya bura? Iski rozi kya hogi? Iski moa't kab hogi? Isi tarhan ye sab batein Maan ke pait hi mein likh di jati hein. [6595: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#634
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Taqdeer)
May 26, 2014, 09:50:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me se her shaks pehly apni maan ke pait mein chalees (40) din tak nutfa hi rakha jata ha, phir itni hi mudat mein 'alqah' yani khoon ki phutki bandta ha, phir itny hi arsa mein 'mazghah' (yani ghosht ka lothra), phir chaar (4) mah baad Allah aik (1) Farishta bhejta ha aur uske bary mein (Maan ke pait hi mein) chaar (4) batun ke likhny ka hukam diya jata ha. Uski rozi ka, us ki moa't ka, uska ke wo bad-bakht ha ya naik-bakht. Pas WAllah, tum me se aik (1) shaks dozakh walun ke se kaam kerta rehta ha aur jab iske aur dozakh ke darmyan sirf aik (1) balisht ka fasla ya aik (1) hath ka fasla baqi reh jata ha to uski taqdeer usper ghalib aa jati ha aur wo Jannat walun ke se kaam kerny lagta ha aur Jannat mein jata ha. Isi tarhan aik (1) shaks Jannat walun ke se kaam kerta rehta ha aur jab uske aur Jannat ke darmyan aik (1) hath ka fasla baqi reh jata ha to uski taqdeer usper ghalib aa jati ha aur wo dozakh walun ke kaam kerny lagta ha aur dozakh mein jata ha. [6594: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#635
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hoz-e-Kosar)
May 25, 2014, 09:47:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mera Hoz (Hoz-e-Kosar) aik (1) maheeny ki musafat ke baraber hoga. Is ka pani doodh se zyada sfaid aur iski khushbu mushk se zyada achi hogi aur iske kuzy (pyaly) aasman ke sitarun ki tadad ke baraber hongy. Jo shaks is me se aik (1) martaba pee le ga wo phir kabhi bhi (Maidan-e-Hashar mein) pyasa na hoga. [6579: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#636
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein Apny Hoz (Hoz-e-Kosar) per tum se pehly hi mojud rahunga aur tum mein se kuch log Mery samny lay jyengy phir inhein Mery samny se hata diya jyega to Mein kahunga ke Aye Mery Rab! Ye Mery sathi hein lakin Mujh se kaha jyega ke Aap nhi janty ke inhun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke baad Deen mein kiya kiya nai cheezain ejad ker li thein. [6576: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#637
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein jo bhi dakhil hoga usy uska jahanum ka thikana bhi dikhaya jyega ke agr na-farmani ki hoti (to wahan usy jagha milti) ta ke wo aur zyada shukr kery aur jo  bhi jahanum me dakhil hoga usy uska Jannat ka thikana bhi dikhaya jyega ke agr achy amal kiye hoty (to wahan jagha milti) ta ke uske lye hasrat-o-afsos ka ba'is ho. [6569: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#638
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke rasty mein Jihad ke lye aik (1) subha ya aik (1) sham safar kerna dunya aur jo kuch is mein ha, se barh ker ha aur Jannat mein tumhari aik (1) kaman ke baraber jaga ya aik (1) qadam ke fasly ke baraber jaga dunya aur jo kuch is me ha, se behtar ha aur agr Jannat ki aoratun mein se koi aorat ruy-e-zameen ki taraf jhank ker daikh le to asmaan se le ker zameen tak munawar ker dy aur in tamam ko khushbu se bhar de aur uska dopatta dunya-o-mafiyah se barh ker ha. [6568: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef]
#639
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanameen)
May 21, 2014, 09:18:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) jamat jahanum Meri ( Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Shifa't ki waja se nikly gi aur Jannat mein dakhil hogi jin ko jahanameen ke naam se pukara jyega. [6566: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]
#640
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din dozakhiun mein azab ke aitbar se sab se halka azab pany wala wo shaks hoga jis ke dono pairun ke neechy do (2) angary rakh diye jyengy jin ki waja se uska dimagh khol rha ho ga jis tarhan handi aur kaitli josh khati ha. [6562: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Nouman bin Basheer]
Powered by EzPortal