News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 160
Total: 160
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#61
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jadu)
April 05, 2016, 10:27:59 PM
Hazrat Ayesha ne farmaya ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jadu ker diya gya tha. To baaz dafa aisa hota ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam samajhty ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne falan kaam ker lya ha, halan ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne wo kaam na kiya hota. [3175: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#62
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne kisi zami ko (na haq) qatal kiya wo Jannat ki khushbu bhi na paa skyga. Halanke Jannat ki khushbu chalees (40) saal ki rah se sohngi ja skti ha. [3166: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#63
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Shetan insan ke andar is tarhan dorta rehta ha jaisy jism ke andar khoon dorta ha. [3101: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali bin Hussain Zain-ul-Abdeen]
#64
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab din charhy safar se wapis hoty to bhetny se pehly Masjid mein ja ker do (2) raka't nafal Nimaz parhty thy. [3088: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Ka'ab]
#65
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jihad Se Wapsi)
March 27, 2016, 11:08:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Jihaad se wapis hoty to teen (3) baar Allah-o-Akbar kehty, aur ye Dua parhty "Insha-Allah Ham Allah ki taraf lotny waly hein. Ham toba kerny waly hein. Apny Rab ki ibadat kerny waly hein. Us ki tareef kerny waly aur Us ke lye Sajda kerny waly hein. Allah ne Apna wa'da sacha ker dikhaya, Apny bandy ki madad ki, aur kafirun ke lashkar ko Usi akely ne shakiest de di. [3084: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#66
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne fatah Makkah ke din farmaya! Ab Hijrat (Makkah se Madinah ke lye) baqi nhi rhi, albata husan-e-niyyat aur Jihad baqi ha, islye jab tumhein Jihad ke lye bulaya jye to foran nikal aao. [3077: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abbas]
#67
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chori)
March 25, 2016, 07:47:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke saman-o-asbab per aik sahib muqarar thy, jin ka naam Karkarah tha. Us ka intiqaal ho gya, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke wo to jahanum mein gya. Sahaba unhein diakhny gaye to aik (1) ab'aa jisy khiyanat ker ke unhun ne chupa lya tha un ke yahn mili. [3074: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#68
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko jab kisi qoam per fatha hasil hoti, to maidan-e-jang mein teen (3) raat qiyam farmaty.  [3065: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Talha]
#69
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! "Aani" yani qaidi ko churaya kro, bhoky ko khilaya karo, aur bemar ki ayadat kiya karo. [3046: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#70
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jang to aik (1) chaal-bazi ka naam ha. [3030: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#71
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dushman se larny bhirny ki tamanna na karo, Haan! Agr jang shurow hi ho jye to phir sabar se kaam lo. [3026: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Huraraih]
#72
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) chunti ne aik (1) Nabi (Hazrat Uzair ya Hazrat Musa) ko kaat lya tha, to unke hukam se chuntiun ke sary ghar jala diye gye. Is per Allah ne unke pas Wahi bheji ke agr Tumhein aik (1) chunti ne kaat lya tha to Tumne aik (1) aisi khalqat ko jala ker khaak ker diya jo Allah ki tasbeeh biyaan kerti thi. [3019: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#73
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aag Mein Jalana)
March 18, 2016, 07:44:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein aik (1) mohim per rawana farmaya aur ye hadayat farmai ke agr tumhein falan aur falan mil jyen to unhein aag mein jala dena, phir jab ham ne rawangi ka irada kya to Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Mein ne tumhein hukam dya tha ke falan aur falan ko jala dena, lakin aag aik (1) aisi cheez ha jis ki saza sirf Allah hi de skta ha, is lye agr wo tumhein milein to unhein qatal kerna. [3016: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#74
Aik (1) aorat Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany mein kisi Ghazway mein maqtool pai gai to Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aoratun aur bachun ke qatal se mana farmaya. [3015: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#75
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi mard kisi (ghair mehram) aorat ke sath tanhai mein na bhethy aur koi aorat us waqat tak safar na kery jab tak uske sath koi uska mehram na ho. Itny mein aik (1) Sahabi khary huy aur arz kiya, Ya Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Mein ne falan Jihad mein apna naam likhwa diya ha aur udhar meri bivi Haj ke lye ja rhi hein. Aap Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke phir tu bhi ja aur apni bivi ko Haj kara la. [3006: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Abbas]
#76
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Taant Ka Gandda)
March 15, 2016, 07:58:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik safar mein apna aik qasid (Hazrat Zaid bin Harsa) ye ailan kerny ke lya bheja ke jis shaks ke oont ki garden mein taant ka gandda ho ya yun farmaya ke jo gandda (haar) ho wo isy kaat daly. [3005: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef]
[Hazrat Abu Basheer Ansari] [Kisi janwar ke galy mein mehaz zeenat aur tafakhar ke lye ghanti ya koi aur bajy ki kisam ka latkana mana ha]
#77
Aik (1) Sahabi Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se Jihad mein shirkat ki ijazat chahi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Us Sahabi se daryaft kiya, kiya Tumhary Maan Baap zinda hein? Unhun ne kaha ke ji haan! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Phir unhein mein Jihad karo. [3004: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umro]
#78
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Safar Azab Ka Tukra)
March 13, 2016, 08:45:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Safar kya ha goya azab ka aik (1) tukra ha, aadmi ki neend, khany peeny sab me rukawat paida kerta ha. Is lye jab musafir apna kaam pura ker le to usy jaldi ghar wapis aa jana chahye. [3001: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Abu Hurairah]
#79
Jab ham bulandi per charty to Allah-o-Akbar kehty aur nashaib mein utarty to Subhan-Allah kehty thy. [2994: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Jabir]
#80
Hazrat Umer bin Khitab ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se farmaya, mein ne Allah ke rasty mein (Jihad ke lye) apna aik (1) ghora aik (1) shaks ko sawari ke lye diya tha, phir mein ne dekha ke (bazar mein) whi ghora bik rha ha. Mein ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke mein isy kharid skta hun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke is ghory ko tum na kharido aur apna sadqa (khuwah kharid ker hi ho) wapis na lo. [2970: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Zaid bin Aslam]
Powered by EzPortal