News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 28
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 27
Total: 27
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#561
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab)
August 18, 2014, 09:33:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Achy) khwab Allah ki taraf se hoty hein aur bury khwab shaitan ki taraf se hoty hein. [6984: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#562
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Waba)
August 17, 2014, 11:35:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tumhein maloom ho ke kisi sar-zameen mein waba pheli hui ha to usmein dakhil mat ho, lakin agr kisi jaga waba phoot pary aur tum wahein majood ho to waba se bhagny ke lye tum wahan se niklo bhi mat. [6973: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#563
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein tumhara hi jaisa insan hun aur baaz-oqat jab tum bahimi jhagra laty ho to mumkin ha ke tum mein se baaz apny fareeq mukhalif ke muqabla mein apna muqadma pesh kerny mein zyada chalaki se bolny wala ho aur is tarhan Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) iske mutabiq faisla ker dun jo Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tum se sunta hun. Pas jis shaks ke lye bhi uske bhai ke haq mein se kisi cheez ka faisla ker dun to wo usy na le. Kyun ke is tarahn Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) usy jahanum ka aik (1) tukra deta hun. [6967: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Um-e-Salma]
#564
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her dhoka deny waly ke lye Qiyamat ke din aik (1) jhanda hoga jis ke zarya wo pehchana jyega. [6966: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#565
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum kuch khareeda karo to keh dya kro ke isme koi dhoka nhi hona chahye. [6964: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#566
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chitkubra Azdaha)
August 13, 2014, 10:40:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din tum mein se kisi ka khazana chitkubra azdaha ban ker ayega us ka malik us se bhagy ga lakin wo usy talash ker rha hoga aur kahyega ke mein tumhara khazana hun. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wa-Allah! Wo musalsal talash kerta rhyga yahan tak ke wo shaks apna hath phela dega aur azdaha usy luqma bnayga. [6957: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#567
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat)
August 12, 2014, 08:56:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! A'maal ka daro-madar niyyatun per ha aur her shaks ko whi milyga jiski wo niyyat kryga pas jiski Hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki taraf ho usy Hijrat (ka sawab milyga) aur jis ki Hijrat ka maqsad dunya hogi ke jisy wo hasil kerly ya koi aorat hogi jis se wo shadi ker ly to uski Hijrat usi ke lye hogi jis ke lye usne Hijrat ki ha. [6953: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umer bin Khitab]
#568
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bhai Ki Madad Kerna)
August 11, 2014, 10:46:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny bhai ki madad kro, khwah wo zalim ho ya mazloom. Aik (1) Sahabi ne arz kya! Ya Rasool Allah! Jab wo zalim ho to Mein uski madad krunga lakin Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka kya khyal ha ke jab wo zalim ho ga phir mein uski madad kesy karun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke us waqat tum usy zulm se rokna kyunke yhi uski madad ha. [6952: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#569
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman musalman ka bhai ha. Na us per zulm kery aur na usy (kisi zalim ke) supurd kry. Aur jo shaks apny kisi bhai ke zarurat puri kerny mein lga hoga Allah uski zarurat aur hajat puri kryga. [6951: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#570
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aorat Se Ijazat Lena)
August 09, 2014, 10:30:05 PM
Hazrat Ayesha ne byan kiya ke mein ne arz kiya Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Kiya aoratun se unke nikah ke silsila mein ijazat li jyegi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan. Mein ne arz kya lakin kanwari larki se agr ijazat li jyegi to wo sharam ki waja se chup saadh legi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke uski khamoshi hi ijazat ha. [6946: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#571
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ki Sheerni)
August 08, 2014, 10:12:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) khasusiyatein aisi hein ke jis me pai jyengi wo Iman ki sheerni pa lega. Awal (1) ye ke Allah aur Us ke Rasool usy sab se zyada aziz hon. Dosry (2) ye ke wo kisi shaks se mohabbat sirf Allah hi ke lye kry. Teesry (3) ye ke usy kufar ki taraf lot ker jana itna na-gawar ho jaisy aag mein phaink dya jana. [6941: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#572
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Iraq)
August 06, 2014, 11:48:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne Iraq ki taraf Hath Mubarak se ishara farmaya ke idhar se aik (1) jamat niklygi ye log Qur'an parhein gy lakin Qur'an in ke halakun se neechy nhi utry ga. Wo Islam se is tarhan bahir ho jyengy jaisy teer shikar ke janwar se bahir nikal jata ha. [6934: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Haneef]
#573
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Allah narmi kerta ha aur her kaam mein narmi ko pasand kerta ha. [6927: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#574
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aag Allah Ka Azab Ha)
August 02, 2014, 10:36:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Aag Allah ka azab ha, tum Allah ke azab se kisi ko mat azab do. [6922: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#575
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bary Gunah)
July 31, 2014, 11:15:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Bary se bara gunah Allah ke sath shirk kerna ha, Maan Baap ko satana (unki na-farmani kerna) aur jhoti gawahi dena ha. [6919: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#576
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks tery ghar mein (kisi sorakh ya jangly waghera se) tum se ijazat lye baghiar jhank rha ho aur tum usy kankri maro jis se uski aankh phoot jye to tum per koi saza nhi ha. [6888: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef]
#577
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Aagy Ummat)
July 29, 2014, 11:47:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Ham akhri ummat hein lakin (Qiyamt ke din) sab se aagy rehny waly hein. [6887: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#578
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Musalman Ka Khoon)
July 28, 2014, 09:56:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi musalman ka khoon jo Kalima La Ilaha Illala Ho Muhammad-ur-Rasool Allah ka manny wala ho halal nhi ha albata teen (3) soortun mein jaiz ha. Jaan ka badla jaan leny wala, shadi shuda ho ker zina kerny wala aur Islam se nikal jany wala (murtad) jamat ko chor deny wala. [6878: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#579
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Jab do (2) musalman talwar khainch ker aik (1) dosry se bhirr jayen to qatil aur maqtool dono dozakh mein jaty hein. Arz kiya Ya Rasool Allah! Aik (1) to qatil tha lakin maqtool ko saza kyun milygi? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo bhi apny qatil ke qatal per amada tha. [6875: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#580
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bary Gunah)
July 26, 2014, 10:37:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se bary gunah Allah ke sath shareek tehrana, kisi ki na-haq jaan lena, waldain ki na-farmani kerna aur jhoot bolna hein ya farmaya ke jhooti gwahi dena. [6871: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
Powered by EzPortal