Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agah ho jao, tum mein se her aik (1) nagehban ha aur her aik (1) se uski riaya ke bary mein sawal kiya jyega. Pas Imam (Ameer-ul-Momeneen) logun per nagehban ha aur us se uski riaya ke bary mein sawal hoga. Mard apny ghar walun ka nagehban ha aur us se uski riaya ke bary mein sawal hoga aur aorat apny shohar ke ghar walun aur uske bachun ki nagehban ha aur us se unke bary mein sawal hoga aur kisi shaks ka ghulam apny sardar ke maal ka nagehban ha aur us se us ke bary sawal hoga. Agah ho jao ke tum mein se her aik (1) nagehban ha aur her aik (1) se uski riaya ke bary mein pursish hogi. [7138: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]