News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 34
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 22
Total: 22
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#521
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Moa't Ki Arzu)
October 02, 2014, 09:48:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks tum mein se moa't ki arzu na kery, agr wo naik ha to mumkin ha naiki mein aur zyada ho aur agr bura ha to mumkin ha is se toba ker le. [7235: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdul Rehman]
#522
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Moa't Ki Dua)
October 01, 2014, 09:39:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein moa't ki Dua kerny se mana na kiya hota to mein iski Dua kerta. [7234: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Khubab bin Art]
#523
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Moa't Ki Arzu)
September 30, 2014, 10:22:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se ye na suna hota ke moa't ki tamanna na karo to mein moa't ki arzu kerta. [7233: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#524
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk sirf do (2) shaksun per ho skta ha aik (1) wo jisy Allah ne Qur'an diya ha aur wo usy din raat parhta rehta ha aur is per (sunny wala) kahy ke agr mujhy bhi iska aisa hi ilm hota jaisa ke is shaks ko diya gya ha to mein bhi isi tarhan kerta jaisa ke ye kerta ha aur dosra (2) wo shaks jisy Allah ne maal diya aur wo usy Allah ke rasty mein kharch kerta ha to (daikhny wala) khy ke agr mujhy bhi itna dya jata jaisa isy diya gya ha to mein bhi isi tarhan kerta jaisa ke ye ker rha ha. [7232: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#525
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr Mery pas Ohad pahar ke baraber sona hota to Mein pasand kerta ke agr inke leny waly mil jyen to teen (3) din guzarny se pehly hi Mery pas is mein se aik (1) dinar bhi na bachy, siwa iske jisy Mein apny upper qarz ki adaigi ke lye rok lu. [7228: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#526
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki qasam jiske Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Jaan ha, Meri aarzu ha ke Mein Allah ke rasty mein jang karun aur qatal kiya jaun phir zinda kiya jaun, phir qatal kiya jaun, phir zinda kiya jaun, phir qatal kiya jaun. [7227: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#527
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jamat Ke Sath Nimaz)
September 25, 2014, 09:41:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki qasam Jiske Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki Jaan ha! Mera irada hua ke Mein lakriun ke jama kerny ka hukam dun, phir Nimaz ke lye Azaan deny ka, phir kisi se kahun ke wo logun ko Nimaz parhaye aur Mein iske bajaye un logun ke pas jaun (jo jamat mein shareek nhi hoty) aur unhein unke gharun samait jala dun. Qasam ha Us Zaat ki Jis ke Hath mein Meri Jaan ha ke tum se kisi ko agr ye umeed ho ke wahan moti haddi ya do (2) marmatah hasna (bakri ke khur) ke darmyan ka gosht milyga to wo zarur (Nimaz) Isha mein shareek ho. [7224: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#528
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhoti Kasam)
September 24, 2014, 11:41:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks aisi qasam khaye jo jhoti ho jiske zarya wo kisi dosry ka maal maar le to Allah se wo is haal mein milyga ke Wo (Allah) is per ghazab-naak Hoga. Phir Allah ne ye Ayat (iski tasdeeq mein) nazil farmai "Bila-shuba jo log Allah ke Ehad aur uski qasmun ko thori punji ke badly kharidty hein". [7183: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#529
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bad-tareen shaks do (2) rukha ha. Kisi ke samny uska aik (1) rukh hota ha aur dosry ke samny dosra (2) rukh bartata ha. [7179: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#530
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qaidi, Da'wat)
September 22, 2014, 10:07:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qaidiun ko churao aur da'wat kerny waly ki da'wat qabool karo. [7173: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#531
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aag Ka Aik (1) Tukra)
September 21, 2014, 11:09:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bila-shuba Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) aik (1) insan hun, tum Mery pas apny jhagry laty ho. Mumkin ha tum mein se baaz apny muqadmy ko paish kerny mein fareeq-sani ke muqabla mein zyada churb-zuban ho aur Mein tumhari baat sun ker faisla ker dun to jis shaks ke lye Mein uske bhai (fareeq mukhalif) ka koi haq dila dun, chahye ke wo isy na le kyunke ye aag ka aik (1) tukra ha jo Mein isy deta hun. [7169: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Salma]
#532
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se baaz nimaziun ko nafrat dilany waly hein, pas tum mein se jo shaks bhi logun ko Nimaz parhaye usy ikhtisar kerna chahye kyunke jamat mein burhy, bachy aur zarurat mand sab hi hoty hein. [7159: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood]
#533
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi saalis do (2) admiun ke darmyan faisla us waqat na kry jab wo ghusa me ho. [7158: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#534
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Musalmanun Ka Hakim)
September 18, 2014, 10:19:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr koi shaks musalmanun ka hakim banaya gya aur usne inke mamla mein khyanat ki aur isi halat mein mar gya to Allah is per Jannat ko haram ker deta ha. [7151: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ma'qal bin Yasaar]
#535
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Ki Khushbu)
September 17, 2014, 09:09:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah kisi bandah ko kisi rayyat ka hakim banata ha aur wo khair khwahi ke sath iske hifazat nhi kerta to wo Jannat ki khushbu bhi nhi payega. [7150: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ma'qal bin Yasaar]
#536
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum hakumat ka lalach krogy aur ye Qiyamat ke din tumhary lye bais-e-nidamat hogi. Pas kya hi behtar ha doodh pilany wali aur kya hi buri ha doodh churany wali. [7148: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#537
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hakomat Ke Talib Na Bn'na)
September 15, 2014, 10:11:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye Abdur Rehman! Hakomat ke talib na bn'na kyunke agr tumhein mangny ke baad hakumat mili to tum iske hawaly ker dye jaogy aur agr tumhein wo bila mangy mili to is mein tumhari (Allah ki taraf se) madad ki jaygi aur agr tum ne qasam kha li ho phir iske siwa dosri cheez mein bhalai daikho to apni qasam ka kaffara ada ker do aur wo kaam kro jis mein bhalai ho. [7146: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdur Rehman]
#538
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisne apny Ameer mein koi bura kaam daikha to usy sabar kerna chahye kyunke koi agr jama't se aik balisht bhi juda ho to wo jahliyat ki moa't maryga. [7143: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abas]
#539
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Suno Aur Ata’at Kro)
September 13, 2014, 08:57:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Suno aur Ata'at kro, khwah tum per kisi aisy habshi ghulam koi hi aamil banaya jye jiska sir (head) manqa ki tarhan chota ho. [7142: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#540
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk bas do (2) admiun per hi kiya jana chahye. Aik (1) wo shaks jisy Allah ne maal diya aur phir usne wo Haq ke rasty mein be-daraigh kharch kiya aur dosra wo jisy Allah ne Hikmat Deen ka Ilm (Qura'n-o-Hadith) ka dya ha wo iske muwafiq faisly kerta ha. [7141: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
Powered by EzPortal