News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 18
Most Online Ever: 258
(December 26, 2024, 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 13
Total: 13
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#501
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Raat Ki Dua)
October 26, 2014, 08:19:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam raat mein ye Dua kerty thy. "Aye Allah! Tery hi lye ta'reef ha Tu asman-o-zameen ka Malik ha, Hamd Tery lye hi ha, Tu asman-o-zameen ka qaim kerny wala ha aur in sab ka jo ismein hein. Tery hi lye Hamd ha Tu asman-o-zameen ka Noor ha. Tera qoal Haq ha aur Tera wada sach ha aur Teri mulaqat sach ha aur Jannat sach ha aur dozakh sach ha aur qiyamat sach ha. Aye Allah! Mein ne Tery hi samny sir jhuka diya, Mein Tujh hi per Imaan laya, Mein ne Tery hi upper bharosa kiya aur Teri hi taraf raju kiya. Mein ne Teri hi madad ke sath muqabla kiya aur Mein Tujhi se insaaf ka talab-gar hun, pas Tu Meri Maghfarat ker, in tamam gunahun mein jo Mein pehly ker chuka hun aur jo baad mein Mujh se sadir hon, jo Mein ne chupa rakhy hein aur jin ka Mein ne izhar kiya ha, Tu hi Mera Ma'bood ha aur Tery siwa aur koi Ma'bood nhi". [7385: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#502
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dozakhyun ko baraber dozakh mein dala jata rhyga aur wo khy jyegi ke kya abhi aur bhi ha? Yahan tak ke Rab-ul-Aalameen is per Apna Qadam rakh dega aur phir is ka baaz (hissa) baaz (hissa) se simat jyega aur us waqat wo khygi ke bas bas, Teri Izzat aur Karam ki Qasam! Aur Jannat mein jagah baqi reh jyegi, yahan tak ke Allah is (dozakh) ke lye aik (1) aur makhlooq paida ker dega aur wo log Jannat ke baqi hissy mein rhngy. [7384: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#503
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! "Teri Izzat ki panha mangta hun ke koi ma'bood Tery (Allah ke) siwa nhi, Teri aisi Zaat ha jisy mo'at nhi aur jin-o-ins fana ho jyengy". [7383: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibne-e-Abbas]
#504
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Qiyamat ke din zameen ko Apni Muthi mein le lega aur asman ko Apny Dayein (Right) Hath mein lapait lega phir farmaye ga "Mein Badsha Hun, Kahan Hein Zameen Ke Badsha". [7382: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#505
Agr tum me se koi ye kehta ha ke Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apny Rab ko daikha to wo ghalt kehta ha kyunke Allah apny bary mein khud kehta ha ke nazrain usko nhi daikh saktein aur jo koi kehta ha ke Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ghaib janty thy to ghalt kehta ha kyuke Allah khud kehta ha ke ghaib ka ilm Allah ke siwa aur kisi ko nhi. [7380: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#506
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghaib ki paanch (5) kunjian hein, jinhein Allah ke siwa aur koi nhi janta. Allah ke siwa aur koi nhi janta ke Reham-Madar (Maan ke pait) mein kya ha, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke kal kya hoga, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke barish kab ayegi, Allah ke siwa aur koi nhi janta ke kis jagah koi mary ga aur Allah ke siwa koi nhi janta ke Qiyamat kab qaim hogi. [7379: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#507
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Takleef Deh Baat)
October 20, 2014, 09:09:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Takleef deh baat sun ker Allah se zyada sabar kerny wala koi nhi ha. Kam-bakht mushrik kehty hein ke Allah olad rakhta ha aur phir bhi wo unhein maaf kerta ha aur unhein rozi deta ha. [7378: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#508
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Reham Nhi Kya Jata)
October 18, 2014, 09:45:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo logun per reham nhi khata Allah bhi us per Reham nhi khata. [7376: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jarir bin Abdullah]
#509
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gunah Ka aik (1) Hissa)
October 17, 2014, 08:51:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks bhi zulm ke sath qatal kiya jyega uske (gunah ka) aik (1) hisa Hazrat Adam ke pehly bety (qabeel) per bhi paryga. [7321: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#510
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk do (2) hi admiun per ho skta ha, aik (1) wo jisy Allah ne maal diya aur usy (maal ko) Rah-e-Haq mein lutanay ki puri tarhan tofeeq mili hoti ha aur dosra (2) wo jisy Allah ne Hikmat di ha aur wo iske zarya faisla kerta ha aur uski ta'leem deta ha. [7316: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#511
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khair Ka Irada)
October 15, 2014, 09:19:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah jis ke sath khair ka irada kerta ha usy deen ki samjh ata farma deta ha aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) to sirf taqseem kerny wala hun aur deta Allah ha aur is Ummat ka mamla hamesha darust rhyga, yahan tak ke Qiyamat qaim ho jaygi ya (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne yun farmaya ke) yahan tak ke Allah ka hukam aa pohanchy. [7312: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Muawiha bin Abi Sufyan]
#512
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri Ummat ka aik (1) garoh hamesha ghalib rhyga (ismein ilmi-o-deeni ghalba bhi dakhil ha) yahan tak ke Qiyamat aa jaygi aur wo ghalib hi rhyngy. [7311: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Mughaira bin Sha'ba]
#513
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sawal)
October 13, 2014, 09:32:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Insan baraber sawal kerta rhyga, yahan tak ke sawal kryga ke ye to Allah ha, her cheez ka paida kerny wala lakin Allah ko kis ne paida kya. [7296: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#514
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Bara Mujrim)
October 12, 2014, 11:59:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se bara mujrim wo musalman ha jisne kisi aisi cheez ke motaliq poocha jo haram nhi thi aur uske sawal ki waja se wo haram kerdi gai. [7289: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Amir bin Saeed bin Abi Waqas]
#515
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sari Ummat Jannat mein jaygi siway unke jinhun ne inkar kiya. Sahaba ne arz kiya, Ya Rasool Allah! Inkar kon kryga? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo Meri ata'at kryga wo Jannat mein dakhil hoga aur jo Meri na-farmani kryga usne inkar kya. [7280: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#516
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kitab Allah Se Faisla)
October 10, 2014, 07:14:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Yaqinan Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) tumhary darmyan Kitab-Allah se faisla karunga. [7278: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#517
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se achi baat kitaab Allah ha aur sab se acha tariqa Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ka tariqa ha aur sab se buri nai baat (bid'at) paida kerna ha (Deen mein) aur bila-shuba jis ka tumse wada kiya jata ha wo aa ker rhygi aur tum Parwardigar (Allah) se bach ker kahein nhi ja skty. [7277: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#518
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imanat-Dari)
October 05, 2014, 07:55:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Imanat-dari asman se baaz logun ke dilun ki jarun mein utri (yani unki fitrat mein dakhil ha) aur Qur'an Majeed nazil hua to unhun ne Qur'an Majeed ka matlab samjha aur sunnat ka ilm hasil kiya to Qur'an-o-Hadith dono se is iman-dari ko jo fitarti thi puri quwat mil gai. [7276: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa bin Yaman]
#519
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik baagh mein dakhil huy aur mujhy (Abu Musa) darwaza ki nigrani ka hukam diya, phir aik Sahabi aye aur ijazat chahi, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Inhein ijazat de do aur inhein Jannat ki bisharat de do. Wo Hazrat Abu Bakar thy. Phir Hazrat Umer aye, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Inhein bhi ijazat de do aur Jannat ki bisharat de do. Phir Hazrat Usman aye, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Inhein bhi ijazat de do aur Jannat ki bisharat de do. [7262: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#520
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aafiyat Ki Dua)
October 03, 2014, 08:15:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Dushman se mud-bheer (larai) hony ki tamana na kro aur Allah se aafiyat ki Dua manga kro. [7237: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abi Ufa]
Powered by EzPortal