News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 258
Most Online Ever: 258
(Today at 03:57:34 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 31
Total: 31
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#481
Aik shaks Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke pas aya aur kaha ke koi shaks hamiyat ki waja se larta ha koi bahaduri ki waja se larta ha aur koi dikhaway ke lye larta ha to in mein se kon Allah ke rasty mein ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jo islye larta ha ke Allah ka Kalima hi buland rhy. [7458: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#482
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Rehmat)
November 15, 2014, 08:05:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah makhlooq ko paida ker Chuka to Arsh ke upper Apny pas ye likha ke Meri Rehmat Mery Ghussy se aagy barh gai ha. [7453: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#483
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanameen)
November 14, 2014, 08:13:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kuch log un gunahun ki waja se jo unhun ne kiye hongy, aag se jhulas jyengy. Ye inki saza hogi, phir Allah Apni Rehmat se inhein Jannat mein dakhil kryga aur inhein "Jahanameen" kaha jyega. [7450: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#484
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhooti Qasam)
November 13, 2014, 08:43:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Qiyamat ke din baat nhi Kryga aur na unki taraf Rehmat se Daikhyga. Aik (1) wo jis ne kisi saman ke motaliq qasam khai ke usy usne itny mein kharida ha, halanke wo jhoota ha. Dosra (2) wo shaks jis ne asar ke baad jhooti qasam islye khai ke kisi musalman ka maal na-haq maar le aur teesra (3) wo shaks jisne zarurat se faltu pani mangny waly ko nhi dya to Allah Qiyamat ke din usy Khyga ke jis tarhan tu ne is zaid-az-zarurat faltu cheez se dosry ko roka jisy tery hathun ne banaya bhi nhi tha, Mein (Allah) bhi tujhy Apna Fazal nhi Dunga. [7446: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#485
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jhooti Qasam)
November 12, 2014, 10:40:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisne kisi musalman ka maal jhoti qasam kha ker maar lya to wo Allah se is haal mein milyga ke wo is per ghazabnak hoga. [7445: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#486
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein koi aisa nhi hoga jis se Uska Rab (Allah) kalam na kry. Us (Allah) aur bandy ke darmyan koi tarjuman na hoga aur na koi hijab hoga jo isy chupaye rakhy. [7443: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adi bin Hatim]
#487
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum apny Rab (Allah) ko saaf saaf daikhogy. [7435: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jarir bin Abdullah]
#488
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum log apny Rab ko isi tarhan daikhogy jis tarhan is chand (Chodhawein (14) raat ka chand) ko daikh rhy ho aur Is ke daikhny mein koi dhaka-pail nhi hogi. Pas agr tumhein iski taqat ho ke suraj ta'lu hony ke pehly aur suraj ghroob hony ke pehly ki Nimazun mein susti na ho to aisa ker lo. [7434: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jarir]
#489
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pareshani ke waqat ye Dua kerty thy "Allah ke siwa koi ma'bood nhi jo bohat janny wala bra burdbar ha. Allah ke siwa koi ma'bood nhi Jo Arsh-e-Azeem ka Rab ha. Allah ke siwa koi Rab nhi Jo asmanun ka Rab ha, zameen ka Rab ha aur Arsh-e-Karim ka Rab ha". [7424: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#490
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne jab makhlooq paida ki to Arsh ke upper Apny pas likh diya ke Meri Rehmat Mery Ghussy Se Barh Ker Ha. [7422: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#491
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ka Hath bhara hua ha, Usy koi kharch kam nhi kerta jo din-o-raat wo kerta rehta ha. Kiya tumhein ma'loom ha ke jab se zameen-o-asman ko Us (Allah) ne paida kiya ha kitna kharch ker dya ha. Is sary kharch ne is mein koi kami nhi ki jo Us (Allah) ke Hath mein ha aur Us (Allah) ka Arsh pani per tha aur Us (Allah) ke dosry Hath mein tarazu ha jisy Wo Uthata aur Jhukata ha. [7419: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#492
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke Mein Apny bandy ke guman ke sath Hun aur jab bhi wo Mujhy yaad kerta ha to Mein uske sath Hun. Pas jab wo Mujhy apny dil mein yaad kerta ha to Mein bhi usy Apny Dil mein yaad Kerta Hun aur jab wo Mujhy majlis mein yaad kerta ha to Mein usy us se behtar Farishtun ki majlis mein usy yaad kerta hun aur agr wo Mujh se aik (1) balisht qareeb ata ha to Mein usy aik (1) hath qareeb ho Jata Hun aur agr wo Mujh se aik (1) hath qareeb ata ha to Mein us se do (2) hath qareeb Ho Jata Hun aur agr wo Meri taraf chal ker ata ha to Mein uske pas dorr ker aa Jata Hun. [7405: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#493
Hadees / Sahee Bukhari Shareef ()
November 03, 2014, 11:31:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Allah ne makhlooq ko paida kiya to Apni Kitab mein usy likha, Us (Allah) ne Apni Zaat ke motaliq bhi likha aur ye ab bhi Arsh per likha hua mojood ha ke "Meri Rehmat Mery Ghazab Per Ghalib Ha". [7404: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#494
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi bhi Allah se zyada Ghairat-Mand nhi aur isi lye Us (Allah) ne fawahish ko haram qarar diya ha aur Allah se zyada koi Ta'reef pasand kerny wala nhi. [7403: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah] [Aadmi ke lye ye aib ha ke apni ta'reef pasand kry lakin Parwardigar ke Haq mein ye aib nhi ha kyunke Wo Ta'reef ke Sazawar ha]
#495
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny baap dadaun ki qasam na khaya kro. Agr kisi ko qasam khani hi ho to Allah ke Naam ki qasam khay warna khamosh rhy. [7401: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#496
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi apni bivi ke pas jany ka irada kry aur ye Dua parh le "Shorow Allah ke Naam se, Aye Allah! Hamein shaitan se door rakhna aur Tu jo hamein bacha ata kry usy bhi shaitan se door rakhna" to agr isi sohbat mein in dono se koi bacha naseeb hua to shaitan usy kbhi nuqsan nhi pohancha skyga. [7396: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#497
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab apny bistar per laitny jaty to ye Dua kerty "Aye Allah! Tery Naam ke sath zinda hun aur isi ke sath marun ga" aur jab subha hoti to ye Dua kerty "Tamam ta'reef Us Allah ke lye ha Jis ne iske baad zinda kiya ke ham mar chuky thy aur Usi (Allah) ki taraf uth ker jana ha". [7394: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Huzaifa]
#498
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks apny bistar per jye to usy chahye ke usy apny kapry ke kinary se teen (3) martaba saaf ker ly aur ye Dua parhy, "Aye Mery Rab! Tera Naam le ker mein apni karwat rakhta hun aur Tery naam hi ke sath isy uthaunga. Agr Tu ne meri jaan ko baqi rakha to isy maaf kerna aur agr isy (apni taraf soty hi mein) utha liya to iski hifazat is tarhan kerna jis tarhan Tu Apny naik-o-kar bandun ki hifazat kerta ha". [7393: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#499
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bistar Per Jye To)
October 28, 2014, 09:12:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks apny bistar per jye to usy chahye ke usy apny kapry ke kinary se teen (3) martaba saaf ker ly aur ye Dua parhy, "Aye Mery Rab! Tera Naam le ker mein apni karwat rakhta hun aur Tery naam hi ke sath isy uthaunga. Agr Tu ne meri jaan ko baqi rakha to isy maf kerna aur agr isy (apni taraf soty hi mein) utha liya to iski hifazat is tarhan kerna jis tarhan Tu Apny naik-o-kar bandun ki hifazat kerta ha". [7393: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#500
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Mein Jyega)
October 27, 2014, 09:28:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke ninway (99) naam hein. Jo inhein yaad ker lega wo Jannat mein jyega. [7392: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
Powered by EzPortal