News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 69
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 80
Total: 80
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#441
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Afzal Musalman)
January 05, 2015, 11:06:11 PM
Logun ne poocha Ya Rasool Allah! Kon sa Islam Afzal ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo jiske manny waly musalmanun ki zuban aur hath se sary musalman salamti mein rahein. [11: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#442
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Musalman Wo Ha)
January 04, 2015, 08:48:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman wo ha jis ki zuban aur hath se musalman bachy rahein aur muhajir wo ha jo in kamun ko chor de jinse Allah ne mana farmaya ha. [10: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umro bin Aas]
#443
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ki Shakhein)
January 03, 2015, 10:11:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Imaan ki saath (60) se kuch upper shakhein hein. Aur Haya (sharam) bhi Imaan ki aik (1) shaakh ha. [9: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#444
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Islam Ki Bunyad)
January 02, 2015, 10:06:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Islam ki bunyad paanch (5) cheezun per qaim ki gai ha. Awal (1) gawahi dena ke Allah ke siwa koi Ma'bood nhi aur beshak Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Allah ke sachy Rasool hein aur Nimaz qaim kerna aur Zakat ada kerna aur Haj kerna aur Ramzan ke Rozy rakhna. [8: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#445
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat)
January 01, 2015, 11:20:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tamam a'maal ka daro-madaar niyyat per ha aur her amal ka natijah her insan ko uski niyyat ke mutabiq hi milyga, pas jis ki hijrat (tarq-e-watan) dolat dunya hasil kerny ke lye ho ya kisi aorat se shadi ki gharz ho, pas uski hijrat inhi cheezun ke lye hogi jin ke hasil kerny ki niyyat se usne ki. [1: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umar bin Khitaab]
#446
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Do (2) Kalimy aisy hein jo Allah ko bohat hi pasand hein jo zuban per halky hein aur Qiyamat ke din amaal ki tarazu mein bhojal aur ba-wazan hongy. Wo Kalimaat ye hein "Subhan Allah-he Wa Be-Hamdehi Subhan Allah Hil Azeem". [7563: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#447
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasweerain Banana)
December 21, 2014, 09:07:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us shaks se had se tajawuz kerny wala aur kon ha jo Meri (Allah ki) makhlooq ki tarhan makhlooq (tasweerain) banata ha. Zara wo channy ka dana paida ker ke to daikhaein ya gaihun ka aik (1) dana ya jo ka aik (1) dana paida ker ke to daikhaein. [7559: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#448
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasweerain Banana)
December 20, 2014, 11:24:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! In tasweerun ko banany walun per Qiyamat mein azab hoga aur unse kaha jyega ke tumne jo banaya ha usy zinda bhi ker ke dikhao. [7557: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#449
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah jab khalqat ka paida kerna tehra chuka (ya jab khalqat paida ker chuka) to Usne Arsh ke upper Apny pas aik (1) Kitab likh ker rakhi us mein yun ha Meri Rehmat Mery Ghussy per Ghalib ha ya Mery Ghussy se aagy barh chuki ha. [7553: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#450
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah kisi cheez ko itni tawajah se nhi Sunta jitni tawajah se achi awaz se parhny per Nabi ke Qur'an Majeed ko Sunta ha. [7544: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#451
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Tasdeeq Aur Taqleed)
December 16, 2014, 10:18:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum na Ahle-Kitab ki tasdeeq karo aur na uski takzeeb, balke kaho ke ham Allah aur Us ki tamam nazil ki hui Kitabun per Imaan lye. [7542: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#452
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ke Qareeb Hona)
December 15, 2014, 08:54:31 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke jab banda Mujhse aik (1) balisht qareeb hota ha to Mein aik (1) Hath us se qareeb hota hun aur jab banda Mujhse aik (1) Hath qareeb hota ha to Mein us se do (2) Hath qareeb Hota Hun aur jab wo Mery pas paidal chal ker ata ha to Mein dorr ker aa jata Hun. [7536: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#453
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Afzal Amal)
December 14, 2014, 10:05:05 PM
Aik (1) shaks ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha konsa amal sab se afzal ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke apny waqat per Nimaz parhna aur waldain ke sath naik mamla kerna, phir Allah ke rasty mein Jihad kerna. [7534: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#454
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk ke qabil to do (2) hi admi hein. Aik (1) wo jisy Allah ne Qur'an diya aur wo iski Tilawat raat-o-din kerta rehta ha aur dosra (2) wo jisy Allah ne maal diya ho aur wo isy raat-o-din kharch kerta raha. [7529: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Salim]
#455
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rashk sirf do (2) admiun per kiya ja skta ha. Aik (1) is per jisy Allah ne Qur'an ka Ilm diya aur wo iski tilawat din raat kerta rehta ha to (1) daikhny wala kehta ha ke kash mujhy bhi isi jaisa Qur'an ka Ilm hota to Mein bhi iski tarhan tilawat kerta rehta aur dosra wo shaks jisy Allah ne maal diya aur wo isy iske Haq mein kharch kerta ha jisy daikhny wala kehta ha ke kash mujhy bhi Allah itna maal deta to mein bhi isi tarhan kharch kerta jaisy ye kerta ha. [7528: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#456
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Bara Gunah)
December 11, 2014, 08:27:07 PM
Hazrat Abdullah bin Masood ne byan kiya ke mein ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke konsa gunah Allah ke yahan sab se bara ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum Allah ke sath kisi ko shareek tehrao halanke Usi ne tumhein paida kiya ha. Mein ne kaha ke ye to bohat bara gunah ha. Mein ne arz kiya phir konsa? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum apny bachy ko is khatra ki waja se qatal ker do ke wo tumhary sath khayega. Mein ne arz kiya phir kon? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ye ke tum apny parosi ki bivi se zina kro. [7520: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#457
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Afzal Inam)
December 10, 2014, 10:20:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Jannat walun se Kahyga Aye Jannat walo! Wo boleingy hazir Teri khidmat ke lye musta'id, sari bhalai Tery Dono Hathun mein ha. Allah poochyga kiya tum khush ho? Wo jawab deingy kyun nhi, ham khush hongy Aye Rab! Aur Tu ne hamein wo chezain ata ki hein jo kisi makhlooq ko nhi ata kein. Allah farmaye Ga kiya Mein tumhein is se afzal inaam na dun? Jannati poochein gy Aye Rab! Is se afzal kiya cheez ho skti ha, Allah farmye Ga ke Mein Apni Khushi tum per Utarta Hun aur ab kabhi tum se naraz nhi Honga. [7518: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#458
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Pas Jahanum Se Bacho)
December 09, 2014, 10:10:32 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum me se her shaks se tumhara Rab is tarhan baat Kryga ke tumhary aur Us (Allah) ke darmyan koi tarjuman nhi hoga wo apny dayein (right) taraf daikhyga aur usy apny a'maal ke siwa aur kuch nhi nazar ayega aur wo apny bayein (left) taraf daikhyga aur usy apny a'maal ke siwa kuch nazar nhi ayega. Phir apny samny daikhyga to apny samny jahanum ke siwa aur koi cheez na daikhyga. Pas jahanum se bacho khwah khajoor ke aik (1) tukry hi ke zarya ho sky. [7512: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Adi bin Hatim]
#459
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein sab se baad mein dakhil hony wala aur dozakh se sab se baad mein nikalny wala wo shaks hoga jo ghisit ker niklyga. Is se iska Rab khyga Jannat mein dakhil hoja. Wo khyga Mery Rab! Jannat to bilkul bhari hui ha. Is tarhan Allah teen (3) martaba is se Khyga aur her martaba ye banda jawab dega ke Jannat to bhari hui ha. Phir Allah farmay Ga tery liye dunya ke das (10) gunah ha. [7511: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#460
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rai Ke Dana Ke Baraber)
December 07, 2014, 08:42:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din Meri Shifa'at qabool ki jyegi. Mein kahun ga Aye Rab! Jis ke dil mein rai ke dana ke baraber bhi Imaan ho usko bhi jannat mein dakhil farma de. Aisy log Jannat mein dakhil ker diye jyengy. Mein phir arz krunga Aye Rab! Jannat mein isy bhi dakhil ker dy jiske dil mein mamooli sa bhi Imaan ho. [7509: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
Powered by EzPortal