News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 24
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 22
Total: 22
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#421
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (700 Guna Naikyan)
January 25, 2015, 08:43:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se koi shaks jab apny Islam ko umdah bana le (yani nafaaq aur riya se paak ker le) to her naik kaam jo wo kerta ha uske aiwaz das (10) se le ker saat soo (700) guna tak naikyan likhi jati hein aur her bura kaam jo kerta ha to wo utna hi likha jata ha (jitna ke usne kya ha). [42: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#422
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (700 Gunah Sawab)
January 24, 2015, 10:19:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab aik (1) banda musalman ho jye aur uska Islam umdah ho (Yaqeen-o-Khaloos ke sath ho) to Allah uske gunah ko jo usne is (Islam lany) se pehly kya muaf farma Deta ha aur ab iske baad ke lye badla shorow ho jata ha (yani) aik (1) naiki ke aiwaz das (10) guna se le ker saat soo (700) guna tak (sawab) aur aik (1) burai ka isi burai ke mutabiq (badla diya jata ha) magr ye ke Allah is burai se bhi dar-guzar kry (aur isy bhi muaf farma de, ye bhi iske lye asan ha). [41: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#423
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Be-Shak Deen Asan Ha)
January 23, 2015, 09:52:54 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Be-shak Deen asan ha aur jo shaks Deen mein sakhti ikhtiyar kryga to Deen usper ghalib aa jyega (aur uski sakhti na chal skygi) pas (is lye) apny amal mein pukhtagi ikhtiyar kro. Aur jahan tak mumkin ho miyana-rawi barto aur khush ho jao (ke is tarz-e-amal se tumko darain ke fawaid hasil hongy) aur subha aur dopehar aur sham aur kisi qadar raat mein (ibadat se) madad hasil kro. [39: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#424
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo koi Ramazan mein (ratun ko) Imaan rakh ker aur sawab ke lye Ibadat kry uske agly gunah bakhsh diye jaty hein. [37: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#425
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jihad)
January 21, 2015, 08:48:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah ki Rah mein (Jihad ke lye) nikla, Allah us ka Zamin ho gya. (Allah Fermata Ha) isko Meri Zaat per yaqeen aur Mery Paighambarun ki tasdeeq ne (is sar-faroshi ke lye ghar se) nikala ha. (Mein is baat ka Zamin Hun) ke ya to isko wapis ker Du sawab aur maal-o-ghaneemat ke sath, ya (Shaheed hony ke baad) Jannat mein dakhil ker Dun, (Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya) aur agr Mein apni Ummat per (is kaam ko) dushwar na samjhta to lashkar ka sath na chorta aur Meri khwahish ha ke Allah ki Rah mein mara jaun, phir zinda kiya jaun, phir mara jaun, phir zinda kiya jaun phir mara jaun. [36: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#426
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Shab-e-Qadar Imaan ke sath mehaz sawab akhrat ke lye Zikar-o-Ibadat mein guzary, uske guzishta gunah bakhsh diye jaty hein. [35: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#427
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Munafiq)
January 19, 2015, 08:59:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Chaar (4) aadatein jis kisi mein hon to wo khalis munafiq ha aur jis kisi mein in charun (4) mein se aik (1) aadat ho to wo (bhi) nafaq hi ha, jab tak isy na chor de. (wo ye hein) jab isy ameen banaya jye to (Imanat mein) khiyanat kry aur baat kerty waqat jhoot boly aur jab (kisi se) ehad kry to usy pura na kry aur jab (kisi se) lary to galiun per utar aye. [34: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abduallh bin Umer]
#428
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Munafiq Ki Ilamtein)
January 18, 2015, 10:02:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiq ki ilamtein teen (3) hein. Jab baat kry jhoot boly, jab wada kry uske khilaf kry aur jab usko ameen banaya jye to khiyanat kry. [33: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#429
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab do (2) musalman apni apni talwarein le ker bhirr jayein to qatil aur maqtool dono dozakhi hein. Mein (Hazrat Abu Bakrah) ne arz kya ya Rasool Allah! Qatil to khair (zarur dozakhi hona chahye) maqtool kyun? Aap Sallalah Ho Alahie Wa Sallam ne farmaya! "wo bhi apny sathi ko maar dalny ki hirs rakhta tha" (moqa pata to wo usy zarur qatal ker deta, dil ke azm sameem per wo dozakhi hua). [30: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Bakrah]
#430
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mujhy dozakh dikhlai gai to us mein zyada tar aoratein thein jo kufar kerti hein, kaha gya Hazoor kiya wo Allah ke sath kufar kerti hein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke wo Khudawand ki na-shukri kerti hein aur ehsan ki na-shukri kerti hein, agr tum umar bhar in mein se kisi ke sath ehsan kerty rho, phir tumhari taraf se kbhi koi inke khyal mein na-gawari ki baat ho jye to foran keh uthy gi ke mein ne kbhi bhi tujhse koi bhalai nhi daikhi. [29: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Ibn-e-Abbas]
#431
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Konsa Islam Behtar Ha)
January 15, 2015, 10:05:24 PM
Aik admi ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha konsa Islam behtar ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke tu khana khilaye aur her shaks ko salam kry khawah usko tu janta ho ya na janta ho. [28: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru]
#432
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Afzal Amal)
January 14, 2015, 09:47:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se daryaft kiya gya ke konsa amal sab se Afzal ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke "Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallm per Imaan lana", kaha gya, iske bad konsa? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke "Allah ki rah mein Jihad kerna" kaha gya, phr kya ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya "Haj Mabrur".[26: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
[Haj Mabrur se khalis Haj murad ha jis mein riya-o-namood ka shaiba na ho. Iski nishani ye ha ke Haj ke bad admi gunahun se toba kry, phir gunah mubtala na ho].
#433
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Logun Se Jang Karun)
January 13, 2015, 09:39:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mujhy (Allah ki taraf se) hukam diya gya ha ke logun se jang karun us waqat tak ke wo is baat ka iqrar ker lein ke Allah ke siwa koi ma'bood nhi ha aur ye ke Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Allah ke Sachy Rasool hein aur Nimaz ada kerny lgn aur zakat dein, jis waqat wo ye kerny lagein gy to Mujhse apny jaan-o-maal ko mehfooz ker lein gy, siway Islam ke Haq ke. (Raha inke dil ka haal to) inka hisab Allah ke zimy ha. [25: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#434
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Haya)
January 12, 2015, 10:05:07 PM
Aik (1) dafa Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) Ansari shaks ke pas se guzry is haal mein ke wo apny aik (1) bhai se keh rhy thy ke tum itni sharam kyun kerty ho. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne us Ansari se farmaya ke isko iske haal per rehny do kyunke Haya bhi Imaan hi ka hisssa ha. [24: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#435
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Jannati Jannat mein aur dozakhi dozakh mien dakhil ho jyengy. Allah Farmay Ga, jiske dil mein rai ke dany ke baraber (bhi) Imaan ho, usko bhi dozakh se nikal lo. Tab (aisy log) dozakh se nikal lye jyengy aur wo jal ker koily ki tarhan siyah ho cuky hongy. Phir zindagi ki nehar mein ya barish ke pani mein ya barish ke pani mein daly jyengy. Us waqat wo dany ki tarhan ugg ayengy jis tarhan nadi ke kinary dany ugg aty hein. Kiya tumne nhi daikha zardi mail beech dar beech nikalta ha. [22: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#436
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ka Maza)
January 10, 2015, 10:44:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks mein ye teen (3) batein hongi wo Imaan ka maza paa lega. Aik (1) ye ke wo shaks jisy Allah aur Uska Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Unke ma-siwa se zyada aziz hon aur dosry (2) ye ke jo kisi bandy se mehaz Allah hi ke lye mohabbat kry aur teesri (3) baat ye ke jisy Allah ne kufar se nijat di ho, phir dobara kufar ikhtiyar kerny ko wo aisa bura smjhy jaisa aag mein gir jany ko bura janta ha. [21: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#437
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaan Ki Mithas)
January 09, 2015, 10:08:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) khaslatein aisi hien jis mein mein ye paida ho jyen usne Imaan ki mithas ko pa liya, awal ye ke Allah aur Us ka Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam uske nazdeek sab se zyada mehboob ban jyen, dosry ye ke wo kisi insaan se mehaz Allah ki Raza ke lye mohabat rakhy. Teesry ye ke wo kufar mein wapis lotny ko aisa bura jany jaisa ke aag mein daly jany ko bura janta ha. [16: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#438
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaandar Na Hoga)
January 08, 2015, 10:08:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qasam ha Us Zaat ki Jis ke Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Jaan ha. Tum mein se koi bhi imaandar na hoga jab tak Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) uske walid aur olaad se bhi zyada uska mehboob na ban jaun. [14: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#439
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Imaandar)
January 07, 2015, 10:05:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se koi shaks imaandar na hoga jab tak apny bhai ke lye wo na chahy jo apny nafas ke lye chahta ha. [13: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#440
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Konsa Islam Behtar Ha)
January 06, 2015, 10:15:13 PM
Aik (1) din aik (1) admi ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke konsa Islam behtar ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke tum khana khilao aur jisko pehchano usko bhi aur jis ko na pehchanao usko bhi, algharz sab ko salam kro. [12: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru bin Aas]
Powered by EzPortal