News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 75
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 72
Total: 72
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#401
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kunyat Ikhtiyar Mat Karo)
February 14, 2015, 08:47:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Apni olad) ka Mery (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) naam ke upper naam rakho, magr Meri Kunyat ikhtiyar na kro aur jis shaks ne Mujhy khwab mein daikha to bila-shuba usne Mujhy daikha. Kyun ke shaitan Meri Surat mein nhi aa skta aur jo shaks Mujh per jaan boojh ker jhoot boly wo dozakh mein apna thikana talash kry. [110: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#402
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Mujh pe jhoot bandhy ga wo apna thikana jahanum mein bana le. [107: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Zubair]
#403
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mujh per jhoot mat bolo, kyunke jo mujh per jhoot bandhy wo dozakh mein dakhil ho. [106: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali]
#404
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jis Se Hisaab Liya Gya)
February 11, 2015, 10:07:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis se hisaab liya gya usy azab kiya jyega. Hazrat Ayesha farmati hein ke (ye sun ker) mein ne kaha ke kiya Allah ne ye nhi farmaya ke anqareeb us se asan hisab liya jyega? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke ye sirf (Allah ke darbar mein) peshi ka zikr ha, laikn jis ke hisaab mein jaanch partaal ki gai (samjho) wo gharat hua. [103: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#405
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Ilm ko is tarhan nhi utha lega ke isko bandun se cheen le, bal-ke wo (pukhta kaar) Ulama ko moat de ker Ilm ko Uthaye Ga. Hatta-ke jab koi aalim baqi nhi rhyga to log jahilun ko sardar bana lengy, unse sawalat kiye jyengy aur wo baghair ilm ke jawab deingy. Is lye khud bhi gumrah hongy aur logun ko bhi gumrah krngy. [100: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umru bin Aas]
#406
Hazrat Abu Hurairah ne arz kiya Ya Rasool Allah! Qiyamat ke din Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Shifaat se sab se zyada sa'dat kisy milygi? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya, Aye Abu Hurairah! Mujhy yaqeen tha ke tum se pehly koi is ke bary mein Mujh se daryaft nhi kryga. Kyunke Mein ne Hadith ke motaliq tumhari hirs daikh li thi. Sunu! Qiyamat mein sab se zyada faiz-yaab Meri Shifaat se wo shaks hoga, jo sachy dil se ya sachy jee se "La Ilaha Illalah" khyga. [99: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#407
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ilm Utha Liya Jyega)
February 08, 2015, 08:25:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Aik (1) waqat aisa ayega ke jab) Ilm utha liya jyega. Jihalat aur fitny phail jyengy aur Harj barh jyega. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha gya ke Ya Rasool Allah! Harj se kya murad ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apny hath ko harkat de ker farmaya is tarhan, goya Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is se murad qatal liya. [85: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#408
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ilamaat Qiyamat)
February 07, 2015, 08:10:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ilamaat Qiyamat mein se ye ha ke Ilm (deen) kam ho jyega. Jehal zahir ho jayga. Zina ba-kasrat hoga. Aoratein barh jayngi aur mard kam ho jyngy. Hatta-ke pachaas (50) aoratun ka nigran sirf aik (1) mard reh jyega. [81: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#409
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Deni Ilm Uth Jyega)
February 06, 2015, 08:45:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ilamaat Qiyamat mein se ye ha ke (deni) Ilm uth jye ga aur jehal hi jehal zahir ho jyega. Aur (ilaniya) sharab pi jyegi aur zina phail jyega. [80: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#410
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hasad sirf do (2) batun mein jaiz ha. Aik (1) to us shaks ke bary mein jisy Allah ne dolat di ho aur wo us dolat ko Rah-e-Haq mein kharch kerny per bhi qudrat rakhta ho aur aik (1) us shaks ke bary mein jisy Allah ne Hikmat (ki dolat) se nawaza ho aur wo uske zarye se faisla kerta ho aur (logun ko) us Hikmat ki taleem deta ho. [73: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#411
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ke sath Allah bhalai ka irada kry usy deen ki samajh inayat farma deta ha aur Mein (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) to mehaz taqseem kerny wala hun, deny wala to Allah hi ha aur ye Ummat hamesha Allah ke hukam per qaim rhygi aur jo shaks inki mukhalfat kryga, inhein nuqsan nhi pohancha skyga, yahan tak ke Allah ka hukam (Qiyamat) aa jyegi. [71: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Muawiyah]
#412
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Asani kro aur sakhti na kro aur khush kro aur nafrat na dilao. [69: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#413
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ki Raza)
February 02, 2015, 10:22:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Be-shak tu jo kharch kry aur us se teri niyyat Allah ki Raza hasil kerni ho to mujh ko uska sawab milyga, yahan tak ke is per bhi jo tu apni apni bivi ke mun mein daly. [56: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Saad bin Abi Waqas]
#414
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ehl-o-Ayal Per Kharch)
February 01, 2015, 10:21:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab admi sawab ki niyyat se apny ehl-o-ayal per kharch kry pas wo bhi iske lye sadqa ha. [55: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#415
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Niyyat)
January 31, 2015, 08:49:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Amal niyyat hi se sahee hoty hein (ya niyyat hi ke mutabiq unka badla milta ha) aur her admi ko whi milyga jo niyyat kryga, pas jo koi Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki raza ke lye hijrat kry uski hijrat Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki taraf hogi aur jo koi dunya kamany ke lye ya kisi aorat se shadi kerny ke lye hijrat kry ga to uski hijrat unhi kamun ke lye hogi. [54: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Umar]
#416
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Halal khula hua ha aur haram bhi khula hua ha aur in dono ke darmyan baaz chezain shubah ki hein jin ko bohat log nhi janty (ke halal hein ya haram) phir jo koi shubah ki chezun se bhi bach gya usne apny deen aur izzat ko bacha lya aur jo koi in shubah ki chezun mein par gya uski misaal us charwahy ki ha jo (shahi mehfooz) charagah ke aas paas apny janwarun ko charay. Wo qareeb ha ke kbhi charagah ke andar ghus jye (aur shahi mujrim qarar pye), sun lo her badshah ki aik (1) charagah hoti ha. Allah ki charagah Iski zameen per haram chezain hein. (Pas inse bacho aur) sun lo badan mein (aik) gosht ka tukra ha jab wo darust hoga sara badan darust hoga aur jahan bighra sara badan bighar gya. Sun lo wo tukra admi ka dil ha. [52: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Nouman bin Bashir]
#417
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gali Dena Aur Larna)
January 29, 2015, 11:08:37 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Musalman ko gali deny se admi fasiq ho jata ha aur musalman se larna kufar ha. [48: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#418
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jinazy Ke Sath Jana)
January 28, 2015, 10:06:29 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo koi Imaan rakh ker aur sawab ki niyyat se kisi musalman ke jinazy ke sath jye aur Nimaz aur dafan se faraght hony tak uske sath rhy to wo do (2) kiraat sawab le ker loty ga her kiraat itna bara hoga jaisy Ohad ka pahar, aur jo shaks jinazy per Nimaz parh ker dafan se pehly lot jye to wo aik (1) kiraat sawab le ker loty ga. [47: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#419
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis shaks ne La Ila Ha Illalaha keh lya aur uske dil mein jo baraber bhi (Imaan) ha to wo (aik (1) na aik (1) din) dozakh se zarur nikaly ga aur dozakh se wo shaks (bhi) zarur nikly ga jisne Kalima parha aur uske dil mein gheehun ke dana baraber khair ha aur dozakh se wo (bhi) niklyga jisne Kalima parha aur uske dil mein aik (1) zarra baraber bhi khair ha. [44: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#420
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Utna hi Amal Wajib Ha)
January 26, 2015, 09:28:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum per utna hi amal wajib ha jitney amal ki tumhary andar taqat ha. Khuda ki qasam (sawab deny se) Allah nhi uktata, magr tum (amal kerty kerty) ukta jaogy, aur Allah ko deen (ka) whi amal zyada pasand ha jis ki hamesha pabandi ki ja sky (aur insan bghair uktaye usy anjam de). [43: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal