News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 44
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 18
Total: 18
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#381
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghusal)
March 09, 2015, 10:11:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab ghusal farmaty to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pehly Apny dono (2) Hath Mubarak dohty phir isi tarhan Wazu kerty jaisa Nimaz ke lye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Wazu kiya kerty thy, phir pani mein Apni Unglian Mubarak dakhil farmaty aur Unse balun ki jarrun (darrhi) ka khalal kerty, phir Apny Hathun se teen (3) chullu Sir Mubarak per dalty phir tamam Badan Mubarak per pani baha lety. [248: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#382
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum apny bistar per laitny aao to is tarhan wazu kro jis tarhan Nimaz ke lye kerty ho. Phir dahni karwat per lait ker yun kaho "Aye Allah! Mein ne apna chehra Teri taraf jhuka diya, apna muamla Tery hi sapurd ker dya, Mein ne Tery sawab ki tawaqo aur Tery azab ke dar se Tujhy hi pusht panah bana lya. Tery siwa kahein panah aur nijat ki jagah nhi. Aye Allah! Jo Kitab Tune nazil ki Mein us per imaan laya, jo Nabi Tune bheja Mein us per imaan laya." to agr is halat mein isi raat mar gya to fitrat per mary ga aur is Dua ko sab batun ke akheer mein parh. [247: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra' bin Aazib]
#383
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Miswak)
March 07, 2015, 08:57:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab raat ko uthty to Apny Mun Mubarak ko maswak se saaf kerty. [245: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Huzaifa]
#384
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nasha Lany Wali)
March 06, 2015, 08:07:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Peeny ki her wo cheez jo nasha lany wali ho, haram ha. [242: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#385
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her zakham jo Allah ki rah mein musalman ko lgy wo Qiyamat ke din isi halat mein hoga jis tarhan wo laga tha. Is mein khoon behta hoga, jis ka rang (to) khoon ka sa hoga aur khusbu mushk ki si hogi. [237: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#386
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) dafa Madinah ya Makkah ke aik (1) baagh mein tashreef le gye. (wahan) Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne do (2) shaksun ki awaz suni jinhein unki qabrun mein azab kiya ja rha tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke in per azab ho rha ha aur kisi bohat bary gunah ki wajah se nhi phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya baat ye ha ke aik (1) shaks in mein se peeshab ke cheentun se bachny ka ehtamam nhi kerta tha aur dosra shaks chughal khori kiya kerta tha. Phir Aap Sallalah Ho Alaihe ne (khajoor ki) aik (1) dali mangwai aur usko tor ker do (2) tukry kiya aur in mein se (aik (1) aik (1) tukra) her aik (1) qabar per rakh diya. Logun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke Ya Rasool Allah! Ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kyun kiya! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Is lye ke jab tak ye dalian khusk hon shaid us waqat tak in per azab kam ho jye. [216: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#387
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum Nimaz mein onghny lago to so jana chahye, phir us waqat Nimaz parhy jab jaan le ke wo kya parh rha ha. [213: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#388
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks ne aik (1) kutty ko daikha, jo pyas ki wajah se geeli matti kha rha tha, to us shaks ne apna moza liya aur us se pani bhar ker pilany lga, hatta ke usko khoob sairab ker dya. Allah ne us shaks ke is kaam ki qadar ki aur usy Jannat mein dakhil ker dya. [173: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#389
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Joota pehanny, kanghi kerny, wazu kerny aur apny her kaam mein dahni taraf se kaam ki ibtida kerny ko pasand farmaya kerty thy. [168: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#390
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghusal Dahni Taraf Se Do)
February 26, 2015, 10:14:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghusal dahni taraf se do aur aa'z-e-wazu se ghusal ki ibtida kro. [167: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Atiya]
[Mayyat ko ghusal dahni taraf se do]
#391
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Achi Tarhan Wazu Karo)
February 25, 2015, 09:00:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Achi tarhan Wazu karo kyun ke (khusk) airriun ke lye aag ka azab ha. [165: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#392
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Achi Tarhan Wazu Kerna)
February 24, 2015, 10:27:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab bhi koi shaks achi tarhan Wazu kerta ha aur (khaloos ke sath) Nimaz parhta ha to uske aik (1) Nimaz se dosri Nimaz ke parhny tak ke gunah mu'af ker dye jaty hein. [160: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usman]
#393
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi peeshab kry to apna azu apny dahny hath se na pakry, na dahny hath se taharat kry, na (pani peety waqat) bartan mein sans le. [154: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Ayub Ansari]
#394
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi pani piye to bartan mein sans na le aur jab pakhana mein jye to apni sharamgah ko dahny hath se na chuhy aur na dahny hath se istanja kry. [153: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Qatadah]
#395
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi pakhany mein jye to Qibla ki taraf mun kry na Uski taraf pusht kry (balke) mashriq ki taraf mun ker lya kro ya maghrib ki taraf. [144: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Ayub Ansari]
#396
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bait-ul-Kha'la)
February 20, 2015, 10:18:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Jab (qaza-e-hajat ke lye) bait-ul-kha'la mein dakhil hoty to ye (Dua) parhty. Aye Allah! Mein napak jinno aur napak jinnanioun se Teri (Allah ki) panha mangta hun. [142: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#397
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jab Apni Bivi Ke Pas Jye)
February 19, 2015, 10:21:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum me se koi apni bivi se jama' kry to khy "Allah ke naam ke sath shorow kerta hun. Aye Allah! Hamein shaitan se bacha aur shaitan ko is cheez se door rakh jo tu (is jama' ke nateejy mein) hamein ata farmye". Ye Dua parhny ke baad (Jama' kerny se) mian bivi ko jo olaad milygi usy shaitan nuqsan nhi pohancha skta. [141: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#398
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Se Na Phiry)
February 18, 2015, 10:24:55 PM
Hazrat Abdullah bin Zaid ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se shikayat ki ke aik (1) shaks ha jisy ye khyal hota ha ke Nimaz mein koi cheez (yani hawa nikalti) maloom hui ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke (Nimaz se) na phiry ya na murry, jab tak awaz na suny ya bu na paye. [137: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Zaid]
#399
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Wazu Achi Tarhan Kry)
February 17, 2015, 10:08:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri Ummat ke log wazu ke nishanaat ki wajah se Qiyamat ke din safaid peshani aur safaid hath paun walun ki shakal mein bulaye jyengy. To tum mein se jo koi apni chamak barhana chahta ha to wo barha le (yani wazu achi tarhan kry). [136: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#400
Aik (1) raat Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne bedaar hoty hi farmaya ke Subhan Allah! Aaj ki raat kis qadar fitny utary gye hein aur kitny hi khazany bhi kholy gye hein. In hujra waliun ko jagao, kyunke bohat si aoratein (jo) dunya mein (bareek) kapra pehanny wali hein wo Akhrat mein nangi hongi. [115: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ume Salma]
Powered by EzPortal