News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 8
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 17
Total: 17
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#341
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Apny Hakim Ki Suno)
April 21, 2015, 10:39:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Apny hakim ki) suno aur ata'at kro, khawah aik (1) aisa habshi (Ghulam tum per) kyun na hakim bana dya jye, jis ka sar sookhy huy angoor ke baraber ho. [693: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#342
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr tum mein se koi khana kha rha ho to jaldi na kry balke puri tarhan kha le go Nimaz khari kyun na ho gai ho. [674: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#343
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se kisi ka sham ka khana tyar ho chukka ho aur Takbeer bhi kahi ja chuki to pehly khana kha lo aur Nimaz ke lye jaldi na kro, khany se faraghat ker lo. [673: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#344
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab sham ka khana hazir kiya jye to Maghrib ki Nimaz se pehly khana kha lo aur khany mein be-mazah bhi na hona chahye aur apna khana chorr ker Nimaz mein jaldi mat kro. [672: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#345
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr sham ka khana samny rakha jye aur udhar Nimaz ke lye Takbeer bhi hony lgy to pehly khana kha lo. [671: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#346
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam sardi-o-barish ki ratun mein Mo'azn ko hukam dety thy ke wo ailaan ker dy ke logo apni qiyam-gahun per hi Nimaz parh lo. [666: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#347
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Masjid mein subha-sham bar bar hazri deta ha, Allah Jannat mein uski Mehmani ka saman Kryga, wo subha sham jab bhi Masjid mein jye. [662: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#348
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) tarhan ke aadmi hongy jin ko Allah us din Apny Saya mein jagah Dega, jis din Us ke Saya ke siwa aur koi Saya na hoga. Awal (1) insaf kerny wala badshah, dosry (2) wo no-jawan jo Apny Rab ki ibadat mein jawani ki umang se masroof rha, teesra (3) aisa shaks jis ka dil her waqat Masjid mein lga rehta ha, chohta (4), do (2) aisy shaks jo Allah ke lye ba-ham mohabbat rakhty hein aur unke milny aur juda hony ki bunyad yhi Allah ki mohabbat ha, panchwan (5) wo shaks jisy kisi ba-izzat aur haseen aorat ne (bury irada se) bulaya lakin usne keh dya ke mein Allah se darta hun, chatta (6) wo shaks jis ne sadqa kiya magr itny posheedah tor per ke bayein hath ko bhi khabar nhi hui ke dahny hath ne kya kharch kya, satwan (7) wo shaks jisne tanhai mein Allah ko yaad kya aur (be-sakhta) ankhun se ansu jari hogye. [660: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#349
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Isha Aur Fajar)
April 12, 2015, 09:33:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiqun per Fajar aur Isha ki Nimaz se zyada aur koi Nimaz bhari nhi aur agr inhein maloom hota ke inka sawab kitna zyada ha (aur chal na skty) to ghutnun ke bal ghasit ker aty aur mera to irada ho gya tha ke Mo'azn se kahun ke wo Takbeer khy, phir Mein kisi ko Nimaz parhany ke lye kahun aur khud aag ki chingarian le ker in sab ke gharun ko jala dun jo abhi tak Nimaz ke lye nhi nikly. [657: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#350
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks kahein ja rha tha, rasty mein usne kantun ki bhari hui aik (1) tehni daikhi, pas usy rasty se door ker dya, Allah (sirf isi baat per) Razi ho gya aur uski bakhshish ker di. [652: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#351
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jamat ke sath Nimaz, akely Nimaz parhny se satais (27) darjah zyada fazeelat rakhti ha. [645: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#352
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gharun Ko Jala Dun)
April 09, 2015, 10:27:58 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki Qasam Jiske Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki) Jaan ha, Mein ne irada ker lya tha ke lakriun ke jama kerny ka hukam dun, phir Nimaz ke lye kahun, uske lye Azan di jye phir kisi shaks se kahun ke wo Imamat kry aur Mein un logun ki taraf jaun (Jo Nimaz-bajamat mein hazir nhi hoty) phir unhein inke gharun smait jala dun. Us Zaat ki Qasam Jis ke Hath mein Meri Jaan ha agr ye Jamat mein na shareek hony waly log itni baat jaan lein ke inhein Masjid mein aik (1) achy qisam ki gosht wali haddi mil jyegi ya do (2) umdah khur hi mil jyeingy to ye Isha ki jamat ke lye Masjid mein zarur hazir ho jyein. [644: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#353
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum log Takbeer ki awaz sun lo to Nimaz ke lye (mamooli chaal se) chal paro, sakoon aur waqar ko (behar-haal) lazim pakry rakho aur dorr ke mat aao, phir Nimaz ka jo hissa mily usy parh lo, aur jo na mil sky usy baad mein pura ker lo. [636: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#354
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum Nimaz ke lye aao to waqar aur sakoon ko malhooz rakho, Nimaz ka jo hissa pao usy parho aur jo reh jye usy (baad) mien pura ker lo. [635: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Abi Qatadah]
#355
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr logun ko maloom hota ke Azan kehny aur Nimaz pehli saf mein parhny se kitna sawab milta ha phir inke lye qurra dalny ke siwa aur koi charah na baqi rehta, to albata is per qurra-andazi hi kerty aur agr logun ko maloom ho jata ke Nimaz ke lye jaldi any mein kitna sawab milta ha to iske lye aik (1) dosry se aagy barhny ki koshish kerty, aur agr logun ko maloom ho jata ke Isha aur Subha ki Nimaz ka sawab kitna milta ha, to zarur chulhun ke bal ghaseet'ty huy inke lye aty. [615: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#356
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Azan)
April 04, 2015, 10:29:30 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum Azan suno to jis tarhan Mo'azn kehta ha usi tarhan tum bhi kaho. [611: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
Hazrat Yahya ne byan kiya ke Jab Mo'azn "Hayya Alasalaath" kaha to Hazrat Muawiyah ne "La Hola Wala Quwatah Illah Billah" kaha aur (Hazrat Yahya) keny lgy ke ham ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aisa hi kehty suna ha. [613: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Yahya]
#357
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Nimaz ke lye Azan do to tum buland awaz se Azan diya kro, kyun ke Jin-o-Ins bal ke tamam hi cheezain jo Mo'azan ki awaz sunti hein Qiyamat ke din is per gawahi deingi. [609: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#358
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Azaan)
April 01, 2015, 09:32:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Nimaz ke lye Azan di jati ha to shaitan paadta hua bari tezi ke sath peeth morr ker bhagta ha ta ke Azan ki awaz na sun sky aur jab Azan khatam ho jati ha to phir wapis aa jata ha, lakin jun hi takbeer shorow hui wo phir peeth morr ker bhagta ha, jab takbeer bhi khatam ho jati ha to shaitan dobara aa jata ha aur Nimazi ke dil mein waswasy dalta ha, kehta ha ke falan baat yaad ker falan baat yaad ker, un batun ki shaitan yaad-dehani karata ha jinka isy khyal bhi na tha aur is tarhan is shaks ko ye bhi yaad nhi rehta ke isne kitni ra'katein parhi hein. [608: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#359
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Nimaz Na Parho)
March 31, 2015, 10:08:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab suraj ka upper ka kinara talu hony lgy to Nimaz na parho yahan tak ke wo buland ho jye aur jab suraj dobny lgy us waqat bhi Nimaz na parho, yahan tak ke gharoob ho jye. [583: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#360
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Fajar ki Nimaz ke baad suraj buland hony tak aur Asar ki Nimaz ke baad suraj dobny tak Nimaz parhny se mana farmaya. [581: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
Powered by EzPortal