News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 149
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 14
Total: 14
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#261
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Upper Wala Hath)
July 10, 2015, 08:13:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Upper wala hath neechy waly hath se behtar ha aur pehly unhen do jo tumhary baal bachy aur aziz hein aur behtareen sadqa wo ha jisy de ker aadmi maaldar rhy aur jo koi sawal se bachna chahy ga usy Allah bhi mehfooz rakhta ha aur jo dosron (ke maal) se be-niyaz rehta ha, usy Allah be-niyaz hi bna deta ha. [1427: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef]
#262
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 10, 2015, 12:12:14 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtreen khairaat wo ha jis ke deny ke baad admi maal-dar rhy, phir sadqa pehly unhein do do tumhari zair-e-parwarish hein. [1426: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#263
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr aorat apny shohar ke maal se kuch kharch kry aur uski niyyat shohar ki poonji barbaad kerny ki na ho to usy kharch kerny ka sawab milyga aur shohar ko bhi iska sawab milyga ke isne kamaya ha, aur khazanchi ka bhi yhi hukam ha. Aik (1) ka sawab dosry ke sawab mein koi kami nhi kerta. [1425: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#264
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 07, 2015, 11:55:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sadqa kiya kro pas anqareeb aik (1) aisa zamana any wala ha jab admi apna sadqa le ker nikly ga (koi isy qabool ker le magar jab wo kisi ko de ga to wo) admi khy ga ke agr isy tum kal laye huy hoty to mein le leta lakin aaj mujhy iski hajat nhi rhi. [1424: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harisa bin Wa'hab]
#265
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) qisam ke aadmiun ko Allah Apny (Arsh ke) Saya mein rakhy ga, jis din Us (Allah) ke siwa aur koi Saya na hoga. Insaaf kerny wala hakim, wo no-jawan jo Allah ki ibadat mein jawan hua ho, wo shaks jis ka dil her waqat Masjid mein lga rhy, do (2) aisy shaks jo Allah ke lye mohabbat rakhty hein, isi per wo jama huy aur isi per juda huy, aisa shaks jisy kisi khoobsurat aur izzat-dar aorat ne bulaya lakin usne ye jawab diya ke mein Allah se darta hun, wo insan jo sadqa kry aur usy is darjah chupaye ke bayein (left) hath ko bhi khabar na ho ke dahny (right) hath ne kya kharch kya aur wo shaks jo Allah ko tanhai mein yaad kry aur uski ankhein ansun se behny lag jyen. [1423: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#266
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 05, 2015, 08:29:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki baaz bevioun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke sab se pehly ham mein se Akhrat mein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se kon ja ker milygi to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ka hath sab se lamba hoga, ab ham ne lakri se napna shorow ker dya to Hazrat Sodah sab se zyada lamby hath wali niklein, ham ne baad mein samjha ke lamby hath wali hony se Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki murad Sadqa zyada kerny wali se thy. Aur Hazrat Sodah ham sab se pehly Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se ja ker milein, sadqa kerna aapko bohat mehboob tha. [1420: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#267
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahanum Se Bacho)
July 04, 2015, 11:53:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum se bacho, agr-che khajoor ka aik (1) tukra de ker hi sahi. [1417: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Adi bin Hatim]
#268
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logun per zarur aik (1) zamana aisa aa jye ga ke aik (1) shaks sony ka sadqa le ker nikly ga lakin koi usy leny wala nhi mily ga aur ye bhi ho ga ke aik mard ki panha mein chalees chalees (40) aoratain ho jyen gi kyun ke mardon ki kami ho jye gi aur aoratun ki zyadti ho gi. [1414: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]
#269
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat aany se pehly maal-o-dolat ki is qadar kasrat ho jye gi aur log is qadar maal-dar ho jyen gy ke us waqat sahib-e-maal ko is ki fikar ho gi k us ki Zakat kon qabool kery aur agr kisi ko dena bhi chahe ga to us ko ye jawab mily ga ke mjy is ki hajat nhi ha. [1412: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#270
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
July 01, 2015, 06:38:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sadqa karo, aik (1) aisa zamana bhi tum per aany wala ha jab aik shaks apny maal ka sadqa le ker nikly ga aur koi usy qabool kerny wala nhi paye ga. [1411: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harsa bin Wah'b]
#271
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Halal kamai se aik (1) khajoor ke baraber sadqa kery aur Allah sirf Halal kamai ke sadqy ko qabool kerta ha to Allah usy Apny Dahny Hath se qabool kerta ha, phir sadqa kerny waly ke faidy ke lye is mein ziyadati kerta ha, bilkul isi tarhan jaisy koi apny janwar ke bachy ko khila pila ker barhata ha ta'nk is ka sadqa paharr ke baraber ho jata ha. [1410: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#272
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hasad (Rashk) kerna sirf do (2) hi admiun ke sath jaiz ho skta ha. Aik (1) to us shaks ke sath jisy Allah ne maal dya aur usy haq aur munasib jaghun mein kharch kerny ki tofeeq di. Dosry (2) us shaks ke sath jisy Allah ne Hikmat (Aqal, Ilm Qur'an-o-Hadith aur mamla fehmi) di aur wo apni Hikmat ke mutabiq Haq faisly kerta ha aur logun ko uski ta'leem deta ha. [1409: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]
#273
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Murdon ko bura na kaho kyun ke unhon ne jaisa amal kya us ka badla pa lya. [1393: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#274
Aik (1) shaks ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke meri Maan ka intiqaal hogya aur mera khyal he ke agr unhein baat kerny ka moqa milta to wo kuch na kuch kheraat  kartein, agr mein unki taraf se kuch kheraat ker dun to kya unhein iska sawab milyga? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan mily ga. [1388: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#275
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis Musalman ke bhi teen (3) nabaligh bachy mar jyen to Allah apny Fazal –o-Rehmat se jo in bachon per kery ga, un ko Jannat mein le jye ga. [1381: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#276
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab jinazah tyar ho jata ha phir mard isko apni gardanun per utha lety hein to agr wo murdah naik ho to kehta ha ke haan aagy lye chalo, mujhy barhaye chalo aur agr naik nhi hota to kehta ha, haaye re kharabi! Mera jinazah kahan lye ja rhy ho. Is awaz ko insaan ke siwa tamam Makhlooq-e-Khuda sunti ha, agr kahein insaan sun payein to be-hosh ho jyen. [1380: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#277
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tum mein se koi shaks mar jata ha to us ka thikana usy subha-o-sham dikhaya jata ha, ager wo Jannati ha to Jannat walun mein aur jo dozakhi ha to dozakh walun mein, phir kha jata ha ye tera thikana ha yahan tak ke Qiyamat ke din Allah tujh ko uthaye ga. [1379: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#278
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Ka Guzar do (2) qabron per hua. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne framaya ke in dono murdon per azab ho rha ha aur ye bi nhi ke kisi bari eham baat per ho rha ha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! In mein aik shaks to chughal khori kiya karta tha aur dosra peeshab se bachny ke lye ehtiyat nhi karta tha. [1378: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#279
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is tarhan Dua Kerty Thy, Ay Allah! Mein qabar ke azab se Teri panha chahta hun aur dozakh ke azab se aur zindagi aur mo'at ki azmaishon se aur kany dajjaal ki bala se teri panha chahta hun.  [1377: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#280
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis Musalman ki achai per chaar (4) shaks gawahi de dein Allah usy Jannat mein dakhil kryga. Hamne kaha aur agr teen (3) gawahi dein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke teen (3) per bhi, phir ham ne poocha aur agr do (2) musalman gawahi dein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke do (2) per bhi, phir hamne ye nhi poocha ke agr aik (1) musalman gawahi de to kya? [1368: Jild 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Al-Aswad]
Powered by EzPortal