News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 58
Total: 58
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#201
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kutty ki qeemat, zania ki ujrat aur kahin ki ujrat se mana farmaya. [2237: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]
#202
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Teen (3) Tarhan Ke Log)
October 19, 2015, 10:16:21 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Teen (3) tarhan ke log aisy hongy jin ka Qiyamat ke din Mein mud'ai banuga, aik (1) wo shaks jisne Mery Naam per ehad kya aur wo torr diya, wo shaks jisne kisi azad insan ko bech ker uski qeemat khai aur wo shaks jisne koi mazdoor ujrat per rakha, us se puri tarhan kaam lya lakin uski mazdori nhi di. [2227: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#203
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sharab Ki Sodagri)
October 18, 2015, 07:11:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sharab ki sodagri haram qarar di ha. [2226: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#204
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne bhi koi murat bnai to Allah usy us waqat tak azab kerta rhyga jab tak wo shaks apni murat mein jaan na daal de aur wo kbhi us mein jaan nhi daal skta. Hazrat Ibn-e-Abbas ne farmaya ke afsos! Agr tum muratein bnani hi chahty ho to us darakhtun ki aur her us cheez ki jis mein jaan nhi ha muratein bna sakty ho. [2225: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#205
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne mana farmaya! Koi shehri kisi dehati ka maal-o-asbab bechy aur ye ke koi (saman khareedny ki niyaat ke bghair dosry asal khareedarun se) barh ker boli na de. Isi tarhan koi shaks apny bhai ke sody mein mudakhlat na kry, koi shaks (kisi aorat ko) dosry ke paigham-e-nikah hoty huy apna paigham na bhejy aur koi aorat apni kisi deeni behan ko is niyyat se talaq na dilwaye ke iske hissa ko khud hasil ker le. [2140: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#206
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mana Farmaya)
October 13, 2015, 07:30:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny ghally ko naap lya karo, is se tumhein barkat hogi. [2128: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Maqdaam bin Ma'di Karb]
#207
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks kisi qisam ka ghalla khareedy to jab tak us per puri tarhan qabza na ker le, usy na bechy. [2126: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#208
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ghalla ko puri tarhan apny qabzy mein kerny se pehly usy bechny se mana farmaya. [2124: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umar]
#209
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke qareeb aik (1) lashkar Kaba per charhai kryga. Jab wo muqam Baid'a mein pohanchy ga, to unhein awal se akhir tak sab ko zameen mein dhansa diya jyega. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha, Ya Rasool Allah! Isy shorow se akhir tak kyunker dhansaya jyega jab ke wahein unke bazar bhi hongy aur wo log bhi hongy jo in lashkariyun mein se nhi hongy? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! Shorow se akhir tak in sab ko dhansa diya jyega, phir in ki niyyatun ke mutabiq wo uthaye jyengy. [2118: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#210
Hazrat Haban bin Manqaz ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se arz kya ke wo aksar khareed-o-farokht mein dhoka kha jaty hein. Is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jab tum kisi cheez ki khareed-o-farokht kro to yun keh dya kro ke "bhai dhoka aur faraib ka kaam nhi". [2117: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#211
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Khareedny aur bechny waly jab tak aik (1) dosry se alag alag na ho jyen inhein ikhtiyar rehta ha, ab agr dono ne sachai ikhtiyar ki aur her baat saaf saaf byan aur wazeh ker di, to unki khareed-o-farokht mein barkat hoti ha, lakin agr unhun ne koi baat chupai ya jhoot bola to unki khareed-o-farokht mein se barkat mita di jati ha. [2110: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hakeem bin Hazzam]
#212
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik sathi aur bury sathi ki missal mushk bechny waly atar aur lohar ki si ha. Mushk bechny waly ke pas se tum do achaiyoun mein se aik na aik zarur pa lo gy, ya to mushk hi kharid lo gy warna kam az kam uski khusbu to zarur hi pa sako gy. Lakin lohar ki bhatti ya tumhary badan aur kapry ko jhulsa de gi warna badbu to us se tum zarur pa lo gy. [2101: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#213
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qasam Khany Se)
October 06, 2015, 09:38:05 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! (Saman bechty waqat dukan-dar ke) qasam khany se saman to jaldi bik jata ha lakin wo qasam barkat ko mita deny wali hoti ha. [2087: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#214
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Goodna, Sood, Tasweer)
October 05, 2015, 07:33:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kutty ki qeemat leny aur khoon ki qeemat leny se mana farmaya, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne goodny wali aur gudwany wali ko (goodna lagwany se), sood leny waly aur sood deny ko (sood leny ya deny se) mana farmaya ha, aur tasweer banany waly per la'nat bheji ha. [2086: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Aon bin abi Hajeefah]
#215
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kharidny aur bechny walun ko us waqat ikhtiyar (Bea' (soda) khatam ker deny ka) ha jab tak dono juda nah hon, Pas agr dono ne sachai se kaam lya aur her baat saaf saaf khol di to unki kharid-o-farokht mein barkat hoti ha lakin agr koi baat chupa ker rakhi ya jhoot kahi to un ki barkat khatam ker di jati ha. [2079: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hakeem bin Hazaam]
#216
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dar-Guzar)
September 17, 2015, 10:11:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) tajir logun ko qarz diya kerta tha, jab kisi tang-dast ko daikhta to apny nokrun se keh deta ke is se dar-guzar ker jao, shaid ke Allah bhi ham se (Akhrat mein) dar-guzar farmye, chunache Allah ne (us ke marny ke baad) usko bakhsh dya. [2078: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#217
45.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah aisy shaks per Reham kery jo bechty waqat aur kharidty waqat aur taqaza kerty waqat fiyazi aur narmi se kaam leta ha. [2076: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari]
#218
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo shaks jo lakri ka ghatta apni peeth per laad ker lye, us se behtar ha jo kisi ke samny haath phelaye, chahy wo usy kch de de ya na de. [2074: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#219
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Apny Hath Se Rozi Kamana)
September 13, 2015, 06:58:49 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Kisi insan ne us shaks se behtar rozi nhi khai, jo khud apny hathon se kama ker khata ha. Allah ke Nabi, Hazrat Daood bhi apny hath se kaam ker key rozi khaya kerty thy. [2072: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Maqdaam]
#220
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Girwi Rakhna)
September 12, 2015, 08:09:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne aik (1) yahoodi se kuch ghalla aik (1) muddat muqarar ker ke udhar kharida aur apni lohy ki aik (1) zirrah uske pas girwi rakhi. [2068: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
Powered by EzPortal