News:

Buy and Sell your used mobiles directly. Without any involvement of third person.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 184
Total: 184
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#21
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak do (2) jamatein apas mein jang na ker lein. Dono mein bari bhari jang hogi, halanke dono ka dawa aik (1) hi hoga aur Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab taqreban tees (30) jhoty dajjal paida na ho lein. Un mein her aik (1) ka yhi guman hoga ke wo Allah ka Nabi ha. [3609: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi:  Hazrat Abu Hurairah]
#22
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak do (2) jamatein (musalmanu ki) apas mein jang na ker lein aur dono ka dawa aik (1) hoga (ke wo Haq per hein). [3608: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#23
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery baad tum per aik (1) aisa zamana ayega jis mein tum per dosrun ko muqadam kiya jyega aur aisi batein samny ayengi jin ko tum bura samjhogy, logun ne arz kiya Ya Rasool Allah! Us waqat hamein Aap kiya hukam farmaty hein? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo haqooq tum per dosrun ke wajib houn unhein ada kerty rehna aur apny haqooq Allah hi se mangna (yani sabar kro aur apna haq leny ke lye Khalifa aur hakim-waqat se baghawat na kerna). [3603: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#24
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimazun mein aik (1) aisi Nimaz ha ke jis se wo choot jaye goya uska ghar bahar sab barbad ho gye. (aur wo Asar ki Nimaz ha). [3602: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Shahab]
#25
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Fitnun ka dor jab ayega to us mein bhetny wala khara rehny waly se behtar hoga. Khara rehny wala chalny waly se behtar hoga aur chalny wala dorny waly se behtar hoga jo is mein jhanky ga fitna bhi usy uchak le ga aur us waqat jisy jahan bhi panha mil jye bas wahein panha pakar le ta ke apny deen ko fitnun se bacha saky. [3601: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#26
Aik (1) martaba Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Madina ke aik (1) buland teela per charhy aur farmaya! Jo kuch Mein dakh rha hun kya tumhein bhi nazar aa rha ha? Mein fitnun ko dakh rha hun ke tumhary gharun mein wo is tarhn gir rhy hein jaisy barish ki bondein gira kerti hein. [3597: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Usama bin Zaid]
#27
Aik (1) martaba ham (Sahaba) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke sath aik (1) safar mein thy aur pani taqreban khatam hogya. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke jo kuch bhi pani bach gya ho usy talash karo. Chunache log aik (1) bartan mein thora sa pani laye. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne apna Hath Mubarak bartan mein daal diya aur farmaya, Barkat wala pani pee lo aur Barkat to Allah hi ki taraf se hoti ha. Mein ne daikha ke Rasool Allah ki Ungliyun ke darmyan mein se pani fowary ki tarhan phoot rha tha aur ham to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany mein khaty waqat khany mein tasbeeh sunty thy. [3579: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#28
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein aik (1) bartan hazir kiya gya (pani ka). Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam us waqat (Madinah ke nazdeek) muqam-e-zora' mein tashreef rakhty thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne us bartan mein Hath Mubarak rakha to us mein se pani Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Ungliun ke darmyan mein se phootny lga aur usi pani se puri jamat ne wazu kiya. Qatadah ne kaha ke mein ne Hazrat Anas se poocha, aap log kitni ta'dad mein thy? Unhun ne farmaya ke teen so (300) hongy ya teen so (300) se zyada. [3572: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#29
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar tehar tehar ker batein kerty ke agr koi shaks (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke ilfaz) gin lena chahta to gin skta tha. [3567: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#30
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua Istasqa ke siwa kisi Dua mein (zyada unchy) haath nhi uthaty thy. Is Dua mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam itny unchy haath uthaty ke Baghal Mubarak ki safaidi dikhai deti thi. [3565: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#31
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Sajda kerty to dono haath pait se alag rakhty yahan tak ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki baglein ham log dakh lety. [3564: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Malik]
#32
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi kisi khany mein aib ni nikala, agr Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko marghoob hota to khaty werna chor dety. [3563: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#33
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pardah nasheen kanwari larkiyun se bhi zyada shermily thy. [3562: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#34
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se kisi ke pas shetan ata ha aur tumhary dil mein pehly to ye sawal paida kerta ha ke falan cheez kis ne paida ki, falan cheez kis ne paida ki? Aur aakhir mein baat yahan tak pohanchata ha ke khud tumhary Rab ko kis ne paida kya? Jab kisi shaks ko aisa waswasa daly to usy Allah se panha mangni chahye, shetani khayal ko chor de. [3276: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#35
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi shaks apni bivi ke pas ata ha aur ye Dua perhta ha "Allah ke naam se shorow kerta hun, Ay Allah! Ham se shetan ko door rakh aur jo kuch hamein Tu de (Olaad) us se bhi shetan ko door rakh". Phir agr in ke yahan bacha paida hota ha to shetan usy koi nuqsan nhi pohancha skta. [3271: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#36
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke samny aik (1) aisy shaks ka zikar aya, jo raat bhar din charhy tak para sota rha ho. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ye aisa shaks ha jis ke kaan ya dono kanun mein shetan ne peshaab ker dya ha. [3270: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#37
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab koi tum me se soya hua hota ha, to shetan uske sir ki guddi per teen (3) girhein lga deta ha khob achi tarhan se aur her girah pe ye afsoon phoonk deta ha ke abhi bohat raat baqi ha. Para sota reh. Laikin agr wo shaks jaag ker Allah ka zikar shorow kerta ha to aik (1) girah khul jati ha. Phir jab Wazu kerta ha to dosri (2) girah khul jati ha. Phir jab Nimaz Fajar parhta ha to teesri (3) girah bhi khul jati ha aur subha ko khush mizaj khush dil rehta ha warna bad mizaj sust reh ker wo din guzarta ha. [3269: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#38
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bukhar)
May 06, 2016, 09:36:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Bukhar jahanum ke josh marny ke asar se hota ha is lye isy pani se thanda ker lya kro. [3262: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Rafy bin Khadeejh]
Bukhar mein thandy pani se ghusal krna mofeed ha. Bukhar ki hararat bhi aik hararat ha jisy dozakh ki hararat karar dya gya ha.
#39
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Garmi Aur Sardi)
May 05, 2016, 09:55:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum ne apny Rab ke hazoor mein shikayat ki aur kaha ke mery Rab! Mery hi baaz hissy ne baaz ko kha liya ha. Allah ne usy do (2) sansun ki ijazat di, aik (1) saans jarry mein aur aik (1) garmi mein. Tum intihai garmi aur intihai sardi jo in mosamun mein dakhty ho, is ka yhi sabab ha. [3260: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#40
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimaz thandy waqat mein parha karo, kyun ke garmi ki shiddat jahannum ki bhaap se paida hoti ha. [3259: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
Powered by EzPortal