News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 101
Total: 101
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#161
111.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak Ibn-e-Maryam ka nazol aik (1) adil hukam-raan ki hasiyat se tum mein na ho le, wo saleeb ko torr deingy, su'arun ko qatal ker deingy aur jizya qabool nhi krngy (is dor mein) maal-o-dolat ki itni kasrat ho jyegi ke koi isy qabool nhi kryga. [2476: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#162
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Momin Rehty Huy)
December 10, 2015, 09:03:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zani momin rehty huy zina nhi ker skta, sharab-khor momin rehty huy sharab nhi pee skta, chor momin rehty huy chori nhi ker skta, aur koi shaks momin rehty huy loot aur ghaarat-giri nhi ker skta ke logun ki nazrain uski taraf uthi hui hon aur wo loot rha ho. [2475: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#163
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne loot maar kerny aur maslah kerny se mana farmaya ha. [2474: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Yazeed] (Maslah: Jang mein maqtool ke hath, pair, kaan, naak kaat ker alag alag ker dena. Islam ne is harkat se sakhti se mana farmaya ha)
#164
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Rasty Per Kanty-Dar Dali)
December 08, 2015, 09:38:18 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks rasty per chal rha tha ke us ne wahan kanty dar dali dakhi, us ne usy utha liya to Allah ne us ka ye amal qabool kiya aur uski maghfarat ker di. [2472: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#165
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) shaks rasty mein safar ker rha tha ke usy piyas lgi, phir usy rasty mein aik (1) kun'an mila aur wo uske andar utar gya aur pani piya, jab bahir aya to uski nazar aik (1) kutty pe pari jo hanp rha tha aur piyas ki sakhti se keechar chaat rha tha, us shaks ne socha ke is waqat ye kutta bhi piyas ki itni hi shiddat mein mubtala ha jis mein mein tha, chunache wo phir kun'ein mein utra aur apny jooty mein pani bhar ker usne kutty ko pilaya. Allah ke Haan uska ye amal maqbool hua aur uski maghfarat ker digai. Sahaba ne poocha, Ya Rasool Allah! Kya janwarun ke silsaly mein bhi hamein ajar milta ha? To Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke haan! Her jaandar ke silsaly mein ajar milta ha. [2466: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#166
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rastun per bethny se bacho, Sahaba ne arz kya ke ham to wahan bethny per majboor hein, whi hamary bethny ki jagha hoti ha ke jahan ham batein kerty hein, is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke agr wahan bethny ki majboori hi ha to rasty ka haq bhi ada kro, Sahaba ne poocha aur rasty ka haq kya ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nigah neechi rakhna, kisi ko aiz'a deny se bachna, salam ka jawab dena, achi batun ke lye logun ko hukam kerna, aur buri batun se rokna. [2465: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khudri]
#167
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Chaar (4) Khaslatein)
December 02, 2015, 08:58:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Chaar (4) khaslatein aisi hein ke jis shaks mein bhi wo hongi, wo munafiq ho ga, ya in chaar (4) mein se agr koi aik khaslat bhi us mein ha to us mein nafaq ki aik khaslat ha, yahan tak ke wo isy chor de. Jab boly to jhoot boly, jab wada kery to pura na kery, jab mohida kery to be-wafai kery, aur jab jhagry to bad-zubani per utar aaye. [2459: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#168
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sakht Jhagralu)
December 01, 2015, 09:28:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke yahan sab se zyada na-pasandidah wo shaks ha jo sakht jhagralu ho. [2457: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Hazrat Ayesha]
#169
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr kisi shaks ka zulm kisi dosry ki izzat per ho ya kisi tareeqa (se zulm kiya ho) to usy aaj hi, us din ke aany se pehly mua'f kara le jis din na dinar hongy na darham, balke agr uska koi naik amal hoga to uske zulm ke badly mein whi le lya jyega. Aur agr koi naik amal uske pas nhi hoga to uske sathi (mazloom) ki burayan us per daal di jyngi. [2449: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#170
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Mazloom Ki Bad-Dua)
November 27, 2015, 08:47:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mazloom ki bad-dua se darty rehna ke uske aur Allah ke darmyan koi pardah nhi hota. [2448: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#171
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zulm)
November 26, 2015, 09:38:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zulm Qiyamat ke din andhery hon gy. [2447: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umar]
#172
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik (1) momin dosry momin ke sath aik (1) amarat ke hukam mein ha ke aik (1) ko dosry se quwwat pohanchti ha aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Apni aik (1) Hath ki ungliun ko dosry Hath ki ungliyun ke andar kiya. [2446: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#173
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne saat (7) chezun ka hukam farmaya aur saat (7) hi cheezun se mana bhi farmaya, (jin cheezun ka hukam farmaya un mein) mareez ki ayadat, janazy ke peechy chalny, cheenkny waly ka jawab deny, salam ka jawab deny, mazloom ki madad kerny, dawat kerny waly (ki dawat) qabool kerny, aur kasam puri kerny ka zikar kiya. [2445: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Bar'a bin Aazib]
#174
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zalim Ki Madad)
November 23, 2015, 09:44:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Apny bhai ki madad ker khawah wo zalim ho ya mazloom. Sahaba ne arz kiya, Ya Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Ham mazloom ki madad to ker skty hein, lakin zalim ki madad kis tarhan karein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Zulm se us ka haath pakar lo (yhi uski madad ha). [2444:  Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#175
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat Ki Moseebat)
November 22, 2015, 06:38:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aik musalman dosry musalman ka bhai ha, pas is per zulm na kery aur na zulm hony de. Jo shaks apny bhai ki zarurat puri kery, Allah uski zarurat puri kery Ga. Jo shaks kisi musalman ki (1) aik moseebat ko door kry, Allah us ki Qiyamat ki moseebatun mein se aik (1) bari moseebat ko door farmaye Ga. Aur jo shaks kisi musalman ke aib ko chupaye Allah Qiyamat mein us ke aib chupaye Ga. [2442: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umar]
#176
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Gunahun Per Pardah)
November 21, 2015, 08:41:27 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah Momin ko Apny nazdeek bula lega aur us per Apna Pardah daal dega aur usy chupa lega. Allah us se farmay Ga kya tujh ko falan gunah yaad ha? Kiya falan gunah tujh ko yaad ha? Wo momin kahy ga haan! Aye Mery Parwardigar. Akhir jab wo apny gunahun ka iqrar ker lega aur usy yaqeen aa jyega ke ab wo halak hua to Allah farmaye Ga Mein ne dunya mein tery gunahun per pardah dala aur aaj bhi Mein teri maghfarat kerta Hun, chunache usy uski naikyun ki kitab de di jyegi lakin kafir aur munafiq ke motaliq in per gawah (Malaika, Anbiya aur tamam Jin-o-Ins sab) kahein gy ke yhi wo log hein jinhun ne Apny Parwardigar per jhoot bandah tha. Khabar-daar ho jao! Zalimun per Allah ki phatkaar hogi. [2441: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#177
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks kisi dosry ke doodh ke janwar ko malik ki ijazat ke baghair na dohy, kiya koi shaks ye pasand kryga ke aik (1) ghair shaks iske godaam mein pohanch ker uska zakheera kholy aur wahan se uska ghalla chura lay? Logun ke moweshi ke than bhi unke lye khana yani (doodh ke) godaam hein, is lye inhein bhi malik ki ijazat ke baghair na doha jye. [2435: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#178
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sadqa)
November 19, 2015, 10:45:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki rasty mein aik (1) khajoor per nazar pari. To Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Agr is ka dar na hota ke ye sadqa ki ha to Mein khud isy kha leta. [2431: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#179
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne to ye irada ker lya tha ke Nimaz qaim kerny ka hukam de ker khud un logun ke gharun per jaun jo Jama't mein hazir nhi hoty aur un ke gharun ko jala dun. [2420: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Hurairah]
#180
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her fard aik (1) tarhan ka hakim ha aur uski ra'yyat ke bary mein us se sawal hoga, pas badshah hakim hi ha aur uski ra'yyat ke bary mein us se sawal hoga, her insan apny ghar ka hakim ha aur us se uski ra'yyat ke bary mein sawal hoga, aorat apny shohar ke ghar ki hakim ha aur us se uski ra'yyat ke bary mein sawal hoga, khadim apny aaqa ke maal ka hakim ha aur us se uski ra'yyat ke bary mein sawal hoga. [2409 Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
Powered by EzPortal