News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 178
Total: 178
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#1101
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 24, 2012, 09:51:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aur tum per aik aisa dor bhi any wala ha ke tum mein se koi apny sary ghar baar aur maal-o-dolat se barh ker mujhko dakh lena zyada pasand kery ga. [3589: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1102
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 23, 2012, 09:34:16 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak tum aik aisi qoam ke sath jang na ker lo jin ke jooty baal (hair) ke hon aur jab tak tum turkun se jang na ker lo, jin ki ankhein choti hongi, chehry surkh hongy, naak choti aur chipti hogi, chehry aisy hongy jaisy teh ba the dhaal hoti ha. [3587: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1103
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 22, 2012, 09:25:13 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar tehar tehar ker batein kerty ke agr koi shaks (Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke ilfaz) gin lena chahta to gin skta tha. [3567: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1104
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 21, 2012, 09:22:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua Istasqa ke siwa kisi Dua mein (zyada unchy) haath nhi uthaty thy. Is Dua mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam itny unchy haath uthaty ke Baghal Mubarak ki safaidi dikhai deti thi. [3565: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1105
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 20, 2012, 09:12:12 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam jab Sajda kerty to dono haath pait se alag rakhty yahan tak ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki baglein ham log dakh lety. [3564: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1106
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 19, 2012, 09:07:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kabhi kisi khany mein aib ni nikala, agr Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko marghoob hota to khaty werna chor dety. [3563: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1107
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 18, 2012, 09:29:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam pardah nasheen kanwari larkiyun se bhi zyada shermily thy. [3562: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1108
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 17, 2012, 09:39:48 PM
Hazrat Abu bakar Asar ki Nimaz se farigh ho ker Masjid se bahir nikly to daikha ke Hazrat Hasan bachun ke sath khail rhy hien. Hazrat Abu Bakar ne inhein apny kaandhy per bitha lya aur farmaya mery baap tum per qurban hun tum mein Nabi Sallam ki shabahat ha, Ali kin hi, ye sun ker Hazrat Ali hans rhy thy (khush ho rhy thy). [3542: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1109
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 16, 2012, 09:21:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery naam per naam rakha karo lakin Meri Kunyat na rakha karo. [3538: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1110
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 15, 2012, 09:23:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne taraisath (63) saal ki umer mein wafat pai. [3536: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1111
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 14, 2012, 10:13:25 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Meri aur Mujh se pehly ke tamam Anbiya ki missal aisi ha jaisy aik shaks ne aik ghar banaya aur us mein her tarhn ki zeenat paida ki lakin aik kony mein aik eent ki jagah choot gai. Ab tamam log aty hein aur makan ko charun (4) taraf se ghoom ker daikhty hein aur ta'ajub mein per jaty hein lakin ye bhi kehty jaty hien ke yahn per aik eent kyun na rakhi gai? To Mein hi wo Eent hun aur mein hi Khatam-un-Nabiyyeen hun. [3535: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1112
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 13, 2012, 09:22:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery panch (5) naam hein; Mein Muhammad, Ahmad aur Maahi hun (yani mitany wala hun) ke Allah Mery zarya kufar ko mitaye ga aur Mein Hashir hun ke tamam insanun ka (Qiyamat ke din) Mery baad hashar hoga aur Mein Aaqib hun yani Khatam-un-Nabiyyeen hun, Mery baad koi niya pheghamber dunya mein nhi ayega. [3532: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1113
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 12, 2012, 09:34:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Wo shaks Ham me se nhi ha jo (noha kerty huye) apny rukhsar peety, girebaan phaar daly aur jahiliyat ki pukar pukary. [3519: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
Powered by EzPortal