News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 163
Total: 163
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#1081
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Fatima)
December 16, 2012, 09:24:06 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hazrat Fatima Mery jism ka tukra ha, is lye jis ne isy nahaq naraz kiya, us ne Mujhy naraz kiya.[3714: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Masoor bin Mukhramah]
#1082
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 15, 2012, 08:53:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Hazrat Ali se farmaya ke kya tum is per khush ni ho ke tum Mery liye aisy ho jaisy Hazrat Musa ke lye Hazrat Haroon thy. [3706: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibrahim bin Saad]
#1083
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 14, 2012, 09:45:10 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khuwab mein dakha ke kuch log Mery samny paish kiye gye jo qameez pehny huy thy, un mein se baaz ki qameez sirf seeny tak thi aur baaz ki us se bhi choti aur Mery samny Hazrat Umer paish kiye gye to wo itni bari qameez pehny huy thy ke chalty huy ghaseet'ti thi. Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne uski ta'beer kiya li? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke deen murad ha. [3691: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Saeed Khadri]
#1084
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 12, 2012, 10:13:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khuwab mein doodh piya, itna ke Mein doodh ki tazgi dakhny lga jo Mery Nakhun ya Nakhunun per beh rhi ha. Phir Mein ne piyala Hazrat Umer ko de diya. Sahaba ne poocha Ya Rasool Allah! Is khuwab ki ta'beer kiya ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke iski ta'beer Ilm ha. [3681: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#1085
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 11, 2012, 10:56:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein soya hua tha ke Mein ne khuwab mein Jannat dakhi, Mein ne dakha ke aik aorat aik mehal ke kinary wazu ker rhi ha. Mein ne poocha ye mehal kis ka ha? To Farishton ne jawab diya ke Hazrat Umer ka. Phir Mujy unki ghairat aur hamiyat yaad aai aur Mein wahein se lot aaya. Is per Hazrat Umer roye aur arz kiya Ya Rasool Allah! Kiya mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam per bhi ghairat karunga. [3680: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Hurairah]
#1086
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 10, 2012, 10:09:02 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Abbubakar, Hazrat Umer aur Hazrat Usman ko sath le ker ohad paharr per charhy to ohad kaanp utha. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ohad! Qarar pakar ker ke tujh per aik Nabi, aik Sadeeq aur do (2) Shaheed hein. [3675: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Maalik]
#1087
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 09, 2012, 10:03:39 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery Ashaab ko bura bhala mat kaho. Ager koi shaks ohad paharr ke baraber bhi sona (Allah ki rah mein) kharch ker daly to unke aik mad ghalla ke baraber bhi ni ho skta aur na un ke aadhy mad ke baraber. [3673: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Saeed Khadri]
#1088
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 08, 2012, 09:08:14 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager Apni ummat ke kisi fard ko apna jani dost bana skta to Hazrat Abubakkar ko banata lakin wo Mery deeni bhai aur Mery dost hein. [3656: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Abbas]
#1089
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sahaba ki Shaan)
December 07, 2012, 10:12:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany hi mein jab hamein Sahaba ke darmayan intikhab ke lye kaha jata to sab mein afzal aur behtar ham Hazrat Abu Bakkar ko qarar dety, phir Hazrat Umer bin Khitab ko phir Usman bin Afan ko. [3655: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#1090
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 06, 2012, 10:20:44 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtareen zamana Mera zamana ha, phir un logun ka jo is zamany ke baad ayen gy phir un logun ka jo uske baad ayengy. Is ke baad aik aisi qoam paida hogi ke gawahi deny se pehly qasam unki zuban per aa jaya kery gi aur qasam khany se pehly gawahi unki zuban per aa jaya kerygi. [3651: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Masood]
#1091
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 05, 2012, 11:19:36 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghory (Horse) ki peshani ke sath khair-o-bhalai Qiyamat tak ke lye bandh di gai ha. [3644: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#1092
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 04, 2012, 09:56:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany mein chand ke phat ker do (2) tukry ho gye thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya tha ke logo is per gawah rehna. [3637: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Masood]
#1093
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 03, 2012, 09:33:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Hasan ko aik din sath le ker bahir tashreef laye aur minmber per unko le ker char gye, phir farmaya, Mera ye beta Syed ha aur umeed ha ke Allah Is ke zarye Musalmanun ki do (2) jamatun mein milap kra dega. [3629: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Bakrah]

Explanation:
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki ye peshan goi puri hui; Hazrat Hassan ne wo kaam kiya ke hazarun musalmanu ki jaan bach gai. Hazrat Ameer Ma'wiah se larna pasand na kiya; Khilafat un hi ko de di; Halanke sattar hazar (70,000) aadmiyun ne aapke sath jaan deny per bait kit hi.
#1094
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
December 01, 2012, 10:34:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak do (2) jamatein apas mein jang na ker lein. Dono mein bari bhari jang hogi, halanke dono ka dawa aik hi hoga aur Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab taqreban tees (30) jhoty dajjal paida na ho lein. Un mein her aik ka yhi guman hoga ke wo Allah ka Nabi ha. [3609: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#1095
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 30, 2012, 10:06:22 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim nhi hogi jab tak do (2) jamatein (musalmanu ki) apas mein jang na ker lein aur dono ka dawa aik hoga (ke wo Haq per hein). [3608: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#1096
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 30, 2012, 12:09:02 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Nimazun mein aik aisi Nimaz ha ke jis se wo choot jaye goya uska ghar bahar sab barbad ho gye. ( aur wo Asar ki Nimaz ha). [3602: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Shahab]
#1097
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 28, 2012, 10:06:08 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Fitnun ka dor jab ayega to us mein bhetny wala khara rehny waly se behtar hoga. Khara rehny wala chalny waly se behtar hoga aur chalny wala dorny waly se behtar hoga jo is mein jhanky ga fitna bhi usy uchak le ga aur us waqat jisy jahan bhi panha mil jye bas wahein panha pakar le ta ke apny deen ko fitnun se bacha saky. [3601: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Hurairah]
#1098
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 27, 2012, 09:11:03 PM
Aik martaba Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Madina ke aik buland teela per charhy aur farmaya! Jo kuch Mein dakh rha hun kya tumhein bhi nazar aa rha ha? Mein fitnun ko dakh rha hun ke tumhary gharun mein wo is tarhn gir rhy hein jaisy barish ki bondein gira kerti hein . [3597: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abu Naeem]
#1099
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 26, 2012, 09:45:07 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum yahudiun se aik jang karogy aur usme un per ghalib aa jao gy, us waqat ye kafiyat hogi ke (agr koi yahudi jaan bachany ke lye ksi pahaar mein chup jyega to) pathar bolyga ke Aye Musalman! Ye yahudi meri aar mein chupa hua ha, isy qatal ker dy. [3593: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
#1100
Hadees / Sahee Bukhari Shareef
November 25, 2012, 10:25:47 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat us waqat tak qaim na hogi jab tak ke tum iraniun ke shehar khooz aur karman walun se jang na ker logy. Chehry unke surkh hongy, naak chipti hogi, aankhein choti hongi aur chehry aisy hongy jaisy teh ba the dhal hoti ha aur unke jooty baalun (hair) waly hongy. [3590: Jild 5; Sahee Bukhari Shareef]
Powered by EzPortal