News:

Register on the forum, answer a simple question, and WIN Free EZ Load.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 113
Total: 113
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#1041
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (MOQAM-E-MEHMOOD)
February 13, 2013, 09:53:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Azaan sun ker ye Dua parhi "Aye Allah! Kamil pukar ke Rab aur khari hony wali Nimaz ke Rab! Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko Qurb aur Fazilat ata farma aur Unhein MOQAM-E-MEHMOOD per khara kijyeo, jis ka Tu ne Un se wada kya ha" to uske lye Qiyamat ke din Meri shifa't zaruri ho gi. [4719: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah Ansari]
#1042
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (MOQAM-E-MEHMOOD)
February 12, 2013, 09:21:48 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din Ummatein garoh dar garoh chalein gi. Her Ummat apny Nabi ke peachy hogi aur (Anbiya se) kahy gi ke Aye falan! Hamari shifa't karo (magr Wo sab hi inkar ker dein gy), akhir shifa't ke lye Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein hazir hongy to yhi wo din ha jab Allah Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko MOQAM-E-MEHMOOD Ata farmaye ga. [4718: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Umer]
#1043
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Masjid Mein Nimaz Parhna)
February 11, 2013, 10:10:15 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tanha Nimaz parhny ke muqably mein Jamat se Nimaz parhny ki fazilat pachees (25) gunah zyada ha aur subha ki Nimaz mein raat ke aur din ke farishty ikhaty ho jty hein. [4717: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abbu Hurairah]
#1044
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Doodh Aur Sharab)
February 10, 2013, 10:02:04 PM
Meraaj ki raat mein Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke samny Bait-ul-Moqadas mein do (2) pyaly paish kiye gye, aik sharab ka aur dosra doodh ka. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne dono pyalun ko dakha phir doodh ka pyala utha liya. Is per Hazrat Jibrail ne kaha tamam Hamad Us Allah ke liye ha Jis ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko fitrat (Islam) ki hadaiyat ki. Agr Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam sharab ka pyala utha lety to aapki Ummat gumrah ho jati. [4709: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abbu Hurairah]
#1045
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Dua kiya kerty thy, Aye Allah! Mein Teri panha mangta hun bukhal se, susti se, arzal umer se (nikami aur kharab umer 80 ya 90 ke baad), azab-e-qabar se, dajjal ke fitny se aur zindagi aur moat ke fitny se. [4707: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#1046
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghiab Ki Paanch Kunjiyan)
February 08, 2013, 09:42:53 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghiab ki paanch kunjiyan hein jinhein Allah ke siwa koi nhi janta. Allah ke siwa koi nhi janta ke kal kya hony wala ha, Allah ke siwa koi nhi janta ke aoratun ke reham mein kya kami beshi hoti rehti ha, Allah ke siwa koi nhi janta ke barish kab barsy gi, koi shaks nhi janta ke uski moat kahan hogi aur Allah ke siwa koi nhi janta ke Qiyamat kab qaim hogi. [4697: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1047
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Muttaqi, Hazrat Yousaf)
February 07, 2013, 09:43:19 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Sab se zyada shareef wo ha jo sab se zyada muttaqi ho. Aur sab se zyada shareef Hazrat Yousaf hein. [4689: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1048
Aik shaks ne kisi ghair aorat ko bosa de diya aur phir wo Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se apna gunah bayan kiya. Is per ye Ayat nazil hui "Aur tum Nimaz ki pabandi kro din ke dono sirun per aur raat ke kuch hissun mein beshak naikian mita deti ha badiun ko, ye aik nasihat ha nasihat manny walun ke lye". Us shaks ne arz kiya ye Ayat sirf mery hi lye ha (ke naikyan badiun ko mita deti ha)? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Meri Ummat ke her insan ke lye ha jo is per amal kery. [4687: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]
#1049
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zalim ki pakar)
January 27, 2013, 09:38:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah zalim ko chand roz dunya mein mohlat deta rehta ha lakin jab pakarta ha to phir nhi chorta. [4686: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]
#1050
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke bando! (Meri rah mein) kharch karo to Mein bhi tum per kharch karunga aur farmaya! Allah ka Haath bhara hua ha. Raat aur din ke mosalsal kharch se bhi is mein kam ni hota aur farmaya tum ne dakha nhi jab se Allah ne aasman-o-zameen ko paida kiya ha, mosalsal kharch kiye jar rha ha lakin US (Allah) ke Haath mein koi kami nhi hui, US (Allah) ka arsh pani per tha aur US (Allah) ke haath mein maizan-e-adal ha jisy Wo (Allah) jhukata ha aur uthata rehta ha. [4684: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1051
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zakat)
January 25, 2013, 09:24:56 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhara khazana jis mein se Zakat na di gai ho, Qiyamat ke din ganjy naag ki shakal ikhtiar kery ga. [4659: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1052
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Qiyamat)
January 24, 2013, 09:01:09 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us waqat tak Qiyamat qaim na hogi, jab tak Suraj maghrib se talu' na ho le. Jab log isy dakhein gy to Imaan layengy lakin ye waqat hoga jab kisi aisy shaks ko uska Iman koi naf'a na dega jo pehly se Imaan na rakhta ho. [4635: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1053
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Behayai)
January 23, 2013, 09:39:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah se zyada aur koi ghairat mand nhi, yhi wajah ha ke US (Allah) ne behayai ko haram qarar diya ha, khuwah wo zahir hon khuwah posheedah aur Allah ko Apni tareef se zyada aur koi cheez pasand nhi, yhi wajha he ke US (Allah) ne Apni Khud Madah (Tareef) ki ha. [4634: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah]
#1054
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Murdah Janwar)
January 22, 2013, 10:29:52 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah yahudiun ko gharat kry, jab Allah ne in per murdah janwarun ki charbi haram ker di to iska tail nikal ker isy bechny aur khany lgy. [4633: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jabir bin Abdullah]
#1055
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ghaib ke khazany)
January 20, 2013, 09:06:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ghaib ke khazany paanch hein, jaisa ke Irshad-e-bari ha. "Beshak Allah hi ko Qiyamat ki khabar ha aur whi janta ha ke rehmun mein kya ha aur koi bhi ni jaan skta ke wo kal kya amal kery ga aur na koi ye jaan skta ha ke wo kis zameen per mary ga, beshak Allah hi Ilam wala ha, khabar rakhny wala ha". [4627: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1056
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Tum Allah ke pas jama kiye jaogy, nangy paun, nangy jism aur baghair khatna ke, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat parhi " Jis tarhan Ham ne awal baar paida kerny ke waqat ibtida ki thi, is tarhan usy dobara zinda ker dengy, Hamary zima wada ha, Ham zaroor isy poora ker ke hi rhyngy", phir farmaya Qiyamat ke din tamam makhlooq mein sab se pehly Hazrat Ibrahim ko kapra pehnaya jyega. Haan aur Meri ummat ke kuch logun ko laya jyega aur unhein jahanum ki bayeen taraf le jaya jyega. Mein Arz karun ga, Mery Rab! Ye to mery ummati hein? Mujhse kaha jyega, Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko nhi maloom ha ke inhun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke baad nai nai batein shariyat mein nikali thein. Us waqat bhi whi kahunga jo abad saleh Hazrat Esa ne kaha hoga ke "Mein inka haal dakhta raha jab tak mein inke darmayan raha, phir jab tu (Allah) ne mujhy utha liya (jab se) tu (Allah) hi in per nigran ha" Mujhy (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) bataya jyega ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki judai ke baad ye log deen se phir gye thy. [4625: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#1057
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sharab)
January 18, 2013, 10:03:01 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Aye logo! Jab sharab ki hurmat nazil hui to wo panch (5) cheezun se tayar ki jati thi. Angoor, khajoor, shehad, geehun aur 'jo' se, aur sharab wo peeny ki cheez ha jo aqal ko zail ker dy. [4619: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umer]
#1058
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Zakat)
January 16, 2013, 09:05:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jisy Allah ne maal dya aur phir usne uski Zakat nhi ada ki to (Akhrat mein) uska maal nihayat zehreela sanp ban ker jiski ankhun ke upper do (2) nuqty hongy, uski garden mein toq ki tarhan pehna diya jayga, phir wo sanp uske dono jabrun ko pakar ker kahy ga ke mein (saanp) hi tera maal hun, mein hi tera khazana hun. [4565: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurarah]
#1059
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Ibrahim)
January 15, 2013, 09:13:03 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab Hazrat Ibrahim ko aag mein dala gya to akhri Kalma jo aapki zuban mubarak se nikla wo ye tha 'Meri madad ke lye Allah kafi ha aur Whi behtreen kaam banany wala ha'. [4564: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#1060
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her bacha jab paida hota ha to shetan usy paida hoty hi choota ha, jis se wo bacha chillata ha, siwa Hazrat Maryam aur Hazrat Eesa ke. [4523: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurarah]
Powered by EzPortal