News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 125
Total: 125
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#1021
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Do (2) Suur phonky jany ke darmayan chalees (40) fasla hoga. Hazrat Abu Hurairah ke shagirdun ne poocha, kya chalees din murad hein? Unhun ne kaha ke mujhy maloom nhi, phir shagirdun ne poocha, kya chalees saal murad hein? Kaha ke mujhy maloom nhi. Kaha ke phir Allah aasman se pani barsaye ga, jis ki waja se tamam murdy jee uthen gy, jaisy sabzian pani se ugg aati hien. [4935: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1022
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Dikhawy Ki Nimaz)
March 20, 2013, 09:45:35 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hamara Rab (Allah) Qiyamat ke din apni pindli kholyga, us waqat her Momin mard aur her Momin aorat uske lye Sajdy mein gir parein gy, sirf wo baqi reh jyngy jo dunya mein dikhaway aur namwari ke lye sajda kerty thy. Jab wo sajda kerna chahein gy to unki peeth takhta ho jyegi aur wo sajda ke lye na murr sakeingy. [4919: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
#1023
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Bahishti Aadmi)
March 19, 2013, 09:11:33 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein tumhein Bahishti aadmi ke motaliq na bata dun, wo daikhny mein kamzor natawan hota ha (lakin Allah ke yahan uska martaba ye ha ke) agar kisi baat per Allah ki kasam kha le to Allah usy zarur puri ker deta ha, aur Mein tumhein dozakh walun ke motaliq na bata dun, her bad khu bhari jism wala aur takabbur kerny wala. [4918: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Harsa bin Wahib]
#1024
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery kai naam hein, Mein Muhammad hun, Mein Ahmad hun, Mein Mahi hun ke Jis ke zarya Allah kufar ko mita dega, aur Mein Hashir hun ke Allah sab ko Hashar mein Mery baad jama keryga aur Mein Aaqib hun. [4896: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jubair bin Mat'am]
#1025
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sir ke qudarti balun ke sath masnui baal lagany waliun per la'nat bheji ha. [4887: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#1026
Hadees / Sahee Bukhari Shareef ()
March 17, 2013, 10:58:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne sir ke qudarti balun ke sath masnui baal lagany waliun per la'nat bheji ha. [4887: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#1027
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jannat Mein Ghar)
February 28, 2013, 09:43:51 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein khokly moti ka khaima hoga, uski chorai saath (60) meel hogi aur uske her kinary per musalman ki aik bivi hogi, aik kinary wali dosry kinary wali ko na daikh skygi. [4879: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Qais]
#1028
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ka Deedar)
February 28, 2013, 03:21:12 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Chand ki taraf daikha aur farmaya ke yaqinan tum apny Rab ko isi tarhn daikhogy jis tarhn is Chand ko daikh rhy ho, is ki ro'iyat mein tum dhakam pail nhi krogy (bal ke bry itminan se aik dosry ko dahkka dye bgair daikho gy) is lye agr tumhary liye mumkin ho to Suraj nikalny aur dobny se pehly Nimaz na choro. Phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Ayat "Aur apny Rab ki Hamad-o-Tasbeeh kerty rahye Aftab nikalny se pehly aur chupny se pehly" ki tilawat ki. [4851: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Jarir bin Abdullah]
#1029
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jahannum)
February 25, 2013, 09:50:28 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jahanum mein dozakhiun ko dala jyega aur wo kahy gi ke kuch aur bhi ha? Yahn tak ke Allah Apna Qadam is per Rakhy Ga aur wo kahy gi ke bas bas. [4848: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]
#1030
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Kankariyan Phaenkna)
February 24, 2013, 09:04:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne do (2) ungaliun ke darmayan kankariyan le ker phainkny se mana farmaya. [4841: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Maghfal Mazni]
#1031
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Reham)
February 23, 2013, 09:04:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ne makhlooq paida ki, jab wo iski padaish se farigh Hua to "Reham" ne khary ho ker Reham kerny waly Allah ke Daman mein panha li. Allah ne us se farmaya! Kya tujhy ye pasand nhi ke jo tujh ko jory Mein (Allah) bhi us se jorun aur jo tujhy tory Mein (Allah) bhi us se torun. "Reham" ne arz kya, Haan! Aye Mery Rab. Allah ne farmaya! Phir aisa hi hoga. [4830: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1032
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam kabhi is tarhan ni hansaty thy ke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Halak ka Kwa nazar aa jye, balke Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam tabassum farmaya kerty thy, jab bhi Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam badal ya hawa daikhty to (Ghabrahat aur Allah ky Khof) Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke Chehra Mubarak se pehchan lya jata. [4828: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#1033
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hakomat Sirf Allah Ki Ha)
February 21, 2013, 09:46:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din Allah sari zameen ko Apni Muthi mein le ga aur asman ko apny Dahny Haath mein lapait lega, phir farmaye ga, aaj hakomat sirf Meri (Allah) ki ha. Dunya ke badsha aaj kahan hein? [4822: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1034
Hadees / Sahee Bukhari Shareef ( Aftab (Suraj))
February 20, 2013, 10:35:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Abu Zar! Tumhein maloom ha ye Aftab (Suraj) kahan gharoob hota ha? Mein ne arz kiya Allah aur Us ke Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko zyada ilm ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke ye chalta rehta ha yahan tak ke Arsh ke neechy Sajdah kerta ha jaisa ke irshad-e-bari ha ke "Aur Aftab apny thikany ki taraf chalta rehta ha, ye Zabardast Ilm waly ka tehraya hua andazah ha". [4802: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Zar]
#1035
Arz kiya gya Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per Salam ka tariqa to hamein maloom hogya ha, lakin Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per Salat ka kya tariqa ha. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke yun parha karo "(Complete Darood-e-Ibrahimi which we read in Nimaz)". [4797: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ka'ab bin Ajrah]
#1036
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Naik-o-kar Bandy)
February 18, 2013, 10:11:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah farmata ha ke Mein (Allah) ne apny naik-o-kar bandun ke lye wo cheezain tayar rakhi hein jinhein kisi aankh ne na daikha aur kisi kaan ne na suna aur na kisi insan ke dil mein unka kbhi guman-o-khayal paida hua. Allah ki in Naimatun se waqfiyat aur agahi to alag rahi (unka guman-o-khayal bhi paida nhi hua), phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is Ayat ki tilawat ki ke "So kisi nafas-e-momin ko maloom nhi jo jo saman ankhun ki thandak ka (Jannat mein) unke lye chupa ker rakha gya ha, ye badla ha unke naik amalun ka jo wo dunya mein kerty rhy. [4780: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1037
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Deen-e-Fitrat)
February 17, 2013, 08:53:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Her paida hony wala bacha Deen Fitrat per paida hota ha, lakin uske Maan Baap usy yahudi, nasrani ya majusi bna lety hein. Is ki missal aisi ha jaisi janwar ka bacha saheeh salim paida hota ha, kya tum ne unhein naak, kaan kata hua koi bacha daikha ha. Is ke baad Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is Ayat ki tilawat ki "Allah ki Us Fitrat ki ittib'a karo jis per Us (Allah) ne Insan ko paida kiya ha, Allah ki banai hui Fitrat mein koi tabdeli mumkin nahi. Yahi seedah deen ha. [4775: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1038
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hazrat Musa ne Hazrat Aadam se behas ki aur Unse kaha ke Aap hi ne apni ghalti ke natijy mein insanun ko Jannat se nikala aur moshaqqat mein dala. Hazrat Aadam boly ke Aye Musa! Aap ko Allah ne Apni Risalat ke lye pasand farmaya aur Hamkalami ka sharf bakhsha. Kya Aap aik aisi baat per Mujhy malamat kerty hien jisy Allah ne Meri padaish se bhi pehly Mery liye moqarar ker dya tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya, chunachy Hazrat Aadam Hazrat Musa per behas mein ghalib aa gye. [4738: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#1039
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Aashora Ka Roza)
February 15, 2013, 09:59:59 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Madinah tashreef laye to yahudi aashora ka roza rakhty thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne in se is ke motaliq poocha to unhun ne bataya ke is din Hazrat Musa ne fir'on per ghalba paya tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne is per farmaya ke phir ham inke muqably mein Hazrat Musa ke zyada haqdar hein. Musalmanu tum log bhi is din roza rakho (phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne yahud ki mushabehat se bachny ke lye iske sath aik roza aur milany ka Hukam sadir farmaya jo ab bhi masnoon ha). [4737: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#1040
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hasrat Wala Din)
February 14, 2013, 09:32:17 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke din moat aik (1) chitkubry maindhy ki shaqal mein lai jyegi. Aik awaz deny wala farishta awaz dega ke Aye Jannat walo! Tamam Jannati garden utha utha ker dakhein gy, awaz deny wala farishta poochy ga! Tum is maindhy ko bhi pehchanty ho? Wo bolein gy ke haan, ye moat ha aur her shaks is ka zaiqa chakh chukka hoga, phir isy zibha ker diya jye ga aur awaz deny wala Jannatiun se kahye ga ke ab tumhary lye hameshgi ha, moat tum per kbhi na ayegi aur Aye Jahanum walo! Tumhein bhi hamesha isi tarhan rehna ha, tum per bhi moat kabhi nhi ayegi. Phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat tilawat ki "aur unhein hasrat ke din se darao, jabke akheer faisla ker diya jyega aur ye log ghaflat mein pary huy hein (yani dunya dar log) aur Imaan nhi laaty". [4730: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]
Powered by EzPortal