News:

Mobilefun.pk: Visit our site to get latest prices in Pakistan.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 131
Total: 131
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Topics - Bilal

#101
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shahadat Ki Izzat)
February 18, 2016, 10:13:32 PM
1.   Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi shaks bhi aisa na hoga jo Jannat mein dakhil hony ke baad dunya mein dobara ana pasand kry, khwah usy sari dunya mil jye siwaye Shaheed ke, uski ye tamanna hogi ke dunya mein dobara wapis ja ker das (10) martaba aur qatal ho (Allah ke rasty mein) kyunke wo Shahadat ki izzat wahan daikhta ha. [2817: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#102
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis bandy ke bhi qadam Allah ke rasty mein ghubaar aalud ho gye, unhein (jahanum) ki aag chuhy? (ye na-mumkin ha). [2811: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdul-ur-Rehman bin Jabar]
#103
Aik Sahabi (Lahaq bin Zameerah) Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein hazir huy aur arz kiya ke aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha, ghaneemat hasil kerny ke lye, aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha namwari ke lye, aik (1) shaks jang mein shirkat kerta ha ta ke uski bahaduri ki dhaak bheith jye to un mein se Allah ke rasty mein kon larta ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks is irada se jang mein shareek ho ta ke Allah hi ka Kalima buland rhy, sirf whi Allah ke rasta mein larta ha. [2810: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa bin Ash'ara]
#104
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke kuch bandy hein ke agr wo Allah ka Naam le ker qasam kha lein to Allah Khud unki qasam puri ker deta ha. [2806: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Nazar]
#105
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Zaat ki qasam Jis ke Hath mein Meri Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Jaan he jo shaks bhi Allah ke rasty mein zakhmi hua aur Allah khoob janta ha ke Uske rasty mein koi zakhmi hua ha, wo qiyamat ke din is tarhan se ayega ke us ke zakhmun se khoon beh rha hoga, rang to khoon jaisa hoga lakin us mein khushbu mushk jaisi hogi. [2803: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#106
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke rasty mein aik (1) subha ya aik (1) sham bhi guzaar dena, dunya aur jo kuch is mein ha, sab se behtar ha aur kisi ke lye Jannat mein hath jagha bhi ya (ravi ko shuba ha) aik (1) qaid jagha, qaid se murad kurra ha, dunya-o-mafeha se behtar ha aur agr Jannat ki koi aorat zameen ki taraf jhank bhi le to zameen-o-asman apni tamam wus'atun ke sath munawar ho jyen aur khusbu se mo'attar ho jyen, is ke sir ka dupatta bhi dunya aur iski sari cheezun se barh ker ha. [2796: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#107
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Koi bhi Allah ka banda jo mar jye aur Allah ke pas uski kuch bhi naiki jama ho wo phir dunya mein aana pasand nhi kerta go usko sari dunya aur jo kuch us mein ha sab kuch mil jye, magar shaheed phir dunya mein ana chahta ha ke jab wo Allah ke yahan Shahadat ki fazilat ko dekhy ga to chahye ga ke dunya mein dobara aye aur phir qatal ho (Allah ke rasty mein). [2795: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas bin Malik]
#108
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Allah Ke Rasty Mein)
February 10, 2016, 07:38:42 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke rasty mein guzarny wali aik (1) subha-o-shaam dunya aur jo kuch dunya mein ha sab se barh ker ha. [2794: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Sehal bin Saad]
#109
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Shaheedun Ka Ghar)
February 09, 2016, 08:36:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne raat mein do (2) admi dakhy jo Mery pas aye phir wo Mjhy le ker aik darakht per charhy aur us ke baad Mujhy aik aisy makan mein le gye jo nihayat khobsorat aur bra pakiza tha, aisa khobsorat makan Mein ne kbhi nhi dakha tha, un dono (2) ne kaha ke ye ghar Shaheedun ka ha. [2791: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Samrah bin Jandab]
#110
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jo Shaks Imaan Laye)
February 08, 2016, 09:30:11 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jo shaks Allah aur uske Rasool Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per Iman laye aur Nimaz qaim kry aur Ramadan ke rozy rakhy to Allah per Haq ha ke wo Jannat mein dakhil kryga khwah Allah ke rasty mein wo Jihad kry ya isi jagha para rhy jahan paida hua tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jannat mein so (100) darjah hein jo Allah ne apny rasty mein Jihad kerny walun ke lye tiyar kiye hein, inke do (2) darjaun mein itna fasla ha jitna asman-o-zameen mein ha, islye jab Allah se mangna ho to Firdous mango kyunke wo Jannat ka sab se darmayani darjah ha aur Jannat ke sab se buland darjah per ha, Yahya bin Saleh ne kaha ke mein samjhta hunke iske upper Parwardigar ka Arsh ha aur wahein se Jannat ki nehrein nikalti hein. [2790: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#111
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Jihad)
February 07, 2016, 10:18:24 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Allah ke rasty mein Jihad kerny waly ki missal – Aur Allah us shaks ko khoob janta ha jo (khaloos dil ke sath sirf Allah ki raza ke lye) Allah ke rasty mein Jihad kerta ha, us shaks ki si ha jo raat mein baraber Nimaz parhta rhy aur din mein baraber rozy rakhta rhy aur Allah ne apny rasty mein Jihad kerny waly ke lye uski zima-dari le li ha ke agr usy shahadat dega to usy be-hisab-kitab Jannat mein dakhil kryga ya phir zindah salamat (ghar) sawab aur maal-e-ghaneemat ke sath wapis kryga. [2787: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#112
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Saat (7) Gunah)
February 04, 2016, 06:45:50 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Saat (7) gunahun se jo tabah kerny waly hien bachty raho. Sahaba ne arz kiya, Ya Rasul Allah! Wo konse gunah hein? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Allah ke sath kisi ko shareek therana, jadu kerna, kisi ki na-haq jaan lena ke jisy Allah ne haram qarar diya ha, sood khana, yateem ka maal khana, larai mein se bhaag jana, pak daman bholi bhali imaan wali aoratun per tohmat lgana. [2766: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#113
Hazrat Saad bin Ibadah ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se masla poocha, unhun ne arz kya ke meri maan ka intiqal ho gya ha aur unke zima aik (1) nazar thi. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke unki taraf se nazar puri ker dy. [2761: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#114
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aik Sahabi (Hazrat Saad bin Ibadah) ne arz kiya ke meri walidah ki moa't achanak waqia ho gai, mera khiyal ha ke agr unhein guftagu ka moqa milta to wo sadqa kertein to kya mein unki taraf se khairaat ker skta hun? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan unki taraf se khairaat ker. [2760: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]
#115
Hazrat Saad bin Ibadah ki Walidah Umrah bint-e-Masood ka intiqal hua to wo unki khidmat mein majood nhi thy. Unhun ne aa ker Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne poocha Ya Rasool Allah! Meri walidah ka jab intiqal hua to mein unki khidmat mein hazir nhi tha, kya agr mein koi cheez sadqa krun to us se unhein faida pohanch sakta ha? Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne asbaat mein jawab diya to unhun ne kaha ke mein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko gawah banata hun ke mera Makhraf nami baagh unki taraf se sadqa ha. [2756: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]
#116
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne daikha ke aik (1) sahab qurbani ka oont hanky lye ja rhy hein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke is per sawar ho ja lakin unhun ne ma'zrat ki ke Ya Rasool Allah! Ye to Qurbani ka ha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne phir farmaya ke sawar bhi ho ja. Afsos! Ye Kalima Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne teesri (3) ya chothi (4) martaba farmaya tha. [2755: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah] [Waqfi cheez se khud waqaf kerny wala bhi faida utha sakta ha, janwar per makan ko bhi qiyas ker sakty hein, agr koi makan waqaf kry to usy mein khud bhi reh sakta ha. Janwar per ba-waqat zarurat sawari ki ja skti ha, agr wo doodh deny wala janwar ha to uska doodh bhi istimal mein laya ja skta ha]
#117
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Her Koi Nagehban Ha)
January 30, 2016, 08:29:46 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her koi nagehban ha aur apni ra'yat ke bary mein poocha jyega. Hakim bhi nagehban ha apni ra'yat ke bary mein poocha jyega aur mard apny ghar walun ka nagehban ha aur apni ra'yat ke bary mein poocha jyega aur aorat apny khawind ke ghar ki nagehban ha apni ra'yat ke bary mein poochi jyegi aur ghulam apny sahab ke maal ka nagehban ha aur apni ra'yat ke bary mein poocha jyega. [2751: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]
#118
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Munafiq)
January 29, 2016, 11:25:38 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Munafiq ki teen (3) nishaniyan hein jab baat khy to jhoot khy aur jab uske pas imanat rakhein to khayanat kry aur jab wada kry to khilaf kry. [2749: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#119
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Konsa Sadqa Afzal)
January 28, 2016, 10:35:36 PM
Aik Sahabi ne Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha Ya Rasool Allah! Kon sa sadqa afzal ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ye ke sadqa tundarasti ki halat mein ker ke (tujh ko is maal ko baqi rakhny ki) khwahish bhi ho jis se kuch sarmaya jama ho jany ki tumhein umeed ho aur (usy kharch kerny ki surat mein) mohtaji ka dar ho aur is mein takheer na ker ke jab rooh halak tak pohanch jye to kehny bheith jye ke itna maal falan ke lye, falany ko itna dena, ab to falany ka ho hi gya (tu to dunya se chala). [2748: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#120
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Meraas)
January 27, 2016, 11:16:43 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ibtida Islam mein (meraas ka) maal aolad ko milta tha aur waldain ke lye wasiyat zaruri thi lakin Allah ne jis tarhan chaha is hukam ko mansukh ker diya phir larky ka hissa do (2) larkiyun ke baraber qarar diya aur waldain mein se her aik (1) ka chatta (1/6) aur bivi ka (aolad ki majudgi mein) aathwan (1/8) aur (aolad ke na hony ki surat mein) chotha (1/4) hissa qarar diya. Isi tarhan shohar ka (aolad na hony ki surat mein) aadha (1/2) aur (aolad hony ki surat mein) chothai (1/4) hissa qarar diya. [2747: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Abbas]
Powered by EzPortal