News:

Buy new mobile from Mobilefun.pk and we will deliver the mobile to your doorstep with a gift hamper.

Main Menu
+-

+-User

Welcome, Guest.
Please login or register.
 
 
 
Forgot your password?

Recent Posts

Re: WHAT ARE YOU THINKING NOW by TechoPedia
May 14, 2020, 04:08:07 AM

Re: iOS Jailbreaking by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:25:17 PM

Review about Oppo phones by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:23:37 PM

Re: Famous by michaeljohnny
January 20, 2020, 08:22:30 PM

Re: How to Hard Reset Samsung Galaxy_A50 | Pattern Unlock, Break Password by Mobile Fun
November 01, 2019, 03:28:06 PM

+-Forum Stats

Members
Total Members: 1138
Latest: KeithLadu
New This Month: 0
New This Week: 0
New Today: 0
Stats
Total Posts: 4791
Total Topics: 1594
Most Online Today: 207
Most Online Ever: 218
(November 12, 2012, 06:28:40 PM)
Users Online
Members: 0
Guests: 186
Total: 186
Menu

Show posts

This section allows you to view all posts made by this member. Note that you can only see posts made in areas you currently have access to.

Show posts Menu

Messages - Bilal

#1
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ohad Paharr)
October 09, 2016, 09:32:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko (Khaibar se wapis hoty huy) Ohad Paharr dikhai diya to Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ye Paharr Ham se mohabbat rakhta ha aur Ham Is se mohabbat rakhty hein. Aye Allah! Hazrat Ibrahim ne Makkah ko hurmat wala shehar qarar diya tha aur Mein in do (2) pathreely maidanun ke darmayan ilaqy (Madina Manawarah) ko hurmat wala shehar qarar Deta hun. [4084: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Malik]
#2
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Fatima)
September 12, 2016, 11:43:41 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Hazrat Fatima Mery jism ka tukra ha, is lye jis ne isy na-haq naraz kiya, us ne Mujhy naraz kiya. [3714: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Masoor bin Mukhramah]
#3
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Ali)
September 11, 2016, 10:44:23 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne Hazrat Ali se farmaya ke kya tum is per khush ni ho ke tum Mery liye aisy ho jaisy Hazrat Musa ke lye Hazrat Haroon thy. [3706: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibrahim bin Saad]
#4
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Umar Ka Deen)
September 10, 2016, 07:14:20 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khuwab mein dakha ke kuch log Mery samny paish kiye gye jo qameez pehny huy thy, un mein se baaz ki qameez sirf seeny tak thi aur baaz ki us se bhi choti aur Mery samny Hazrat Umer paish kiye gye to wo itni bari qameez pehny huy thy ke chalty huy ghaseet'ti thi. Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne uski ta'beer kiya li? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke deen murad ha. [3691: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abbu Saeed Khadri]
#5
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Khwab Ki Ta'beer)
September 09, 2016, 11:34:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein ne khuwab mein doodh piya, itna ke Mein doodh ki tazgi daikhny lga jo Mery Nakhun ya Nakhunun per beh rhi ha. Phir Mein ne piyala Hazrat Umer ko de diya. Sahaba ne poocha Ya Rasool Allah! Is khuwab ki ta'beer kiya ha? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke iski ta'beer Ilm ha. [3681: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#6
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Umar)
September 07, 2016, 10:51:45 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mein soya hua tha ke Mein ne khuwab mein Jannat dakhi, Mein ne dakha ke aik (1) aorat aik (1) mehal ke kinary wazu ker rhi ha. Mein ne poocha ye mehal kis ka ha? To Farishton ne jawab diya ke Hazrat Umer ka. Phir Mujy unki ghairat aur hamiyat yaad aai aur Mein wahein se lot aaya. Is per Hazrat Umer roye aur arz kiya Ya Rasool Allah! Kiya mein Aap Sallahlah Ho Alaihe Wa Sallam per bhi ghairat karunga. [3680: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Hurairah]
#7
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Abbubakar, Hazrat Umer aur Hazrat Usman ko sath le ker Ohad pahaar per charhy to Ohad kaanp utha. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ohad! Qarar pakar ker ke tujh per aik (1) Nabi, aik (1) Siddeeq aur do (2) Shaheed hein. [3675: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Maalik]
#8
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Ashaab Ko Bura Mat Kaho)
September 06, 2016, 12:08:09 AM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery Ashaab ko bura bhala mat kaho. Ager koi shaks ohad pahaar ke baraber bhi sona (Allah ki rah mein) kharch ker daly to unke aik (1) mad ghalla ke baraber bhi ni ho skta aur na un ke aadhy mad ke baraber. [3673: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Saeed Khadri]
#9
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam Hazrat Abbubakar, Hazrat Umer aur Hazrat Usman ko sath le ker Ohad pahaar per charhy to Ohad kaanp utha. Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ohad! Qarar pakar ker ke tujh per aik (1) Nabi, aik (1) Siddeeq aur do (2) Shaheed hein. [3675: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Anas bin Maalik]
#10
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Mery Ashaab ko bura bhala mat kaho. Ager koi shaks ohad pahaar ke baraber bhi sona (Allah ki rah mein) kharch ker daly to unke aik (1) mad ghalla ke baraber bhi ni ho skta aur na un ke aadhy mad ke baraber. [3673: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abbu Saeed Khadri]
#11
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jis ne Allah ke rasty mein kisi cheez ka aik (1) jora kharch kiya (maslan do (2) rupy, do (2) kapry, do (2) ghory Allah ke rasty mein diye) to usy Jannat ke darwazun se bulaya jyega ke Aye Allah ke bandy! Idhar aa, ye darwazah behtar ha pas jo shaks Nimazi hoga usy Nimaz ke darwazy se bulaya jyega, jo shaks mujahid hoga usy Jihad ke darwazy se bulaya jyega aur jo shaks roza-daar hoga usy siyam aur riyaan (seraabi) ke darwazy se bulaya jyega. Hazrat Abu Bakar ne arz kiya jis shaks ko in tamam hi darwazun se bulaya jyega to usy kisi kism ka khof baqi nhi rhy ga aur poocha kya koi shaks aisa bhi hoga jisy in tamam darwazun se bulaya jye Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Haan aur Mujhy umeed ha ke Tum (Hazrat Abu Bakar) bhi inhein mein se hogy Aye Abu Bakkar. [3666: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]
#12
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Hazrat Abu Bakkar)
September 01, 2016, 11:34:55 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ager Apni ummat ke kisi fard ko apna jani dost bana skta to Hazrat Abu bakkar ko banata lakin wo Mery deeni bhai aur Mery dost hein. [3656: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Abbas]
#13
Hadees / Sahee Bukhari Shareef (Sab Se Behtar Sahaba)
August 31, 2016, 11:40:26 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ke zamany hi mein jab hamein Sahaba ke darmayan intikhab ke lye kaha jata to sab mein afzal aur behtar ham Hazrat Abu Bakkar ko qarar dety, phir Hazrat Umer bin Khitab ko phir Usman bin Afan ko. [3655: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Abdullah bin Umer]
#14
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Behtareen zamana Mera zamana ha, phir un logun ka jo is zamany ke baad ayen gy phir un logun ka jo uske baad ayengy. Is ke baad aik (1) aisi qoam paida hogi ke gawahi deny se pehly qasam unki zuban per aa jaya kery gi aur qasam khany se pehly gawahi unki zuban per aa jaya kerygi. [3651: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Masood]
#15
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhary baad aik (1) aisi qoam paida hogi jo baghair kahy gawahi deny ke lye tiyar ho jaya krygi aur unmein khayanat aur chori itni aam ho jyegi ke in per kisi qisam ka bharosa baqi nhi rhyga, aur nazrain manein gy lakin inhein pura nhi kareingy (haram kha kha ker) in per motapa aam ho jyega. [3650: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]
Powered by EzPortal