اپنے پسندیدہ اشعار شئیر کریں - ہر ممبر ایک سے ذیادہ اشعار پوسٹ کر سکتا ہے، مگر، ایک پوسٹ میں ایک ہی شعر ہو- دوسرا شعر پوسٹ کرنے کے لیے دوبارہ پوسٹ کریں۔ شعر کے ساتھ اگر ممکن ہو تو شاعر کا نام بھی لکھیں۔ اور اپنا شعر پوسٹ کرنے کے بعد انتظار کریں کے کوئی دوسرا ممبر بھی پوسٹ کرے۔ جب دوسرے ممبر کی پوسٹ آجائے تو آپ اگلی پوسٹ کر سکتے ہیں۔
نوٹ: تمام اشعار سنجیدہ نوعیت کے ہوں۔
اسلام علیکم
یہ میری پہلی پوسٹ ہے امید ہے پسند ٓایگی
ہونا تو وہی ہے جو مُقدر میں لِکھا ہے
لیکِن یہ میرےخواب میرےخواب میرےخواب
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
(allama iqbal)
ایک اور شعر حاضِر ہے
اِس قدر تلخ کہ پینے سے زباں جلتی تھی
زندگی آنکھ کے پانی میں مِلالی میں نے
میرے درد کو جو زباں ملے
میں وہ کہہ سکوں جو کہا نہیں
میں وہ سن سکوں جو سنا نہیں
ہے یہی دعاء یہی آرزو
وہ میرا بنے جو میرا نہیں
میری خاموشی کو بیان ملے
میرے درد کو جو زبان ملے
مجھے روشنی کی تھی جستجو
میرا دل ہوا کسی رات سا
میری حسرتیں میرے رو برو
ہے یہی امتحاں میری ذات کا
مجھے اپنا نام و نشان ملے
میرے درد کو جو زبان ملے
ہے مجھے بکھرنے کی آرزو
میرا کرب ہی ہے میرا سکوں
میری وحشتوں کا یہ دشت ہے
جہاں جاگتا ہے میرا جنوں
مجھے دولت دو جہاں ملے
کیوں اداسیاں ہیں ملال کیوں؟
میرا ہوگیا ہے یہ حال کیوں؟
ہوا ریزہ ریزہ میرا وجود
میری زندگی ہے سوال کیوں؟
جو مجھے یہ راز نہاں ملے
میرے درد کو جو زبان ملے
koi to kare post ma ne next post be karni ha ;D
utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do
allama iqbal
Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi
(Ahmad Faraz)
ذکر اک روز پلٹنے کا کیا تھا تم نے
اک دیا دل کے اندھیرے میں جلا رکھا ہے
Aik tujh tak na pohanch paye mere dard ki aanch,
Aasman tak to mere gham ke sharaarey jayen
(Adeem Hashmi)
Zindagi K Mele Main
Khvahishon K Rele Main
Tum Se Kya Kahen Jana
Is Qadar Jhamele Main
Vaqt Ki Ravani Hai
Bakht Ki Girani Hai
Sakht Bezamini Hai
Sakht Lamakani Hai
Hijr K Samandar Main
Takht Aur Takhte Ki
Ek Hi Kahani Hai
Tum Ko Jo Sunani Hai
Bat Go Zara Si Hai
Bat Umr Bhar Ki Hai
Umr Bhar Ki Baten Kab
Do Ghari Main Hoti Hain
Dard K Samandar Main
Anginat Jaziren Hain
Beshumar Moti Hain
Ankh K Dariche Main
Tum Ne Jo Sajaya Tha
Bat Us Diye Ki Hai
Bat Us Gile Ki Hai
Jo Lahu Ki Khilvat Main
Chor Ban K Ata Hai
Lafz K Fasilon Par
Tut Tut Jata Hai
Zindagi Se Lambi Hai
Bat Ratjage Ki Hai
Raste Main Kaise Ho
Bat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baton Main
Guftagu Izafi Hai
Pyar Karne Valon Ko
Ik Nigah Kafi Hai
Ho Saky To Sun Jao
Ek Din Akale Main
Tum Se Kya Kahen Jana
Is Qadar Jhamele Main
Amjad Islam Amjad
Farishte se behter hai insaan ban'na,
Magar is mein lagti hai mehnat zeyada.
Altaf Hussain Hali Poetry
Mujhe khud se hain shikaaytain, mujhe zindagi se gilaa nahin,
Ke jo chaha mene woh paa liya, nahin aesa kuch jo mila nahin,
Mere aas paas hai roshni, mere raston mein chiraag hain,
Yeh tere karam ka hai mojza, meri justuju ka silaa nahin,
Teri aankh se jo haseen ho, woh nigaah jag mein bani nahin,
Tere rukh ko jis se misaal doon, koi aesa phool khila nahin,
Yeh jo teri zulf ka hai haashiya, yeh jo tera chahra khushnuma,
Koi raat aesi seyaah nahin, kisi subah main yeh jilaa nahin,
Yeh jo mehr-o-maa ki hain haaltain, yeh jo aayinon ki hain hertain,
Hain azzal se yeh isi tarah, koi apni jaa se hilaa nahin..
Amjad Islam Amjad
(Ab aisi muhabbat kya karni)
Kehne ko muhabbat hai lekin...
Ab aisi muhabbt kya karni..?
Jo neend chura le ankhon se
Jo khwab dikha kar palkon k
Tabeer main kantey de jaye
Jo gham ki kali raton se
Har aas ka jugnoo le jae
Jo khwab sajati ankhon ko
Ansoo hi ansoo de jae
Jo mushkil kar de jiney ko
Jo marne ko asaan kare
Wo dil jo pyar ka mandir ho
Wo yadon ko mehman kare
Ab aisi muhabbat kya karni?
Jo umar ki naqdi le jae
Or phir b jholi khali ho
Wo soorat dil ka roogh bne
Jo surat dekhi bhali ho
Jo qais bna de insan ko
Jo ranjha or farhad kare
Ab aisi muhabbat kya karni?
Jo khushyon ko barbad kare
Dekho to muhabbat k bare main
Har shakhs yehi kuch kehta hai
Socho to muhabbat k andar
Ik dard hamesha rehta hai
Phir b jo chez muhabbt hai
Kub in baton se darti hai?
Kub in k baandhe rukti hai?
Ab aisi muhabbat kya karni..
Today's Winner is Safdar: http://www.mobilefun.pk/forum/index.php?action=profile;u=25 (http://www.mobilefun.pk/forum/index.php?action=profile;u=25)
congrates..