Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein aik (1) bartan hazir kiya gya (pani ka). Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam us waqat (Madinah ke nazdeek) muqam-e-zora' mein tashreef rakhty thy. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne us bartan mein Hath Mubarak rakha to us mein se pani Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki Ungliun ke darmyan mein se phootny lga aur usi pani se puri jamat ne wazu kiya. Qatadah ne kaha ke mein ne Hazrat Anas se poocha, aap log kitni ta'dad mein thy? Unhun ne farmaya ke teen so (300) hongy ya teen so (300) se zyada. [3572: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Anas]