Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhary baad aik (1) aisi qoam paida hogi jo baghair kahy gawahi deny ke lye tiyar ho jaya krygi aur unmein khayanat aur chori itni aam ho jyegi ke in per kisi qisam ka bharosa baqi nhi rhyga, aur nazrain manein gy lakin inhein pura nhi kareingy (haram kha kha ker) in per motapa aam ho jyega. [3650: Volume 5; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Imran bin Hisseen]