Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein koi aisa shaks nhi jis ka Jahanum ka thikana ya Jannat ka thikana likha na ja chuka ho. Sahaba ne arz kia ke Ya Rasool Allah Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam! To phir ham kiyun na apni taqdeer per bharosa ker lein aur naik amal kerna chor dein. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik amal kro, her shaks ko un amaal ki tofeeq di jati ha jin ke lye wo paida kiya gya ha, jo shaks naik hoga usy naikun ke amal ki tofeeq mili hoti ha aur jo bad-bakht hota ha usy bad bakhtun ke amal ki tofeeq milti ha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne ye Ayat parhi "So jis ne diya aur Allah se dara aur achi baat ko sach samjha, so Ham (Allah) uske lye naik amalun ko asan ker deingy". [4949: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ali]