Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Jab tu sony lgy to Nimaz ki tarhan Wazu ker phir dayein (right) karwat lait ja aur ye Dua parh. "Aye Allah! Mein ne apny aapko Teri (Allah ki) ata'at mein de diya, apna sab kuch Tery (Allah ke) supurd ker dya. Apny mamlat Tery (Allah ke) hawaly ker dya. Khof ki waja se aur Teri (Allah ki) (Rehmat aur Sawab ki) umeed mein koi panha gah koi mukhlis Tery (Allah ke) siwa nhi. Mein Teri (Allah ki) kitab per Imaan laya jo Tu (Allah) ne nazil ki ha aur Tery (Allah ke) Nabi Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam per jo Tu (Allah) ne bheja". Iske baad agr tum mar gye to fitrat (Deen Islam per marogy) pas in Kalmat ko (raat ki) sab se akhri baat bnao jinhein tum apni zuban se ada kro. [6311: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bara' bin Aazib]