Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se kisi ke pas shetan ata ha aur tumhary dil mein pehly to ye sawal paida kerta ha ke falan cheez kis ne paida ki, falan cheez kis ne paida ki? Aur aakhir mein baat yahan tak pohanchata ha ke khud tumhary Rab ko kis ne paida kya? Jab kisi shaks ko aisa waswasa daly to usy Allah se panha mangni chahye, shetani khayal ko chor de. [3276: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]