Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne saat (7) kamun ka hukam dya aur saat (7) kamun se roka. Hamein Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hukam dya tha Jinazy ke sath chalny, mareez ki mizaj pursi, da'wat qabool kerny, mazloom ki madad kerny ka, qasam puri kerny ka, salam ka jawab deny ka, cheenk per "Yar Hamakullah" kehny ka aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne hamein mana kya tha chandi ka bartan (istimal mein lany) se, sony ki anghoti pehanny se, resham aur debaaj (ke kaprun ke pehanny) se, qassi se, istabraq se. [1239: Volume 2; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Bra'a bin Aazib] [Debaaj, qassi aur istabraq reshmi kaprun ki qismein hein]