Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Roza dozakh se bachny ke lye aik (1) dhaal ha, is lye (Roza-dar) na fehash batein kry aur na jahalat ki batein aur agr koi shaks is se lry ya isy gali de to iska jawab sirf ye hona chahye ke mein roza-dar hun, (ye ilfaz) do (2) martaba (keh de) Us Zaat (Allah) ki qasam! Jiske Hath mein Meri (Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam) ki Jaan ha, Roza-dar ke mun ki bu Allah ke nazdeek mushk ki khushbu se bhi zyada pasandedah aur pakeezah ha, (Allah fermata ha) banda apna khana peena aur shehwat Mery (Allah ke) lye chorta ha, roza Mery (Allah ke) lye ha aur Mein (Allah) hi iska badla dunga aur (dosri) naikiun ka sawab bhi asal naiki ke das (10) guna hota ha. [1894: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]