Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on January 07, 2014, 08:55:34 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Rastoun Ka Haq)
Post by: Bilal on January 07, 2014, 08:55:34 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Rastoun per bethny se bacho! Sahaba ne arz kiya Ya Rasool Allah! Hamari ye majlis to bohat zaruri hein, ham wahein roz-marah guftagu kiya krty hien. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke acha jab tum in majlisun me bethna hi chahty ho to rasty ka haq ada kiya kro, yani rasty ko uska haq do. Sahaba ne arz kya, rasty ka haq kya ha Ya Rasool Allah! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya (ghair mehram auratun ko daikny se) nazar neechi rakhna, rah geerun ko na satana, salam ka jawab dena, bhalai ka hukam dena aur burai se rokna. [6229: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Saeed Khadri]