Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on November 25, 2014, 10:11:57 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Raat Aur Din Ke Farishty, Asar Aur Fajar)
Post by: Bilal on November 25, 2014, 10:11:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tumhary pas raat aur din ke Farishty yaky-bad-degry aaty hein aur Asar aur Fajar ki Nimazun mein dono waqat ke Farishty ikhaty hoty hein. Phir jab wo Farishty upper jaty hein jinhun ne raat tumhary sath guzari ha to Allah unse poochta ha halanke Wo bandun ke ehwal ka sab se zyada janny wala ha ke tum ne Mery bandun ko kis haal mein chora? Wo jawab dety hein ke ham ne inhein is haal mein chora ke wo Nimaz parh rhy thy aur jab ham inke pas gye jab bhi wo Nimaz parh rhy thy. [7486: Jild 8; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Hurairah]