Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on December 21, 2015, 10:27:00 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Ra'yat Ke Bary Mein Sawal Hoga)
Post by: Bilal on December 21, 2015, 10:27:00 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Tum mein se her shaks hakim ha aur uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, pas logun ka waqai ameer aik (1) hakim ha aur us se uski ri'aya ke bary mein us se sawal hoga, dosry (2) her admi apny ghar walun per hakim ha aur us se uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, teesri (3) aorat apny shohar ke ghar aur uske bachun per hakim ha us se uski ri'aya ke bary mein sawal hoga, chotha (4) ghulam apny aaqa ke maal ka hakim ha aur us se uski ra'yat ke bary mein sawal hoga, pas jaan lo ke tum mein se her aik (1) hakim ha aur her aik (1) se uski ra'yat ke bary mein (Qiyamat ke din) pooch hogi. [2554: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abdullah bin Umar]