Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on March 30, 2013, 09:54:04 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Qur'an Majeed Ki Tilawat)
Post by: Bilal on March 30, 2013, 09:54:04 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Uski (Momin ki) misaal jo Qur'an ki tilawat kerta ha Sangtary (orange) ki si ha jiska maza bhi laziz hota ha aur jis ki khusbu bhi behtreen hoti ha aur jo (Momin) Qur'an ki tilawat nhi kerta uski misaal Khajoor ki si ha jiska maza to umdah hota ha lakin usmein khushbu nhi hoti aur us badkar (munafiq) ki misaal jo Qur'an ki tilawat kerta ha Rehana ki si ha ke uski khusbu to achi hoti ha lakin maza kerwa hota ha aur us jo Qur'an ki tilawat bhi nhi kerta Andrain ki si ha jis ka maza bhi kerwa hota ha aur usmein khusbu bhi nhi hoti. [5020: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]