Mobile Fun Forum

Islamic Corner => Hadees => Topic started by: Bilal on April 06, 2013, 09:25:57 PM

Title: Sahee Bukhari Shareef (Qur'an Majeed Ki Tilawat)
Post by: Bilal on April 06, 2013, 09:25:57 PM
Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Us Momin ki misaal jo Qur'an Majeed parhta ha aur us per amal bhi kerta ha meethy leemun ki si ha jis ka maza bhi lazzat dar aur khusbu bhi achi aur wo Momin jo Qur'an parhta to nhi lakin us per amal kerta ha uski misaal khajoor ki ha jis ka maza to umdah ha lakin khusbu ke baghair aur us munafiq ki misaal jo Qur'an parhta ha rehaan ki si ha jis ki khusbu to achi hoti ha lakin maza karwa hota ha aur us munafiq ki misaal jo Qur'an bhi nhi parhta andrain ke phal ki si ha jis ka maza bhi karwa hota ha aur uski bu bhi kharab hoti ha. [5059: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa Ash'ara]