Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Qiyamat ke qareeb aik (1) lashkar Kaba per charhai kryga. Jab wo muqam Baid'a mein pohanchy ga, to unhein awal se akhir tak sab ko zameen mein dhansa diya jyega. Hazrat Ayesha ne byan kya ke mein ne kaha, Ya Rasool Allah! Isy shorow se akhir tak kyunker dhansaya jyega jab ke wahein unke bazar bhi hongy aur wo log bhi hongy jo in lashkariyun mein se nhi hongy? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Haan! Shorow se akhir tak in sab ko dhansa diya jyega, phir in ki niyyatun ke mutabiq wo uthaye jyengy. [2118: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ayesha]