Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam aik (1) dafa Madinah ya Makkah ke aik (1) baagh mein tashreef le gye. (wahan) Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne do (2) shaksun ki awaz suni jinhein unki qabrun mein azab kiya ja rha tha. Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke in per azab ho rha ha aur kisi bohat bary gunah ki wajah se nhi phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya baat ye ha ke aik (1) shaks in mein se peeshab ke cheentun se bachny ka ehtamam nhi kerta tha aur dosra shaks chughal khori kiya kerta tha. Phir Aap Sallalah Ho Alaihe ne (khajoor ki) aik (1) dali mangwai aur usko tor ker do (2) tukry kiya aur in mein se (aik (1) aik (1) tukra) her aik (1) qabar per rakh diya. Logun ne Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se poocha ke Ya Rasool Allah! Ye Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne kyun kiya! Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Is lye ke jab tak ye dalian khusk hon shaid us waqat tak in per azab kam ho jye. [216: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Abbas]