Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se aik (1) shaks ne kaha ke Ya Rasool Allah! Mein Fajar ki Nimaz mein ta-kheer ker ke is lye shareek hota hu ke falan sahib Fajar ki Nimaz bohat taweel ker dety hein. Is per Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam is qadar ghusa huy ke mein ne naseehat ke waqat us din se zyada ghazabnak Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ko kbhi nhi daikha, phir Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Logo tum mein baaz log (Nimaz se logun ko) door kerny ka bais hein pas jo shaks imam ho usy halki Nimaz parhni chahye is lye ke uske peachy kamzor, burhy aur zarurat waly sab hi hoty hein. [704: Volume 1; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Masood Ansari]