Aik shaks ne kisi ghair aorat ko bosa de diya aur phir wo Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam se apna gunah bayan kiya. Is per ye Ayat nazil hui "Aur tum Nimaz ki pabandi kro din ke dono sirun per aur raat ke kuch hissun mein beshak naikian mita deti ha badiun ko, ye aik nasihat ha nasihat manny walun ke lye". Us shaks ne arz kiya ye Ayat sirf mery hi lye ha (ke naikyan badiun ko mita deti ha)? Aap Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya ke Meri Ummat ke her insan ke lye ha jo is per amal kery. [4687: Jild 6; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Ibn-e-Masood]