Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik sathi aur bury sathi ki missal mushk bechny waly atar aur lohar ki si ha. Mushk bechny waly ke pas se tum do achaiyoun mein se aik na aik zarur pa lo gy, ya to mushk hi kharid lo gy warna kam az kam uski khusbu to zarur hi pa sako gy. Lakin lohar ki bhatti ya tumhary badan aur kapry ko jhulsa de gi warna badbu to us se tum zarur pa lo gy. [2101: Volume 3; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]