Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Naik aur bury dost ki misal mushk sath rakhny waly aur bhatti dhonkny waly ki si ha (jis ke pas mushk ha aur tum uski mohabbat mein ho) wo is mein se ya tumhein kuch tohfa ke tor pe dega ya tum us se khareed sakogy ya (kam az kam) tum us ki umdah khushbu se to mehfooz ho hi sakogy aur bhatti dhonkny wala ya tumhary kapry (bhatti ki aag se) jala dega ya tumhein uske pas se aik nagawar badbudar dhuaan pohanchy ga. [5534: Jild 7; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Hazrat Abu Musa]