Hazrat Muhammad Sallalah Ho Alaihe Wa Sallam ne farmaya! Ibtida Islam mein (meraas ka) maal aolad ko milta tha aur waldain ke lye wasiyat zaruri thi lakin Allah ne jis tarhan chaha is hukam ko mansukh ker diya phir larky ka hissa do (2) larkiyun ke baraber qarar diya aur waldain mein se her aik (1) ka chatta (1/6) aur bivi ka (aolad ki majudgi mein) aathwan (1/8) aur (aolad ke na hony ki surat mein) chotha (1/4) hissa qarar diya. Isi tarhan shohar ka (aolad na hony ki surat mein) aadha (1/2) aur (aolad hony ki surat mein) chothai (1/4) hissa qarar diya. [2747: Volume 4; Sahee Bukhari Shareef] [Ravi: Ibn-e-Abbas]